The Seven under the shade of Allah
Judgement Day

The Seven under the shade of Allah

The Seven under the shade of Allah

Assalamu Alaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu

BISMILLAH

7 Allah Ki Chhaya Mein

☝️JIS DIN ALLAH KE ARSH KE SAAYE KE SIWA KISI KA SAAYA NA HOGA☝️

Puri duniya khatam hone ke baad ALLAH duniya ke pehle insan se lekar aakhiri insan tak sabko phir se zinda kar dega, aur har insan ALLAH ke saamne khada hoga, apni zindagi ka hisaab dene, jahan insan khada hoga wo ek bahut bada khula maidaan hoga, yahan ALLAH suraj ko insano ke bahut kareeb la dega, jiski wajah se sabko bahut takleef dene waali garmi lagegi, is maidan mein kisi cheez ka saya na hoga, sirf ALLAH ke arsh (throne) ka saya hoga, aise time mein har insan suraj ki dhoop mein khada hoga lekin kuch logo ko ALLAH apne ARSH ke saaye mein jagah dega.

Hazrat Muhammad (sallallahu alaihi wa sallam) ne farmaya – Jis din ALLAH ke arsh ke saaye ke siwaa kisi ka saaya na hoga……

seven under the shade of allah

Us din 7 tarah ke log ALLAH ke ARSH ke saaye mein honge (The Seven under the shade of Allah) :

1❤️️ Sahi Insaaf karne wala Badshah / Raja

2❤️️ Wo Naujawaan jisne ALLAH ki Ibaadat jawani mein ki

3❤️️ Wo Shakhs jiska Dil Masjid se juda rehta hai. (masjid me jamaat ke sath fard namazon ka padhna)

4❤️️ Wo 2 Shakhs jo sirf ALLAH ke liye Muhabbat karein ……. Juda hon to ALLAH ke liye …..Aur milein to ALLAH ke liye.

5❤️️ Wo Shakhs jisko koi Izzatdaar aur Haseen Aurat bulaaye (zina ke liye) ….to wo kahe ke mei ALLAH se darta hun. (isliye tere pass nahi aa sakta)

6❤️️ Wo Shakhs jo itna chhupa kar Sadaqah (donation charity) kare ke bayein haath tak ko khabar na ho ke dayein haath ne kya diya. (yani koi na jaanta ho ki usne kya sadaqah kiya hai)

7❤️️ Wo Shakhs jo akele mei ALLAH ko yaad kare….Aur uski aankhon se aansu behte hon.

AL-Bukhari- 660, Muslim- 1031


Aye ALLAH hum sab ko bhi apne ARSH ke saaye mein jagah naseeb farmaye.
AAMEEN

Share Now:

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *