Al-Quran : Surah Luqmaan – 31
Surah Luqmaan Mecca me nazil hui, isme 34 aaytein aur 4 rukuh hain.
Allah ke naam se shuru krta hun, jo bada meharban aur reham krne wala hai.
31:1
Alif. Laam. Meem.
31:2
Yeh hiqmat (divya gayan) wali kitaab ki aaytein hain.
31:3
Jo parhezgaron ke liye hidayat aur (sarvatha) rehmat hai.
31:4
Jo log pabandi se namaz padhte hain aur zakat (dharam daan) dete hain aur aakhirat par (pura) yakeen karte hain.
31:5
Yhi log hain jo apne rabb ki taraf se hidayat par hain aur yhi log najaat hasil krne wale hain.
31:6
Aur kuchh log aise bhi hain jo anayaas (lagv) baaton ko mol lete hain ki agyaanta (jihaalat) ke sath logon ko Allah ke raste se bhatkayein aur use mazak banayein, yhi ve log hain jinke liye apmanit (zaleel) krne wala azaab hai.
31:7
Aur jab uske samne humari aayton ka path (tilaawat) kiya jata hai to ghamund ke sath is tarah muh fer leta hai ki jaise us ne suna hi nahin, jaise ki us ke dono kano mein daat hai. Aap use kathin azaab ki khabar dijiye.
31:8
Beshaq jin logon ne emaan qubool kar liya aur kaam bhi nek (sunnat ke anusaar) kiya un ke liye sukhon wali jannat hain.
31:9
Jahan ve humesha raheinge, Allah ka sacha vaada hai, veh bada mahima (galba) wala aur pura hiqmat wala hai.
31:10
Usi ne aakashon ko bina khambhe (stumbh) ke banaya hai, tum unhein dekh rahe ho, aur us ne dharti par pahadon ko daal diya taaki ve tumhein kampit (jumbish) na kar skein, aur har tarah ke jaandar dharti mein faila diye, aur us ne aakash se barish krke dharti se har tarah ke sundar jode upja diye.
31:11
Yeh hai Allah ki srishti (makhlook) ab tum mujhe is ke sivaye dusre kisi ki koi srishti to dikhao (kuchh nhi), yeh zalim khuli gumrahi mein hain.
31:12
Aur hum ne beshaq luqman ko hiqmat diya ki tu Allah (taala) ka shukriya ada kar, har shukr krne wala apne hi fayde ke liye shukriya ada karta hai, jo bhi nashukri kare veh jaan le ki Allah (taala) beniyaaz tareef wala hai.
31:13
Aur jab luqman ne naseehat karte hue apne putrr se kaha ki hey mere priy putrr! Allah (taala) ke sath sajhidaar na banana, beshaq Allah ka sajhidaar banana bahut bada zulm hai.
31:14
Hum ne insaan ko us ke maata-pita ke bare mein shiksha (taleem) di hai, uski maata ne takleefon par taqleef uthakar use garbh mein rakha aur uski doodh chhudayi do saal mein hai, ki tu meri aur apne maata-pita ka shukriya ada kar, meri hi taraf lautkar aana hai.
31:15
Aur agar ve dono tujh par is baat ka dabaav dalein ki tu mere sath sajhidaar bna jiska tujhe ilm na ho to tu unka kehna na manna, lekin duniya mein un ke sath bhalai se nirvaah (basar) karna aur us ke raste par chalna jo meri taraf jhuka hua ho. Tumhara sab ka lautna meri hi taraf hai, tum jo kuchh karte ho us se fir main tumhein bakhabar kar dunga.
31:16
Pyare bete! agar koi cheez raayi ke daane ke brabar ho, fir veh bhi agar kisi pathar ke neeche ho ya aakashon mein ho ya dharti mein ho, use Allah (taala) zaroor layega, Allah (taala) bada bareek dekhne wala aur janne wala hai.
31:17
Hey mere pyare bete! tu namaz qayam rakhna, achhe kamon ke liye huqm dena aur bure kamon se rokna, agar tum par museebat aaye to sabr karna, (yakeen karo) ki yeh bade takeedi kamon mein se hai.
31:18
Aur logon ke samne apne gaal na foola, aur dharti par akad kar ghamund se na chal, kisi ahankari (taqabbur) ghamundi insaan ko Allah (taala) pasand nahin karta.
31:19
Aur apni chaal mein darmiyana pann rakh, aur apni aawaz dheemi rakh, beshaq bahut buri aawaz gadhe ki aawaz hai.
31:20
Kya tu nhi dekhta ki Allah (taala) ne dharti aur aakash ki har cheez ko humari seva mein lga rakha hai aur tumhein apni khule aur chhipe ehsaan poore taur par kar rakhi hain, aur kuchh log Allah ke bare mein bina ilm, bina hidayat aur bina roshan kitaab ke jhagda karte hain.
31:21
Aur jab unse kaha jata hai ki Allah (taala) ki nazil ki hui vahee (prakashna) ki pairvi karo, to kehte hain ki hum ne to jis raste par apne buzurgon ko paya hai usi ki itteba kareinge, chahe shaitan un se buzurgon ko narak ke azaab ki taraf bulata ho.
31:22
Aur jo insaan apne chehre ko (khud ko) Allah ke taabe kar de aur veh hai bhi parhezgar, to beshaq us ne mazboot kadda thaam liya, sbhi amal ka nateeja Allah ki taraf hai.
31:23
Aur kafiron ke kufr se aap dukhi na hon, aakhir mein un sbhi ka lautna humari taraf hi hai, us samay un ke kiye ko hum unhein bta deinge, beshaq Allah dilon ki bhedon (raaz) tak jaanta hai.
31:24
Hum unhein kuchh yun hi fayda pahuncha dete hain, lekin aakhir hum unhein bahut majburi ki halat mein sakht azaab ki taraf haank le jayeinge.
31:25
Aur agar aap un se puchhein ki aakash aur dharti ka paida karne wala kaun hai? To ye zaroor jawab deinge Allah, to keh dijiye ki sari tareefon ke layak Allah hi hai, lekin un mein se zyadatar log anjaan hain.
31:26
Aakashon mein aur dharti mein jo kuchh hai veh sab Allah hi ka hai, beshaq Allah (taala) bada beniyaz aur mahima (hamd) aur tareef ke layak hai.
31:27
Aur sari dharti ke pedon ki agar qalmein ho jayein aur sare samundron ki syahee ho, aur un ke baad saat samundra dusre hon fir bhi Allah ki tareef khatm nahin ho sakti. Beshaq Allah (taala) prabhavshali aur hiqmat wala hai.
31:28
Tum sab ki paidaish aur marne ke baad zinda karna aisa hi hai, jaise ek jaan ka, beshaq Allah (taala) sunne dekhne wala hai.
31:29
Ya aap nahin dekhte ki Allah (taala) raat ko din mein aur din ko raat mein khapa deta hai. Suraj aur chaand ko usi ne farmanbardar bna rakha hai ki har ek muqarrar waqt (nirdharit samay) tak chalta rahe, Allah (taala) har us amal ko jo tum karte ho jaanta hai.
31:30
Yeh sab (intezaam) is sabab hai ki Allah (taala) sach hai aur us ke sivaye jin-jin ko log pukarte hain sab jhuth (baatil) hain, aur beshaq Allah (taala) bahut aala (uncha) aur bahut bada hai.
31:31
Kya tum is par khayal nahin karte ki paani mein navein Allah ki nemat se chal rahi hain, isliye ki veh tumhein apne nishan dikha de, beshaq is me har sabr krne wale aur shukrguzar ke liye bahut si nishaniyan hain.
31:32
Aur jab un par dharayein un chhatron (saibano) ki tarah chha jati hain, to ve (bahut) yakeen kar ke Allah (taala) hi ko pukarte hain aur jab Allah (taala) unhein chhutkara dilakar thal (khushki) ki taraf pahunchata hai, to kuchh un mein se santulit (aetdaal par) rehte hain, aur humari aayton ka inkaar vhi krte hain, jo vaada todne wale aur nashukre hon.
31:33
Logon! apne rabb ka bhayy (darr) rakho aur us din ka bhayy kro, jis din pita apne putr ko koi laabh (fayda) na pahuncha sakega aur na putr apne pita ko tanik bhi laabh pahunchane wala hoga, yaad rakho! Allah ka vaada sacha hai, dekho! tumhein sansarik jeevan dhokhe mein na daale aur na dhokhebaaz (shaitan) tumhein dhokhe mein daal de.
31:34
Beshaq Allah (taala) hi ke paas qayamat ka ilm hai, vahi baarish karta hai aur maa ke garbh mein jo hai use jaanta hai. Koi (bhi) nahin jaanta ki kal kya kuchh kamayega? Na kisi ko yeh maloom hai ki kis dharti par marega. Yaad rakho! Allah (taala) hi poore gyan (ilm) wala aur sachhai janne wala hai.
Al-Quran – Surah Luqmaan – 31 – Hindi Translation
Soure : islam-peace.com