Al-Quran Hindi Translation Islam

Al-Quran | Soorutul Al-Maidah – 5 | Hindi Translation

Al-Quran : Soorutul Al-Maidah -5

Soorutul Al-Maidah madine me utri, isme 120 aaytein aur 16 ruku hain.
Allah ke naam se shuru krta hun, jo bada meharban aur reham krne wala hai.

Hey emaanwalo! Bandhan (wadon) ko pura kro, tumhare liye chaupaye jaanwar halal kar diye gye hain, unke sivaye jo padhkar tumko sunaye jate hain, lekin ehram ki halat me shikar na kro, beshak Allah jo chahta hai huqm deta hai.

5:1

Hey emaanwalo! Allah ke dharam anushthano (shaaeer) ki behurmati na kro, na hurmat wale maheene ki, na qurbani ke liye haram tak le jaye ja rhe aur patta pehnaye jaanwar ki, na hurmat wale ghar (kaaba) ko ja rhe logon ki, jo Allah ki daya aur khushi ki khoj kar rhe hain, aur jab ehram kholo to fir shikar kar skte ho, aur jinhone tumhe masjide haram se roka unki dushmani tumhe hudood langh jane par taiyar na kre, aur neki aur parhezgari par aapas me madad kro, gunah aur zulm me madad na kro aur Allah se darte raho, beshak Allah sakht azaab dene wala hai.

5:2

Tum par haraam kar diya gya hai murdaar, aur khoon, aur suar ka gosht aur jis par Allah ke sivaye dusron ka naam pukara gya ho, aur glaa ghutt kar mra, aur chot se mra, aur gir kar mra, aur dusre jaanwar ke seengh marne se mra aur jiska kuch hissa darindo ne kha liya ho, lekin jise tumne zibaah kar diya, aur jo thano par zibaah kiya jaye aur paanse (laatri) ke zariye baantna yeh sbhi bahut bade gunah hain. Aaj kafir (murti pujak) tumhare deen ki taraf se mayoos ho gye, isliye unse na darro sirf mujh se darro, aaj maine tumhare liye tumhare deen ko muqammal kar diya aur tum par apni nematein puri kar di aur tumhare liye Islam deen ko pasand kar liya, lekin jo bhookh me bekarar ho jaye aur koi gunah na krna chahta ho to beshak Allah maaf krne wala, bada reham krne wala hai.

5:3

Veh Aap (Rasool) se swaal krte hain ki un ke liye kya (khana) jayaz hai aap keh dein ki tumhare liye pak cheezein jayaz hain, aur veh shikari janwar jo tum ne sdha rkhe hon jin ko kuch batein sikhate ho jo Allah ne tumhe sikhlaai, to agar tumhare liye veh (shikaar) ko daboch rakhein aur use chhodte samay Allah ka naam us par lo to use (shikar ko) khao, aur Allah se darro, beshak Allah jald hisaab lene wala hai.

5:4

Aaj sabhi pak cheezein tumhare liye halal kar di gyi aur ehle kitab ka zabiha tumhare liye halal hai, aur tumhara zabiha unke liye jayaz hai, aur paak daman musalman aurtein aur jo tum se pehle kitaab (dharam shastra) diye gye unme se paak daman aurtein, jab tum unhe unki mehar de do, shadi krke badkari ke liye nhi aur na gupt premi banane ke liye, aur jo emaan ko nakar de uska amal bekar ho gya, aur veh aakhirat me ghate me rahega.

5:5

Hey emaanwalon! Jab tum namaz ke liye utho to apne muh aur kohniyon tak apne hathon ko dho liya kro, aur apne sir ka masah (dono hath tarr krke sir par ferna) kar lo, aur apne panv takhno tak dhul lo, aur agar tum napaak ho to gusal kar lo, aur agar tum bemar ya safar par ho, ya tum me se koi shochalya se aaye ya tum biwi se mile ho aur pani na mile to pak mitti se tayyum kar lo use apne chehron aur hathon par malo, Allah tum par tangi nhi chahta, lekin tumhe paak banana chahta hai aur taki tum par apni nemat puri kre aur taki tum shukrguzar raho.

5:6

Al-Maidah 5:06
Al-Maidah 5:06


Aur apne upar Allah ki nemat aur us ehad ko yaad kro jiska tumse muaahida hua, jab tum ne kaha ki hum ne suna aur maan liya aur Allah (taala) se darte raho, beshak Allah (taala) dilon ki baaton ka jaankar hai.

5:7

Hey emaanwalon! Allah ke liye sach par mazboot, insaaf par gwaah ho jao, aur kisi kom ki dushmani tumhe insaaf na krne par tayyar na kre, insaaf kro veh parhezgari se bahut kreeb hai aur Allah se darro, beshak Allah tumhare aamal se bakhabar hai.

5:8

Jinhone yakeen kiya aur nek amal kiye Allah ne unko maaf aur bhari badla ka wayda diya hai.

5:9

Aur jinhone yakeen nhi kiya aur humare huqmo ko jhuthlaya vhi jahannumi hain.

5:10

Aye emaanwalon! Allah (taala) ne jo ehsan tum par kiye hain use yaad kro, jab ki ek kaum ne tum par zulm krna chaha to Allah (taala) ne unke hathon ko tum tak pahunchne se rok diya, aur Allah (taala) se darte raho aur emaanwalon ko Allah taala par hi bharosa krna chahiye.

5:11

Aur Allah taala ne israel ke beton se wada liya aur unhi me se barah sardaar hum ne muqarrar kiye, aur Allah (taala) ne farma diya, mai beshak tumhare sath hun, agar tum namaz kayam rakhoge, aur zakaat dete rahoge aur mere rasoolon ko mante rahoge aur unki madad krte rahoge aur Allah (taala) ko behtar karz dete rahoge, to beshak mai tumhari buraiyan tumse door rakhunga aur tumhe un jannaton me le jaunga jinke neeche nehrein beh rhi hain, ab is wada ke baad bhi tum me se jo inkaar kre, veh beshak seedhe raste se bhatak gya.

5:12

Fir unke wada todne ke sabab hum ne un par lanat kiya aur unke dil sakht kar diye ki veh kalima ko unke us jagah se tabdeel kar dete hain, aur jo kuch naseehat unko di gyi uska bahut bada hissa bhula baithe, unki ek na ek khyanat ki khabar tujhe milti rahegi, lekin thode se (log) aise nhi bhi hain, fir bhi unhe maaf krta jaa aur maaf krta jaa, beshak Allah taala ehsan krne walon ko dost rakhta hai.

5:13

Aur jo apne aap ko Isaai kehte hain, Hum ne unse (bhi) wada liya tha, unhone bhi uska bada hissa bhula diya, jo unhe shiksha di gyi thi, to hum ne bhi unke beech dushmani aur nafrat dal diya jo qayamat tak rahegi. Aur jo kuch yeh krte hain jald hi Allah taala unhe sab bta dega.

5:14

Hey Ehle kitaab! tumhare pas humare rasool (Muhammad! saw) aa gye jo bahut si veh batein bta rhe hain jo kitaab (tauraat aur injeel) ki batein tum chhupa rhe the, aur bahut-si-baton ko chhod rhe hain, tumhare paas Allah ki taraf se noor aur khuli kitaab (paak quran) aa chuki hai.

5:15

Jiske zariye Allah unhe salamati ka rasta dikhata hai jo uski khushi ki pairvi krein aur unhe andhere se apni rehmat se noor ki taraf nikal lata hai aur unhe seedha rasta dikhata hai.

5:16

Beshak veh log kafir ho gye jinhone kaha ki mariyam ka beta maseeh Allah hai. Keh do ki agar mariyam ka beta maseeh aur uski maa aur duniya ke sbhi logon ko veh halaak krna chahe to kaun hai jiska Allah ke samne zra bhi haq hai? Aur aasmano aur zameen aur jo dono ke beech hai Allah hi ka mulk hai, veh jo (bhi) chahe paida krta hai aur Allah har cheez par kadir hai.

5:17

Aur yahoodi aur isaai kehte hain ki hum Allah ke bete aur dost hain. Aap keh dijiye ki fir Allah (taala) tumhare gunahon ke sabab tumhe szaa kyon deta hai? Nhi balki tum uski makhlook me ek insaan ho, veh jise chahta hai maaf krta hai aur jise chahta hai szaa deta hai aur Allah (taala) ki milkiyat aasmano aur zameen par aur unke beech jo kuch hai har cheez par hai aur usi ki or palat kar aana hai.

5:18

Hey ehle kitaab! rasoolon ke aane me ek vilambh (waqfey) ke bad humara rasool (Muhammad saw) aa chuka hai jo tumhare liye (dharam vidhano) ko bayaan kar raha hai taki tum yeh na kaho ki humare pas koi khush-khabri dene wala aur aagah krne wala nhi aaya to tumhare pas ek khush-khabri dene wala aur sattark (aagah) krne wala (aakhiri rasool) aa gya hai, beshak Allah har cheez par kadir hai.

5:19

Aur yaad kro jab moosa (alaihi slaam) ne apni kaum se kaha hey meri kaum ke logon! Allah (taala) ke us ehsan ko yaad kro ki usne tum me se paighamber banaye aur tumhe mulk attah kiya, aur tumhe veh attah kiya jo sari duniya me kisi ko attah nhi kiya.

5:20

Meri kaum walon! us paak zameen me dakhil ho, jo Allah (taala) ne tumhare naam likh di hai, aur apni peeth na dikhao, ki nuksaan me padd jaoge.

5:21

Unhone jawaab diya hey moosa! wahan to taqatvar ladaku log hain, aur jab tak veh wahan se nikal na jayein, hum to kbhi bhi nhi jayenge, agar ve wahan se nikal jayein to hum (khushi se) wahan chale jayenge.

5:22

Lekin jo Allah se darr rahe the unme se do mardon ne kaha jin par Allah ne inaam kiya ki tum un par darwaze se dakhil ho jao, jab dakhil ho jaoge to tumhi ghalib rahoge aur agar emaan rakhte ho to Allah hi par bharosa rakho.

5:23

Unhone kaha ki hey moosa! hum kbhi bhi wahan na jayenge jab tak veh usme rahenge, isliye tum aur tumhara rabb jakar dono laddo hum yahin baithe hain.

5:24

Us (moosa) ne kaha mere rabb! mai sirf khud par aur apne bhai (haroon) par haq rakhta hun, isliye humare aur fasikon ke beech algaav kar de.

5:25

Us (Allah) ne kaha yeh chalees saal tak un par haraam hai, veh dharti me ghumte firte rahenge, isliye aap (moosa) fasikon par afsos na karein.

5:26

Aur aadam ke do beton ki sachi kahani unhe paddh kar suna do, jabki dono ne ek-ek qurbani bhent di to ek se qubool ki gyi aur dusre se qubool nhi ki gyi, to usne kaha ki mai tujhe jaroor maar dalunga to us ne kaha ki Allah parhezgaron se hi qubool krta hai.

5:27

Agar tu mujhe qatal krne ke liye hath badhayega to mai tujhe qatal krne ke liye hath nhi badha sakta, mai Allah sari duniya ke rabb se darta hun.

5:28

Mai chahta hun ki tu mera gunah aur apna gunah samet le aur jahannamiyon me ho jaye, aur yhi zalimo ka bura badla hai.

5:29

Bas uski ichhaon ne use bhai ka qatal krne ke liye tayyar kar diya aur us ne us ka qatal kar diya, jisse veh nuksaan uthane walon me ho gya.

5:30

Fir Allah (taala) ne ek kavve ko bheja jo dharti khod rha tha ki use dikhaye ki veh apne bhai ki lash (shav) ko kis tarah chhipa de, veh kehne lga haye afsos! kya mai aisa krne ke layak bhi na raha ki apne bhai ki lash ko is koyye ki tarah gaadd sakta? Fir to veh bada dukhi aur sharminda ho gya.

5:31

Al-Maidah Surah 5 : The Holy Quran
Al-Maidah


Isi karann hum ne israel ki aulad par likh diya ki jo insaan kisi ko bina iske ki veh kisi ka qatil ho ya dharti par fasad paida krne wala ho, qatal kar dale to aisa hai ki us ne sbhi logon ko qatal kar diya, aur jo insaan ek ki jaan bachaye, us ne mano sbhi ko zinda kar diya. Aur un ke pas humare rasool bahut-si wazeh nishaniyan lekar aaye, lekin fir bhi un me se jayadatar log dharti par zulm (aur jyadati aur kroorta) krne wale hi rahe.

Al-Maidah
Al-Maidah 5:32

5:32

Unki szaa jo Allah (taala) se aur uske rasool se ladein aur dharti par fasaad krein yhi hai ki ve maar diye jayein ya fansi par chadha diye jayein ya ulti taraf se unke hath-paer kaat diye jayein, ya unhe desh se nikal diya jaye, yeh to hui un ki duniyavi zillat aur beizzati aur aakhirat me unke liye bhari azaab hai.

5:33

Lekin jo apne upar tumhare kabu pane se pehle mafi mang lein, to beshak Allah taala bada maaf krne wala, bada reham va karam krne wala hai.

5:34

Hey mussalmano! Allah taala se darte raho aur uski or nazdeeki hasil krne ki koshish kro. Aur uski raah me jihaad karo taki tumhari bhalai ho.

5:35

Yakeen kro, ki kafiron ke liye agar veh sab kuch ho jo sari dharti me hai, aur uske brabar aur jyada bhi ho aur veh un sab ko qayamat ke din ke azaab ke badle fidiya me dena chahe to bhi asambhav hai ki un se qubool kar liya jaye, unke liye to dukhdayi azaab hai.

5:36

Ve chahenge ki jahannum se nikal jayein, lekin ve kbhi bhi us me se na nikal sakenge, unke liye to daymi azaab hai.

5:37

Chor aur chorni ka hath kat do, yeh unke kartoot ka badla aur Allah ki taraf se szaa hai, aur Allah taala taqatwala aur hiqmat wala hai.

5:38

Jo apne gunah ke bad mafi mang le aur sudhar kar le, to Allah (taala) uski tauba qubool karta hai. Beshak Allah taala maaf krne wala, reham krne wala hai.

5:39

Kya tujhe ilm nhi ki Allah (taala) ke liye aasmano zameen ka mulk hai? Jise chahe azaab de jise chahe maaf kar de, Allah taala har cheez par kudrat rakhne wala hai.

5:40

Hey rasool! aap unke liye dukhi na hon jo kufr me daud lga rahe hain jinhone apne muh se kaha ki hum ne yakeen kiya aur unke dilon ne yakeen nhi kiya, aur jo yahoodi ho gye, unme kuch jhooth sunne ke abhyasi aur dusre logon ke guptchar hain, jo aap ke pas nhi aaye, veh kalima ko unke jaghon se faer dete hain, kehte hain ki agar tum yeh diye jao to maan lo aur yeh (huqum) na diye jao to alag raho, aur jise Allah bhatkana chahe uske liye Allah par aap ka zraa bhi haq nhi hai, inhi ke dilon ko Allah pak nhi krna chahta, inhi ke liye duniya me zillat aur aakhirat me bhari azaab hai.

5:41

Yeh kaan lga-lga kar jhooth sunne wale aur jee bhar-bhar kar haraam khane wale hain, agar yeh tumhare pas aayein to tumhe haq hai chaho to unke beech faisla kar do chaho to na kro, agar tum un se muh mod bhi loge to bhi ye tumhe koi nuksaan nhi pahuncha skte aur agar tum faisla kro to unme insaaf ke sath faisla kro, beshak insaaf krne walon ke sath Allah taala muhabbat rakhta hai.

5:42

Aur (taajjub ki baat hai ki) veh kaise apne pas taurat hote hue, jis me Allah ka huqum hai tum ko faisla krne wala bnate hain, fir us ke baad palat jate hain, vaastav (haqeeqat) me ye emaan aur yakeen wale nhi hain.

5:43

Humne taurat utari hai jisme hidayat aur noor hai, yahoodiyon me isi taurat ke zariye Allah ke manne wale, ambiya (alaihi slaam) aur Allah wale aur aalim faisla kiya krte the, kyonki unhe Allah ki is kitaab ki hifazat ka huqum diya gya tha, aur ve is par qubool krne wale gwaah the, ab tumhe chahiye ki logon se na daro, balki mujh se daro, meri aayton ko thode-thode daam par na becho aur jo Allah ki utari hui vahee ki bina par faisla na karein ve pura aur mukammal kafir hain.

5:44

Al-Maidah
Al-Maidah


Aur humne (taurat) me yahoodiyon ke haq me yeh baat muqarrar kar di hai ki jaan ke badle jaan aur aankh ke badle aankh, aur naak ke badle naak, aur kaan ke badle kaan va daant ke badle daant aur khas ghavon ka bhi badla hai, fir jo insaan usko maaf kar de to veh uske liye pachhtava hai aur jo log Allah ke huqmon ke aetbaar se faisla na krein, vhi log zalim hain.

5:45

Aur hum ne un ke peeche Isa ibne mariyam ko bheja, jo apne se pehle ki kitaab yani taurat ki tasdeek krne wale the, aur hum ne unhe injeel attah ki, jisme noor aur hidayat thi, aur veh apne se pehle ki kitaab taurat ki tasdeek krti thi aur veh wazeh hidayat aur taleem thi, Allah taala se darne walon ke liye.

5:46

Aur injeel walon ko bhi chahiye ki Allah taala ne jo kuch injeel me utara hai, usi ke aetbaar se faisla krein, aur jo Allah taala ke utare hue se hi faisla na krein ve fasik hain.

5:47

Aur humne aap ki taraf sachhai se bhri yeh kitaab utari hai, jo apne se pehle ki sbhi kitabon ki tasdeek krti hai aur unki muhafiz hai, isliye aap un ke beech Allah ki utari hui kitaab ke aetbaar se faisla kijiye, is sachhai se hatkar unki tamannaon par na jaiye, tum me se har ek ke liye hum ne ek shariyat aur rasta muqarrar kar diya hai. Agar Allah chahta to tum sab ko ek hi ummat bna deta, lekin veh chahta hai ki jo tumhe diya hai, us me tumhara imtehan le, to tum swaab ki taraf jaldi kro, tum sab ko Allah hi ki taraf palat kar jana hai, fir veh tumhe har veh cheez bta dega jisme tum ikhtelaf rakhte ho.

5:48

Aur aap un ke jhagde me Allah ki utari hui vahee ke anusar faisla dijiye, unki ichhaon ki pairvi na kijiye aur un se hoshiyar rahiye ki kahin ye aap ko Allah ke utare hue kisi huqum se idhr-udhr na kar dein, agar yeh muh mod lein to yakeen kro ki Allah ka yhi irada hai ki unhe unke kuch gunahon ki szaa de hi de aur jyadatar log nafarman hote hain.

5:49

Kya yeh log fir se jahiliyat ka faisla chahte hain? Aur yakeen rakhne walon ke liye Allah (taala) se behtar faisla krne wala aur huqum krne wala kaun ho sakta hai.

5:50

Hey emaanwalon! tum yahoodiyon aur isaiyon ko dost na bnao, yeh to aapas me hi ek-dusre ke dost hain, tum me se jo koi bhi in se dosti kre to veh un me se hai, zalimon ko Allah taala kbhi bhi hidayat nhi deta.

5:51

Aap dekhenge ki jin ke dilon me rog hai, veh daud-daud kar un me ghus rahe hain aur kehte hain ki humein darr hai ki aisa na ho ki koi hadsa hum par wakey ho jaye, bahut mumkin hai ki Allah (taala) jeet attah kar de ya apne pas se koi dusra faisla laye, fir to yeh apne dil me chhipai hui baat par bahut sharminda honge.

5:52

Aur emaanwale kahenge ki kya yhi ve log hain jo bade yakeen se Allah ki kasam kha-kha kar kehte hain ki hum tumhare sath hain, unke aamal barbaad ho gye aur ye nakaam ho gye.

5:53

Hey emaanwalon, tum me se jo apne deen se palat jaye, to Allah (taala) bahut jald aisi kaum ke logon ko layega jo Allah ke pyare honge aur ve bhi Allah se pyar krte honge, veh naram dil honge mussalmano par, sakht aur bereham honge kafiron par, Allah ki raah me jihaad krenge, kisi mlaamat krne wale insaan ki mlaamat krne ki fikr na krenge, ye hai Allah (taala) ka fazl jise chahe attah kre, Allah taala sarv shaktiman hai aur bahut ilm wala hai.

5:54

(Mussalmano)! tumhara dost khud Allah aur uska rasool hai aur emaanwale hain, jo namazon ko qayam krte hain aur zakaat ada krte hain aur ve rukooh (khushu ke sath aur dhyan magan hokar) krne wale hain.

5:55

Aur jo insaan Allah (taala) se aur uske rasool aur mussalmano se dosti kre use yakeen krna chahiye ki Allah (taala) ke bande hi ghalib honge.

5:56

Mussalmano! un logon ko dost na banao jo tumhare deen ko hansi-khel bnaye hue hain, (chahe) ve un me se hon jo tum se pehle kitaab diye gye ya kafir hon, agar tum emaanwale ho to Allah se darte raho.

5:57

Aur jab tum namaz ke liye pukarte ho, to veh use hansi-khel thehra lete hain, yeh isliye ki yeh akal nhi rakhte hain.

5:58

Aap keh dijiye, hey yahoodiyon aur isaaiyon! tum hum se kewal isliye dushmani rakhte ho ki hum Allah (taala) par aur jo kuch humari taraf utara gya hai aur jo kuch isse pehle utara gya hai us par emaan laye hain, aur isliye bhi ki tum me jyadatar fasik hain.

5:59

Keh dijiye ki kya mai tumhe bataun ki is se bhi jyada bure badle ka pane wala Allah taala ke kareeb kaun hai? Veh jis par Allah taala ne laanat ki ho aur us par veh gazabnaak hua ho, aur un me se kuch ko bandar aur suar bna diya, aur jinhone jhuthe devtaon ki ibaadat ki, yhi log bure darje wale hain aur yhi sache raste se bahut jyada bhatke hue hain.

5:60

Aur jab ve aap ke pas aate hain to kehte hain ki hum emaan laye, agarche veh kufr liye hue aaye the aur usi kufr ke sath gye bhi, aur yeh jo kuch chhipa rahe hain use Allah taala achi tarah janta hai.

5:61

Aur aap dekhenge ki in me se bahut se gunah ke kamo ki or, zulm aur sarkashi ki taraf aur haraam maal khane ki taraf lapak rahe hain, jo kuch yeh kar rahe hain veh bahut bure amal hain.

5:62

Unhe un ke pujari aur aalim unko jhooth bolne aur haraam khane se kyon nhi rokte? Beshak ye bure kaam hai, jo yeh kar rahe hain.

5:63

Aur yahoodiyon ne kaha ki Allah (taala) ka hath bandha hua hai, unhi ke hath bandhe hue hain, aur un ke is kaul ke sabab un par laanat ki gyi, balki Allah taala ke dono hath khule hue hain, jis tarah chahta hai kharch krta hai aur jo kuch teri or tere rabb ki or se utara jata hai veh unme se jyadatar ko sarkashi aur kufr me badha deta hai, aur hum ne un me aapas me hi qayamat tak ke liye dushmani aur hasad dal diya hai, veh jab kbhi bhi jung ki aag ko bhadkana chahte hain Allah taala usko bujha deta hai, yeh desh bhar me khauf aur fasaad machate firte hain, aur Allah taala fasadiyon se muhabbat nhi karta.

5:64

Aur agar yeh ehle kitaab emaan laate aur Allah se darte, to hum unki sbhi buraiyan mita dete aur unhe jaroor sukhad jannat me le jate.

5:65

Agar veh taurah aur injeel aur un dharam shastron ki pabandi krte jo unki taraf unke rabb ki or se utari gyi hai to apne upar aur pairon ke neeche se khate, unme ek giroh to beech ka hai aur jyadatar log bura kaam kar rhe hain.

5:66

Hey rasool! (sandesh vahak) aap ki taraf aap ke rabb ke pas se jo (paigham) utara gya hai use pahuncha dein, agar aap ne yeh nhi kiya to apne rabb ka paigham nhi pahunchaya aur Allah logon se aap ki hifazat krega, beshak Allah kafiron ko hidayat nhi deta.

5:67

Aap keh dein ki hey ehle kitaab! tumhara koi aadhar nhi, jab tak ki tauraah aur injeel aur jo bhi (dharam shastra) tumhare rabb ki taraf se tumhare pas utara gya hai, uski pabandi (palan) na kro aur jo aap ki taraf (paak quran) aap ke rabb ki taraf se utara gya hai veh in me se jyadatar ki hutth aur kufr ko badhayega. Isliye aap kafiron par afsos na krein.

5:68

Mussalmano, yahoodiyon, taron ke pujariyon aur isaaiyon me se jo bhi Allah aur aakhiri din (qayamat) par emaan layega aur nek kaam krega un par koi darr nhi na veh ghum krenge.

5:69

Hum ne israeel ke beton (yahoodiyon) se vada liya aur un ke paas rasoolon ko bheja, jab koi rasool un ke paas aisa huqum laya jo un ka mann qubool na krta tha to unhone ek gut ko jhuthlaya aur ek gut ko qatal krte rahe.

5:70

Aur samajh baithe ki koi szaa na milegi isliye andhe-behre ho gye, fir Allah (taala) ne un ko maaf kar diya uske bawajood bhi un me se zyadatar log andhe-behre ho gye, aur Allah (taala) un ke amlon ko achhi tarah dekhne wala hai.

5:71

Veh log kafir ho gye jinhone kaha ki mariyam ka beta maseeh hi Allah hai, jabki maseeh ne (khud) kaha ki hey israeel ke beton! Mere rabb aur apne rabb Allah ki ibaadat kro kyonki jo Allah ke sath shirk krega Allah ne us par jannat haraam kar di hai aur uska thikana jahannum hai aur zalimon ka koi madadgar na hoga.

5:72

Veh log bhi puri tarah se kafir ho gye jinhone kaha ki Allah teen ka teesra hai, haqeeqat me Allah (taala) ke sivaye koi mabood nhi aur agar yeh log apne kaul se na ruke to unme se jo kufr me rahenge unhe sakht azaab zaroor pahunchega.

5:73

Yeh log Allah (taala) ki taraf kyon nhi jhukte aur kyon nhi tauba krte? Allah (taala) bahut maaf krne wala aur bada reham krne wala hai.

5:74

Mariyam ke bete maseeh sirf paighamber hone ke sivaye kuch bhi nhi, us se pehle bhi bahut se paighamber ho chuke hain, uski maa ek paak aur sachi aurat thi, dono (maa-bete) khana khaya krte the. Aap dekhiye hum kis tarah daleel unke samne pesh krte hain, fir khyal kijiye ki ve kis tarah paltaye jate hain.

5:75

Aap keh dijiye ki kya tum Allah ke sivaye unko poojte ho jo na to tumhare nuksaan ke maalik hain aur na kisi tarah ke fayde ke, Allah (taala) hi achhi tarah sunne wala aur puri tarah se janne wala hai.

5:76

Keh dijiye, hey ehle kitaab! apne deen me gul na kro, aur un logon ki ichhaon ki pairvi na kro, jo pehle se bhatak chuke hain aur bahuton ko bhatka chuke hain aur seedhe raste se hut gye hain.

5:77

Israeel ki aulad ke kafiron ko (hazrat) dawood aur (hazrat) isaa ibne mariyam ke muh se laanat kiya gya, is sabab ki ve nafarmani krte the aur hadd se tajaawuz krte the.

5:78

Ve aapas me ek-dusre ko bure kamon se jo veh krte the rokte na the, jo kuch yeh krte the zaroor veh bahut bura tha.

5:79

Un me ke zyadatar logon ko aap dekhenge ki ve kafiron se dosti krte hain, jo kuch unhone apne aage bhej rakha hai veh bahut bura hai, (yeh) ki Allah (taala) un se naraaz hua aur ve humesha azaab me rahenge.

5:80

Al-Maidah -5 Al Quran
Al-Maidah


Agar unhe Allah (taala) par, nabi par aur jo utara gya hai, us par emaan hota to yeh kafiron se dosti na krte, lekin un me se zyadatar log durachari (galatkaar) hain.

5:81

Beshak aap emaanwalon ka sakht dushman yahoodiyon aur moorti pujkon ko payenge, aur emaanwalon ke sab se zyada kreeb ki dosti, aap zaroor un me payenge jo apne aap ko isaai kehte hain, yeh isliye ki unme aalim aur bairaagi hain, aur is sabab ki ve ghamund nhi krte.

5:82

Aur jab veh rasool ki taraf utare hue (paigham) sunte hain, to aap unki aankhon se behte aansu ki dhara ko dekhte hain, is wajah se ki unhone haqq ko pehchan liya, veh kehte hain hey humare rabb! hum mussalman ho gye, bas tu humein bhi gwaahon me likh le.

5:83

Al-Maidah 83
Al-Maidah 5:83


Aur humein kya hai ki Allah aur us sachai par yakeen na krein jo humare paas aaya hai aur yeh ummeed na krein ki humara rabb humein saliheen me shamil kar dega.

5:84

To Allah ne unki is dua ke sabab aise baag diye jin ke neeche nehrein jaari hain, jis me humesha rahenge aur yhi nek logon ka badla hai.

5:85

Al-Maidah
Al-Maidah 5:86


Aur jo kafir ho gye aur humari aayton ko jhuthla diye vhi jahannumi hain.

5:86

Hey emaanwalo! un paak cheezon ko haraam na banao jinhe Allah ne tumhare liye halaal bna diya, aur zyadati na kro, beshak Allah zyadati krne walon se pyar nhi krta.

5:87

Aur Allah (taala) ne jo cheezein tumhe di hain unme se pakeezah halaal cheezein khao aur Allah taala se darro, jis par tum emaan rakhte ho.

5:88

Al-Maidah
Al-Maidah

Allah taala tumhari kasmon me bekaar kasmon par tum ko nhi pakadta, lekin pakad uski krta hai tum jin kasmon ko mazboot kar do, uska kaffara das gareebon ko khana dena hai ausatt darze ka, jo apne gharwalon ko khilate ho, ya unko kapda dena, ya ek ghulam ya laundi aazaad krna hai, aur jis se yeh na ho ske veh teen din roze rakhe. Yeh tumhari kasmon ka kaffara hai jabki tum kasam kha lo aur apni kasmon ki hifazat kro, is tarah Allah taala tumhare liye apne huqmon ko bayan krta hai, taki tum shukriya ada kro.

5:89

Hey emaanwalon! shraab, jua aur murtiyon ki jagah aur panse gande shaitani kaam hai, isliye tum isse alag raho taki kamyab ho jao.

5:90

Shaitan chahta hi hai ki sharaab aur jua ke zariye tumhare beech dushmani aur hasad dal de aur tumhe Allah ki yaad aur namaz se rok de to tum rukte ho ya nhi.

5:91

Aur Allah ke huqum ki pairvi kro aur rasool ki itaatt kro aur hoshiyar raho aur agar tum ne muh fera to jaan lo ki humare rasool par khula sandesh (paigham) pahuncha dena hai.

5:92

Aise logon par jo emaan rakhte hon aur neki ka kaam krte hon, us cheez me koi gunah nhi jis ko veh khate-peete hon, jabki veh log Allah se darte hon aur emaan rakhte hon aur neki ka kaam krte hon, fir parhezgari krte hon aur emaan rakhte hon fir parhezgari krte hon aur bahut zyada neki ka kaam krte hon, Allah aise nek kaam krne walon se muhabbat krta hai.

5:93

Hey emaanwalo! Allah (taala) kuch shikar ke zariye tumhara imtehan leta hai, jin tak tumhare hath aur tumhare bhaale pahunch skenge taki Allah (taala) maloom kar le ki kaun insaan us se bina dekhe darta hai, jo insaan iske bad hadd se badh jayega use sakht szaa hai.

5:94

Hey emaanwalon! jab tum (hajj ya umreh ka) ehraam ki halat me raho to shikar na kro aur tum me se jo bhi jaan boojh-kar use mare, to use fidiya dena hai usi ke smaan, paaltu jaanwar se jiska faisla tum me se do aadil krenge jo qurbani ke liye kaaba tak pahunchaya jayega ya fidiya ke taur par miskeeno ko khana dena hai ya us ke brabar roze (vratt) rakhna hai taki apne kiye ki szaa chakho, jo pehle ho chuka Allah ne use maaf kar diya aur jo is (mna ke huqum) ke baad aisa fir krega Allah usse badla lega, Allah taaqatvar badla lene wala hai.

5:95

Tumhare liye samundar ka shikar pakadna aur khana halal kiya gya hai. Tumhare imtehan ke liye aur musafiron ke liye, aur khushki ka shikar hraam kiya gya jab tak tum ehraam ki halat me ho, aur Allah (taala) se daro jiske pas jmaa kiye jaoge.

5:96

Allah ne kaaba ko jo hurmatt wala ghar hai, logon ke liye kayam rehne ka sabab bnaya aur hurmatt wale maheene ko aur haram me qurbani diye jane wale janwaron ko bhi aur un janwaron ko bhi jin ke gale me patte hon. Yeh isliye taki tum is baat par yakeen kar lo ki beshak Allah (taala) aasmano aur zameen ke andar ki cheezon ka ilm rakhta hai aur beshak Allah sbhi cheez ko achhi tarah janta hai.

5:97

Tum yakeen kro ki Allah taala szaa bhi sakht dene wala hai aur Allah (taala) bada bakhshne wala aur bahut reham krne wala bhi hai.

5:98

Rasool ka farz to sirf pahunchana hai aur Allah (taala) sbhi kuch janta hai jo kuch tum zahir krte ho aur jo kuch chhipa rakhte ho.

5:99

Aap keh dijiye ki naapak aur paak brabar nhi, agarche aap ko naapak ki zyadati achi lagti ho, Allah (taala) se darte raho, hey akalmando! taki tum qamyaab ho.

5:100

Al-Maidah
Al-Maidah 5:100


Hey emaanwalon! aise vishay me sawaal na kro ki jise zahir kar diya jaye to tumhe bura lag jaye aur agar quran utare jane ke waqt sawaal kroge to tumhare upar zahir kar diya jayega, jo ho chuka Allah ne use maaf kar diya aur Allah bakhshane wala sehan krne wala hai.

5:101

Tum se pehle kuch logon ne yhi sawaal kiya fir un ke inkari ho gye.

5:102

Allah ne huqum nhi diya hai baheerah ki na saybah ki na vaseelah ki na haam ki, lekin kafir Allah par jhutha ilzaam lagate hain aur un me zayadatar akal nhi rakhte.

5:103

Aur jab un se kaha gya ki us (paak quran) ki aur rasool (muhammad saw) ki taraf aao to unhone kaha ki jis (riti) par hum ne apne buzurgon ko paya hai veh humein bass hai, agarche unke buzurg kuch na jaan rahe hon aur sahi raste par na hon.

5:104

Hey emaanwalon! apni fikr kro, jab tum sache raste par chal rahe ho to jo insaan bhatak jaye us se tumhara koi nuqsaan nhi, Allah hi ke pas tum sbhi ko jana hai, fir veh tum sab ko batla dega jo kuch tum krte the.

5:105

Hey emaanwalon! jab tum me kisi ki maut ka waqt ho to vaseeyat ke waqt tum me se do aadil insaan ko gwaah hona chahiye, ya tumhare sivaye do anya ko agar tum zameen me safar kar rhe ho aur tum par maut ki museebat aa jaye, (shak ki halat me) tum dono (gwahon) ko (jamaat ki) namaz ke bad rokoge fir dono Allah ki kasam lenge ki hum is (gwaahi) ke badle koi keemat nhi lena chahte, agarche veh kreebi ho aur hum Allah ki gwaahi nhi chhupa skte, agar aisa krenge to hum doshi hain.

5:106

Fir agar pta lag jaye ki veh dono (gwaah) kisi gunah ke patra (mustahaq) hue hain, to jin ke upar gunah ke patra hue hain unme se do kreebi rishtedar dono (gwahon) ki jagah khade honge aur Allah ki kasam lenge ki humari gwahiyan in dono ki gwahiyon se zayada sach hai aur hum ne zayadati nhi kiya hai, hum is halat me zalim honge.

5:107

Yeh sabse kreebi zariya hai ki ve log sachi gwaahi dein ya unhe yeh darr ho ki kasmon ke bad fir kasam ulti pad jayegi aur Allah se darro aur sun lo ki Allah fasikon ko hidayat nhi deta.

5:108

Jis (qayamat) din Allah (taala) paighamberon (updeshkon) ko jmaa krega, fir puchhega ki tum ko kya jawab mila tha? Veh jawab denge hum ko kuch nhi maloom, sirf tu hi gaeb ka jaankar hai.

5:109

Al-maidah
Al-Maidah

Jab Allah kahega ki hey mariyam ke bete isaa! apne aur apni maa ke upar meri nemat ko yaad kro, jab maine pakeezah rooh, (jibraeel) ke zariye tumhari madad ki, tum palne me aur adhedd umar me logon se baat krte rahe aur jab hum ne kitaab aur hiqmat aur tauraat aur injeel ka ilm diya aur jab tum mere huqum se pakshi ki pratima (mujassama) mitti se bnate the aur us me foonkte the to mere huqum se pakshi ban jata tha aur tum mere huqum se paidaishi andhe aur kodhi ko sehatyaab kar rahe the aur mere huqum se murdon ko nikalte the aur jab maine israeel ke beton ko tum se roka jab tum un ke pas mojizaa laye, to un me se kafiron ne kaha ki yeh sirf khula jadu hai.

5:110

Aur jabki maine hawariyon ko prerna (ilhaam kiya) di, ki tum mujh par aur mere rasoolon par emaan lao, unhone kaha, hum emaan laye aur aap gwaah rahiye ki hum puri tarah se farman-bardar hain.

5:111

Yaad kro jab hawariyon ne kaha ki hey isaa mariyam ke bete! kya tumhara rabb hum par aasman se ek thaal utaar sakta hai? Us (Isaa) ne kaha agar tum emaan rakhte ho to Allah se darro.

5:112

Unhone kaha ki hum chahte hain ki us me se khayein aur humare dilon ko sakoon ho jaye aur humein yakeen ho ki aap ne hum se sach kaha aur hum us par gwaah ho jayein.

5:113

Mariyam ke bete isaa ne kaha, hey Allah ! hum par aasman se ek thaal utaar de jo hum me se pehle aur aakhir ke liye khushi ki baat ho jaye aur teri taraf se ek nishaan ho aur humein rozi attah kar tu behtar rozi dene wala hai.

5:114

Allah (taala) ne kaha ki mai veh khana tum logon ke liye utarne wala hun, fir tum me se jo insaan us ke baad kufr krega to mai us ko aisa azaab dunga ki veh azaab mai sari duniya me kisi ko na dunga.

5:115

Aur (veh waqt bhi yaad kro) jabki Allah (taala) kahega ki hey isaa ibne mariyam, kya tum ne un logon se keh diya tha ki mujh ko aur meri maa ko Allah ke sivaye mabood bna lena? (Isaa) kahenge ki mai to tujhe munzzah (paak) samjhta hun, mujh ko kis tarah se shobha (zaeb) deti ki mai aisi baat kehta jis ke kehne ka mujhe koi haqq nhi, agar maine kaha hoga to tujh ko us ka ilm hoga, tu to mere dil ki baat jaanta hai, mai tere jee me jo kuch hai us ko nhi jaanta, sirf tu hi gaebon (prokshon) ka jaankar hai.

5:116

Maine un se sirf vhi kaha jis ka tune mujhe huqum diya ki apne rabb aur mere rabb Allah ki ibaadat kro, aur jab tak mai un me raha un par gwaah raha aur jab tune mujhe utha liya to tu hi unka sanrakshak (nigraan) tha aur tu har cheez par gwaah hai.

5:117

Agar tu inko szaa de to yeh tere bande hain aur agar tu inhe maaf kar de to tu zabardast hiqmat wala hai.

5:118

Allah (taala) kahega ki yeh veh din hai ki sachon ka sach unke liye faydemand hoga, unko baag milenge jin ke neeche nehrein beh rahi hongi, jis me veh humesha humesha rahenge, Allah taala un se khush (prasann) aur ye Allah se khush hain, yeh bahut bhari kamyabi (safalta) hai.

5:119

Allah hi ka mulk (rajya) hai, aasmano ka aur zameen ka aur unka jo un me maujood hain aur veh har cheez par kudrat rakhta hai.

5:120

———————-X———————–

AL-QURAN SURAH AL-MAIDAH – 5 HINDI TRANSLATION.

Soure : islam-peace.com

Share Now:

29 Replies to “Al-Quran | Soorutul Al-Maidah – 5 | Hindi Translation

  1. Howdy! Do you use Twitter? I’d like to follow you if that would be okay.
    I’m absolutely enjoying your blog and look forward to new updates.

  2. My brother suggested I might like this web site. He was totally right.
    This post actually made my day. You can not imagine just how much
    time I had spent for this info! Thanks!

  3. Hi there, I check your new stuff on a regular basis.
    Your story-telling style is awesome, keep doing what you’re doing!

  4. Wow, awesome blog layout! How long have you been blogging for? you made blogging look easy. The overall look of your web site is wonderful, as well as the content!

  5. Hi! I’m at work surfing around your blog from my new apple
    iphone! Just wanted to say I love reading through your blog and look forward to all your posts!
    Carry on the fantastic work!

  6. Wow that was strange. I just wrote an extremely long comment but after I clicked submit my comment didn’t appear.
    Grrrr… well I’m not writing all that over again. Anyway,
    just wanted to say wonderful blog!

  7. I found myself delighted to uncover this amazing site.
    I would like to to thank you for ones time for this fantastic read!!
    I definitely really liked every little bit of it and so i perhaps you
    have saved like a favorite to find out new
    stuff on your own website.

  8. I just like the helpful information you provide for the articles.

    I’ll bookmark your weblog and take a look at again here regularly.
    I am just slightly certain I will learn plenty of new stuff proper right here!
    Best of luck for the following!

  9. It’s not my first time to pay a visit this website, i am visiting this site dailly and obtain nice data from here daily.

  10. What’s Taking place i’m new to this, I stumbled upon this
    I’ve discovered It positively useful and it has aided
    me out loads. I am hoping to give a contribution & help different customers like its helped
    me. Great job.

  11. I am just really impressed with your writing skills plus using the layout on your own blog.
    Is that this a paid theme or do you modify it yourself? Anyway maintain the excellent quality
    writing, it’s rare to see a nice blog similar to this one nowadays.

  12. Hello, this weekend is fastidious for me, because this moment
    i am reading this great educational piece of writing here at my
    house.

  13. Good day! This can be my first trip to your website!
    Our company is a collection of volunteers and starting a fresh project within a
    community from the same niche. Your blog provided us useful information to be effective on.
    You may have done a outstanding job!

  14. I got this website from my buddy who shared with me about this website and at the
    moment this time I am visiting this site and reading very informative articles or reviews here.

  15. Great beat ! I would want to apprentice on currently as you amend your site, how could i subscribe for a weblog website?
    The account helped us a acceptable deal. I have already been a little bit acquainted
    of your broadcast offered brilliant clear idea

  16. Hey there! This is my first comment here so I just wanted to give a quick
    shout out and tell you I truly enjoy reading your posts.
    Can you suggest any other blogs/websites/forums that go over the same subjects?
    Many thanks!

  17. Hello could you mind letting me know which webhost you’re utilizing?
    I’ve loaded your blog site in 3 completely different browsers and I have to admit this blog loads a lot faster then most.
    Is it possible to recommend a good internet hosting provider in a fair price?
    Kudos, I appreciate it!

  18. I have got read some perfect stuff here. Definitely value bookmarking for revisiting.
    I wonder how so much attempt you place to create one of those great informative internet site.

  19. Hello there, I discovered your website by means of Google while
    seeking a comparable matter, your web site got here up, it seems to be great.
    I have bookmarked it inside my google bookmarks.

  20. Wow, that’s a few things i was searching for, just what a stuff!
    present right here at this web site, thanks admin of this site.

  21. My spouse and I stumbled right here by a different web address and thought I should check things out.

    I love a few things i see so i am just just following you.
    Look ahead to going over your online page yet again.

  22. This site was… how do you say it? Relevant!! Finally I have found something
    which helped me. Thank you!

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *