Al-Quran Hindi Translation

Al-Quran | Surutun Nisa – 4 | Hindi Translation

Surutun Nisa – 4
Surah Nisa Madeene me utri aur isme 176 aaytein or 24 rukuh hain.
Allah ke naam se shuru krta hun, jo bada mehrbaan or reham krne wala hai.

Hey logon! apne us palanhar se darro jisne tumko ek jaan se paida kiya aur usi se uski biwi ko paida kiya. Aur dono se bahut se mard-aurat faila diye aur us Allah se darro jiske naam par ek-dusre se mangte ho aur rishta todne se (bhi bacho), beshak Allah tum par sanrakshak (nigehbaan) hai.

4:1

Aur yateemo ko unka maal de do aur paak ke badle napaak na lo aur apne maal me milakar unka maal na khao, beshak yeh bada gunah hai.

4:2

Aur agar tumhe darr ho ki yateem ladkiyon se shadi krke tum insaaf na kar skoge to or aurton me jo tumhe achhi lgein tum unse shadi karlo, do-do, teen-teen, char-char, lekin agar adal na rakhne ka darr hai to ek hi kafi hai ya tumhari malkiyatt ki dasiyan yeh jyada kreeb hai ki (aisa krne se na-insaafi aur) ek or jhukne se bacho.

4:3

Aur aurton ko unke mehar (jo rashi vivah ke liye manya ho) marzi se de do, aur agar veh khud apni marzi se kuch mehar chhod dein to use apni marzi se khao piyo.

4:4

Aur be-akklon ko apna maal jise Allah ne tumhara sahara bnaya hai na do aur unme se unhein khilao aur pehnao aur unse narm baat bolo.

4:5

Aur yateemo ko unke baligh ho jane tak sudharte aur aazmaish krte raho, fir agar tum unme sudhar dekho to unhe unke maal saonp do, aur unke bade ho jane ke darr se unke maal ko jaldi-jaldi fuzul kharchon se na khao, dhanwano ko chahiye ki unke maal se bachte rahein, agar greeb hon to niyam anusaar kha lo, fir jab unhe unke maal saonpo to gwaah bna lo, aur lekha-jokha ke liye Allah kafi hai.

4:6

Mata-pita aur kreebi rishtedaron ki sampatti me mardon ka hissa hai aur aurton ka bhi (jo dhan-sampatti maa-baap aur kreebi rishtedar chhod kar marein) chahe veh dhan kam ho ya jyada (usme) hissa muqarrar kiya hua hai.

4:7

Aur jab bantware ke waqt rishtedar, yateem aur greeb aa jayein, to tum usme se thoda bahot unhe bhi de do aur unse narmi se bolo.

4:8

Aur chahiye ki veh is baat se darrein ki agar veh apne pichhe (nanhe-nanhe) kamzor bache chhod jate, jinke khrab ho jane ka darr rehta hai (to unki muhabbat kya hoti), to bas Allah taala se darr kar doorust baat kaha krein.

4:9

Jo log nahaq zulm se yateemo ka maal kha jate hain, veh apne peton me aag hi bhar rhe hain aur veh jahannum me jayenge.

4:10

Allah taala tumhe tumhari aulad ke barey me huqum deta hai ki ek ladke ka hissa do ladkiyon ke barabar hai, agar sirf ladkiyan hon aur do se jyada hon, to unhe miraas ke maal me se do tihaai milega, aur agar ek hi ladki ho to uske liye aadha hai aur marne wale ke maa-baap me se har ke liye uske chhode hue maal ka chhatha bhag hai, agar us (mritak) ki aulad ho, agar aulad na ho, aur maa-baap varis hon to fir uski maa ke liye teesra hissa hai, haan, agar marne wale ke kyi bhai hon to fir uski maa ka chhatha hissa hai, yeh hissa us waseeyat (ki takmeel) ke baad hai jo marne wala kar gya ho ya karz ada krne ke baad. Tumhare pita ho, ya tumhari aulad tumhe nhi maloom ki unme se kaun tumhe fayda pahunchane me jyada kreeb hai, yeh hissa Allah (taala) ki taraf se muqarrar kiye hue hain, beshak Allah taala janne wala hiqmat wala hai.

4:11

Aur tumhari biwiyan jo kuch chhod kar mrein aur unki aulad na ho to aadha tumhara hai aur agar unki aulad ho to unke chhode hue maal me se tumhare liye chauthai hai. Us vaseeyat ko ada krne ke baad jo veh kar gyi ho ya karz ko ada krne ke baad aur jo (tarka) tum chhod jao usme se unke liye chauthai hai, agar tumhari aulad na ho, aur agar tumhari aulad ho to fir unhe tumhare chhode hue maal me se aathvan hissa milega, us vaseeyat ke baad jo tum kar gye ho aur karz ko ada krne ke baad, aur jinki miraas li jati hai, veh mard ya aurat klaalh ho (yani uska baap ya ladka na ho) aur uska ek bhai ya ek behan ho, to unme se har ek ka chhatha hissa hai, aur usse jyada ho to ek tihaai me sbhi shamil hain, us vaseeyat ke baad jo ki gyi ho aur karz ke ada hone ke baad jabki dusron ko nuksan na pahunchai gyi ho, yeh muqarrar kiya hua Allah (taala) ki taraf se hai aur Allah (taala) har baat ka janne wala aur sehansheel hai.

4:12

Yeh hudood Allah taala ke muqarrar kiye hain aur jo Allah (taala) aur uske rasool ke huqum ko bja layega use Allah (taala) jannat me le jayega, jin ke neeche nehrein beh rhi hain, jinme veh humesha rhenge aur yeh bahut badi kamyabi hai.

4:13

Aur jo insaan Allah (taala) ki aur rasool ki nafarmani kre aur uski muqarrar hudood ko langh jaye, use veh jahannum me daal dega, jisme veh humesha rahega, aison ke liye hi ruswa krne wala azaab hai.

4:14

Tumhari aurton me se jo zina ka kaam krein, un par apne me se char gwaah talab kro, agar veh gwaahi dein to un aurton ko ghar me bandi bna do, yahan tak ki maut unki umar ko pura kar de, ya Allah taala unke liye koi dusra rasta nikale.

4:15

Aur tum me se jo do insaan aisa kam kar lein unhe takleef do, agar veh mafi mang lein aur sudhar kar lein, to unse muh fer lo. Beshak Allah taala tauba qubool krne wala aur reham krne wala hai.

4:16

Allah taala kewal unhi logon ki tauba (kshama) sveekar (qubool) karta hai jo anjaan hone ke karan burai krein aur jald hi usse ruk jayein aur mafi mange to Allah (taala) bhi unki tauba qubool karta hai. Allah (taala) bada gyani budhiman hai.

4:17

Aur unki tauba qubool nhi, jo buraiyan krte chle jayein yahan tak ki unme se kisi ki maut kreeb aa jaye, to keh dein ki maine ab mafi mangi unki mafi bhi qubool nhi hoti jo kufr ki halat me mar jayein, yhi log hain jinke liye humne sakht azaab tayyar kar rakha hai.

4:18

Aye emaanwalon! tumhare liye mna hai ki zabardasti aurton ko varis ke roop me le betho, unhe isliye na rok rakho ki jo tumne unhe de rakha hai usme se kuch le lo. Haan, yeh or baat hai ki veh koi khuli burai aur zina ka vayvahar (sulook) krein. Unke sath achha sulook kro, agarche ki tum unhe pasand na kro lekin bahut mumkin hai ki tum ek cheez ko bura jano, aur Allah (taala) usme bahut si bhalai kar de.

4:19

Aur agar tum ek biwi ki jagah par dusri biwi karna hi chaho aur unme se kisi ko tumne maal ka khazana de rakha ho to bhi usme se kuch na lo, kya tum use badnaam krke khule gunah se le loge.

4:20

Aur tum use kaise le loge? bawajood iske ki tum ek-dusre se mil chuke ho. Aur un aurton ne tum se mazboot wada le rakha hai.

4:21

Aur un aurton se shadi na kro, jinse tumhare bapon ne shadi kiya ho. Lekin jo ho chuka, yeh besharmi ka kaam aur keena ki wajah se hai aur bda bura rasta hai.

4:22

Tum par haram ki gyi, tumhari mayein, tumhari betiyan, tumhari behne, tumhari fufiyan, tumhari khalayein, bhai ki betiyan, behan ki betiyan aur tumhari veh mayein jinhone tumhe doodh pilaya ho. Aur tumhari doodh me bhagidar behne, tumhari saas aur tumhari veh palan-poshann ki gyi ladkiyan jo tumhari gaud me hain, tumhari un aurton se jinse tum jimaah kar chuke ho. Haan, agar tum ne unse jimaah na kiya ho to tum par koi gunaah nhi, aur tumhare apne sge beton ki biwiyan aur tumhara do sgi behno ko ek sath shadi krna. Haan, jo ho chuka so ho chuka, beshak Allah taala maaf krne wala meharban reham krne wala hai.

4:23

Aur (tumhare liye) shadi-shuda aurtein (haram ki gyi hain) lekin jo (dasi) tumhari malkiyat me hon, yeh huqum tum par Allah ne farz kar diye hain, aur inke sivaye dusri aurtein tumhare liye halal ki gyi ki apne maal (mehar) se unse vivah kro, badkari ke liye nhi paki ke liye, isliye jinse tum fayda uthao unhe unka mehar do, aur tum muqarrar mehar ke bad aapsi razamandi se jo chaho tey kar lo tum par koi burai nhi, beshak Allah janne wala, hiqmat wala hai.

4:24

Aur tum me se jo aazad mussalman aurat se shadi ki taqat na rakhta ho veh us mussalman dassi se (shadi kre) jo tumhari malkiyatt me ho. Allah tumhare amal se puri tarah bakhabar hai, tum aapas me ek hi ho, isliye tum unke ghar walon ki ijaazat se unse shadi kro. Aur niyam ke mutabik unka mehar de do, veh pak hon baddkaar na hon, na gupt (poshida) premi rakhne waliyan, to jab yeh shadi shuda ho jayein fir badkaari krein to un par aazad aurton ki aadhi sza hai. Yeh shadi ka huqum uske liye hai jise badkari ka darr ho aur sehan krna tumhare liye achha hai aur Allah bakhshane wala reham krne wala hai.

4:25

Allah (taala) tumhare liye wazeh krna aur tumhe tum se pehle ke (nek logon ka) rasta dikhana aur tumhari tauba qubool krna chahta hai aur Allah janne wala, hiqmat wala hai.

4:26

Aur Allah taala chahta hai ki tumhari tauba qubool kre aur jo log kaam-vasna ke adheen (khawahishat ke pairon) hain veh chahte hain ki tum usse bahut door hat jao.

4:27

Allah tumhara bojh halka krna chahta hai, aur insaan kamzor paida kiya gya hai.

4:28

Hey mussalmano! apna maal aapas me najayaz tareeke se na khao, lekin yeh ki tumhari aapas ki razamandi se tijarat ho, aur apne aap ko qatal na kro, beshak Allah taala tum par reham krne wala hai.

4:29

Aur jo insaan yeh (nafarmani) hadd langh kar aur zulm se krega to kreeb mustaqbil me hum use aag me dalenge, aur yeh Allah ke liye bada aasaan hai.

4:30

Agar tum in bade gunahon se bachte rahoge jinse tumko mna kiya jata hai to hum tumhare chhote gunahon ko door kar denge aur izzat ke darwaze me dakhil kar denge.

4:31

Aur us cheez ki tamanna na kro, jiski wajah se Allah ne tum me se kisi ko kisi par fazeelat attah ki hai, mardon ka veh hissa hai jo unhone kamaya aur aurton ke liye veh hissa hai jo unhone kmaya, aur Allah (taala) se uska fazal maango, beshak Allah (taala) har cheez ka jankar hai.

4:32

Aur maa-baap ya kreebi rishtedar jo chhodkar mrein, uske varis humne har insaan ke muqarrar kar rakhe hain, aur jinse tumne apne hatho muaahda kiya hai unhe unka hissa do, haqeeqat me Allah taala har cheez ko dekh rha hai.

4:33

Mard aurat par hakim hain, is wajah se ki Allah ne ek ko dusre par fazeelat di hai, aur is wajah se ki mardon ne apna maal kharch kiya hai, isliye nek farmanbardar aurtein shohar ki gaer mojudgi me Allah ki hifazat ke zariye (izzat aur maal) ki muhafiz aurtein hain aur jin aurton se tumhe nafarmani ka darr ho unhe tambeeh kro, aur unka bistar alag kar do (fir bhi na manein) to maro aur agar tumhara kehna maan lein to un par raste ki khoj na kro, beshak Allah bahut bada hai.

4:34

Agar tumko (shohar-biwi ke) beech annban hone ka darr ho to ek panch pati ke parivar se aur ek biwi ke parivar se muqarrar kro, agar ye dono sulaah krana chahein to Allah un dono ko mila dega, beshak Allah janne wala khabar rakhne wala hai.

4:35

Aur Allah ki ibaadat kro, uske sath kisi ko shreek na kro, aur maa-baap, rishtedaron, yateemo, greebon, kreeb ke padosi, door ke padosi aur sath ke musafir ke sath ehsaan kro, aur musafir aur jo tumhare taabe hain (unke sath), beshak Allah deeng marne wale, ghmandi se muhabbat nhi krta.

4:36

Jo log (khud) kanjoosi krte hain aur dusron ko bhi kanjoosi krne ko kehte hain, aur Allah taala ne jo apne fazal se unhe attah kar rkha hai use chhipate hain, humne un nashukron ke liye ruswa krne wala azaab tayyar kar rkha hai.

4:37

Aur jo log apna maal logon ko dikhane ke liye kharch krte hain aur Allah (taala) par or qayamat ke din par emaan nhi rakhte, aur jiska sanghi-sathi shaitan ho veh bahut bura sathi hai.

4:38

Aur bhla unka kya nuksan (hani) tha agar yeh Allah (taala) par aur qayamat ke din par emaan late aur Allah (taala) ne jo unhe attah kar rkha hai, usme se kharch krte, Allah (taala) unhe achhi tarah se janne wala hai.

4:39

Beshak, Allah (taala) ek zarre ke brabar zulm nhi krta, aur agar neki ho to use duguna kar deta hai, aur khas taur se apne pas se bahut bda ajar attah (pradan) krta hai.

4:40

To kya hal hoga jis waqt har ummat me se ek gwaah hum layenge aur aap ko un logon par gwaah bnakar layenge.

4:41

Jis din kafir aur rasool ke nafarman yeh tamanna krenge ki kash unhe zameen ke sath brabar kar diya jata aur Allah (taala) se koi baat na chhipa skenge.

4:42

Hey emaanwalon! agar tum nashe me dhut ho to namaz ke kreeb na jao. Jab tak ki apni baat smajhne na lago, aur janabat ki halat me jab tak gusal na kar lo. Haan, agar raah chalte guzar jane wale ho to or baat hai, aur agar tum rogi ho, ya safar me ho ya tum me se koi shoch se aaya ho ya tumne aurton ke sath jimaah kiya ho aur tumhe pani na mile to paak mitti se tayyum kro aur apne muh or apne hath mal lo. Beshak Allah (taala) bahut maaf krne wala bakhshne wala hai.

4:43

Kya tum ne unhe nhi dekha jinhe kitaab ka kuch bhag diya gya? Veh gumrahi khreedte hain aur chahte hain ki tum bhi gumrah ho jao.

4:44

Aur Allah (taala) tumhare dushmano ko achhi tarah se janne wala hai aur Allah (taala) ka dost hona hi kafi hai aur Allah (taala) ka madadgar hona bass hai.

4:45

Kuch yahoodi klaam ko unke sahi muqam se faer badal kar dete hain aur kehte hain ki hum ne suna aur nafarmani ki aur sun us ke bina ki tu suna jaye aur humari taabedari qubool kro (lekin iske kehne me) apni zuban marodd lete hain aur deen ko kalankit krte hain, aur agar yeh log kehte ki humne suna aur humne maan liya aur aap suniye or humein dekhiye to yeh unke liye bahut achha tha aur zyada behtar tha, lekin Allah (taala) ne unke kufr ki wajah se un par laanat ki hai to yeh bahut kam emaan late hain.

4:46

Hey ehle kitaab! jo kuch humne utara hai, jo uski tasdeek krne wala hai jo tumhare pas hai, is par usse pehle emaan lao ki hum chehre bigaad dein aur unhe ghuma kar peeth ki taraf kar dein ya un par lanat bhejein, jaisa ki humne shanivar wale din ke logon par lanat ki hai aur Allah (taala) ka faisla jroor pura kiya hua hai.

4:47

Beshak Allah (taala) apne sath shirk kiye jane ko maaf nhi krta aur iske sivaye jise chahe maaf kar de, aur jo Allah (taala) ke sath shirk kre usne Allah par bhari aarop ghadda.

4:48

Kya aap ne unhe nhi dekha jo apni pakeezgi (aur tareef) khud krte hain? Balki Allah (taala) jise chahe paak krta hai, aur ve ek dhage brabar bhi zulm na kiye jayenge.

4:49

Dekho yeh log Allah (taala) par kis tarah ilzam lgate hain, aur yeh bade gunah ke liye bahut hai.

4:50

Kya aap ne unhe nhi dekha jinhe kitab ka kuch hissa mila hai, jo murtiyon par or jhuthe devon par emaan rakhte hain, aur kafiron ke haq me kehte hain ki yeh log emaanwalon se jyada sache raste par hain?

4:51

Yhi veh log hain jin par Allah (taala) ne laanat ki hai aur jise Allah (taala) laanati keh de to tu kisi ko uska madad krne wala nhi payega.

4:52

Kya unka koi hissa mulk me hai? Agar aisa ho to fir yeh kisi ko ek khajoor ki guthli ki faank ke brabar bhi kuch na denge.

4:53

Ya yeh logon se hasad rakhte hain, us par jo Allah (taala) ne apne fazal se unhe attah kiya hai to humne to ibraheem ki aulad ko kitab aur hiqmat bhi attah kiya aur bada mulk bhi attah kiya.

4:54

Fir unme se kuch ne to us kitaab ko mana aur kuch usse ruk gye aur jahannum ka jalana kafi hai.

4:55

Jin logon ne humari aayton ka inkar kiya unhe hum jroor aag me dal denge, jab unki khalein (charam) puck jayengi, hum unke alava or khalein badal denge, taki veh azaab ka mzaa chakhte rhein, beshak Allah taala zabardast hiqmat wala hai.

4:56

Aur jo log emaan laye aur nek amal kiye, hum kreeb mustaqbil me unhe un jannaton me le jayenge jinke neeche nehrein beh rhi hain, jinme veh humesha rhenge, unke liye vahan paak biwiyan hongi aur hum unhe ghanee chhanv (puri aaramdayak jagah) me le jayenge.

4:57

Allah (taala) tumhe huqm deta hai ki amaanat (dhrohar) unke malikon ko pahuncha do, aur jab logon ke beech faisla kro to adull ke sath faisla kro, beshak veh achhi baat hai jiski shiksha Allah (taala) tumhe de rha hai, beshak Allah (taala) sunne wala dekhne wala hai.

4:58

Hey emaanwalon! Allah ke huqm ki pairvi kro aur rasool (saw) ki aur apne me se hakimo ke huqm ko mano, fir agar kisi baat me ikhtelaf kro to use lautao Allah (taala) aur rasool (saw) ki taraf, agar tumhe Allah aur qayamat ke din par emaan hai, yeh sbse achha hai aur nateeja ke aetbar se bahut achha hai.

4:59

Kya apne unhe nhi dekha jiska khyal hai ki jo kuch aap par aur jo kuch aap se pehle utara gya hai, us par unka emaan hai, lekin veh apne faisle Allah ke sivaye dusron ke pas le jana chahte hain, agarche unhe huqm diya gya hai ki veh unka (shaitan ka) inkar krein? Shaitan to yeh chahta hai ki unhe bhatka kar door dal de.

4:60

Aur unse jab kbhi kaha jata hai ki Allah (taala) ne jo (paak kitaab) utari hai uski taraf aur rasool ki taraf aao, to aap dekhenge ki yeh munaafiq (avsarwadi) aap se muh faer kar ruk jate hain.

4:61

Fir kya wajah hai ki jab un par unke amal ki wajah se koi museebat aa padti hai, to fir yeh aap ke pas aakar Allah (taala) ki kasam (shapath) lete hain ki hmara irada to sirf bhalai aur achha taalluk hi ka tha.

4:62

Yeh veh log hain jinke dilon ka bhed Allah (taala) ko achhi tarah maloom hai, aap unse ansuni kijiye, aur unhe taleem dete rahiye aur unhe veh baat kahiye jo unke dilon me gharr krne wali ho.

4:63

Aur humne har rasool ko sirf isiliye bheja ki Allah (taala) ke huqm se uske huqm ki pairvi ki jaye aur agar yeh log jinhone apni jano par zulm kiya tere pas aa jate, aur Allah (taala) se tauba krte aur rasool bhi unke liye mafi talab krte, to beshak yeh log Allah taala ko maaf krne wala reham krne wala pate.

4:64

To kasam hai tere rabb ki! Yeh (tab tak) emaalwale nhi ho skte jab tak ki sbhi aapas ke ikhtelaf me aap ko faisla krne wala na qubool kar lein, fir jo faisla aap kar dein unse apne dilon me zra bhi tangi aur nakhushi na payein aur farmabardar ki tarah qubool kar lein.

4:65

Aur agar hum un par yeh farz kar dete ki apne aap ko qatal kar lo ya apne gharon se nikal jao, to use unme se bahut hi kam log palan krte, aur agar yeh vhi krein jiski unhe taleem di jati hai, to jaroor hi unke liye bahut achha hota aur bahut jyada mazboot hota.

4:66

Aur tab to hum unhe apne pas se bahut swaab attah krte.

4:67

Aur beshak unhe satya seedha rasta attah kar dete.

4:68

Aur jo bhi Allah (taala) aur rasool (saw) ke huqm ki pairvi kre, veh un logon ke sath hoga, jin par Allah (taala) ne apni nematein ki hai, jaise nabiyon, siddiqon, shaheedon aur nek logon ke (sath), yeh ache sathi hain.

4:69

Yeh Allah (taala) ki taraf se fazal hai aur Allah (taala) hi kafi jankaar hai.

4:70

Hey musalmano! Apne bachav ka samaan le lo, fir giroh-giroh bankar prasthan kro ya sab ke sab ek sath prasthan kro.

4:71

Aur beshak tum me kuch aise bhi hain jo sankoch (tardyud) krte hain fir agar tumhe koi nuksan hota hai to kehte hain ki Allah (taala) ne mujh par badi nemat ki ki mai unke sath maujood nhi tha.

4:72

Aur agar tumko Allah (taala) ka koi fazal hasil ho jaye to jaise ki tum me aur unme rishta tha hi nhi, kehte hain ki kash! Mai bhi unke sath hota to badi kamyabi ko pahunch jata.

4:73

Lekin jo log duniya ki zindagi aakhirat ke badle bech chuke hain, unhe Allah (taala) ki raah me jihad krna chahiye aur jo Allah (taala) ki raah me jihad krte hue shaheed ho jaye ya vijayi ho jaye to beshak hum use bahut achha badla attah krenge.

4:74

Bhla kya wajah hai ki tum Allah ki raah me aur un kamzor mardon, aurton aur nanhe-nanhe bachon ke chhutkare ke liye jihad na kro? Jo is tarah se dua kar rhe hain ki hey hmare rabb! In zalimon ki basti se humein nikal de aur humare liye khud apne pas se himayti muqarrar kar aur humare liye khas taur se apne pas se sahayak bna.

4:75

Jo log emaan laye hain, veh to Allah (taala) ki raah me jihad krte hain aur jin logon ne kufr kiya hai veh to tagoot ki raah me ladte hain bas, tum shaitan ke doston se jung kro, yakeen kro ki shaitan ki chal (bilkul kamzor aur) bahut kamzor hai.

4:76

Kya tumne unhe nhi dekha jinhe huqm diya gya ki apne hathon ko roke rakho aur namazein padhte raho aur zakaat ada krte raho, fir jab unhe jihad ka huqm diya gya to usi waqt unka ek giroh logon se is tarah darra hua tha jaise Allah (taala) ka darr ho, balki isse bhi adhik. Aur kehne lge, hey humare rabb! Tune hum par jihad kyon farz kiya? Kyon humein thodi zindagi aur na guzarne diya? Aap keh dijiye ki duniya ka fayda to bahut kam hai aur parhezgaron ke liye aakhirat behtar hai, aur tum ek dhage ke brabar bhi zulm na kiye jaoge.

4:77

Tum jahan khin bhi hoge maut tumhein aa pakdegi chahe tum mazboot killon me ho, aur agar inhe koi bhalai milti hai to kehte hain ki yeh Allah (taala) ki taraf se hai, aur agar koi burai pahunchti hai, to keh uthte hain ki yeh teri or se hai. Unhe keh do, yeh sab kuch Allah (taala) ki taraf se hai, unhe kya ho gya hai ki koi baat smajhne ke kreeb bhi nhi?

4:78

Tujhe jo bhalai milti hai veh Allah (taala) ki taraf se hai aur jo burai pahunchti hai veh tere apne khud ki taraf se hai, humne tujhe manav jati ke liye rasool bnakar bheja hai aur Allah (taala) gwaah kafi hai.

4:79

Is Rasool (saw) ki jo ita-att kre usi ne Allah (taala) ki ita-att ki aur jo muh faer le to hum ne aap ko koi un par rakshak (nigraan) bna kar nhi bheja.

4:80

Aur yeh kehte to hain ki ita-att hai, fir jab aap ke pas se uth kar bahar nikalte hain to unme ka ek gut jo baat aap ne ya usne khi hai uske khilaf raaton ko vichar-vimarsh (raye-mashwara) krta hai, unki raaton ki baat-cheet Allah (taala) likh raha hai, aap unse muh faer lein aur Allah taala par bharosa rakhein, Allah taala kafi kaam bnane wala hai.

4:81

Kya yeh log quran par vichar nhi krte? Agar yeh Allah (taala) ke sivaye kisi dusre ki taraf se hota to beshak isme bahut kuch ikhtelaf paate.

4:82

Aur jahan unko koi khabar aman ya darr ki mili ki unhone uska prachar krna shuru kar diya, aur agar ye log use rasool (saw) ke aur apne me se aisi baton ke zariye tak pahunchne walon ke hwale kar dete, to iski haqeeqat veh log maloom kar lete jo natija maloom krne ki akal rakhte hain aur agar Allah (taala) ka fazal aur uski rehmat tum par na hoti to kuch insano ke sivaye tum sbhi shaitan ke paironkar ban jate.

4:83

To tu Allah taala ki raah me jihad krta reh, tujhe sirf tere liye hi huqum diya jata hai. Haan, emaanwalon ko aakarshit (mutvijjah) krta reh, bahut mumkin hai ki Allah (taala) kafiron ke hamle ko rok de aur Allah (taala) bahut taqat wala hai aur szaa dene me bhi bahut sakht hai.

4:84

Jo insaan kisi swaab aur bhle kaam krne ki sifarish kre, use bhi uska kuch hissa milega aur jo burai aur bure kaam krne ki sifarish kre, uske liye bhi usme se ek hissa hai aur Allah (taala) har cheez par kudrat rakhne wala hai.

4:85

Aur jab tumhe slaam kiya jaye to us se acha jwaab do, ya unhi lafzon ko palat do, beshak Allah (taala) har cheez ka hisaab lene wala hai.

4:86

Allah veh hai, jiske sivaye koi (sacha) mabood nhi, veh tum sabko jaroor qayamat ke din jmaah krega, jiske (aane) me koi shak nhi, Allah (taala) se jyada sach kiski baat hogi.

4:87

Tumhe kya ho gya hai ki munafikon ke bare me do gutt ho rhe ho? Unhe to unke amlon ki wajah se Allah (taala) ne aundha kar diya hai. Ab kya tum yeh chahte ho ki use raah dikhao, jise Allah ne gumrah kar diya hai, to jise Allah gumrah kar de kbhi tum uske liye koi raah na paoge.

4:88

Veh tamanna krte hain ki jaise kafir ve hain tum bhi unki tarah emaan ka inkar krne lago aur tum sbhi brabar ban jao, isliye unme se kisi ko haqeeqi dost na banao. Jab tak veh Allah ki raah me hijrat na krein, fir agar (is se) muh ferein to unhe pakdo aur qatal kro jahan pao. Hoshiyar! Unme se kisi ko dost ya madadgar na samajh baitho.

4:89

Lekin jo us kaom se rishta rakhte hon jinke aur tumhare beech sulah ho chuki ho ya jo tumhare pas aayein to unke dil tang ho rahe hon ki tumse ladein, aur apni kaom se ladein, aur agar Allah chahta to unhe tum par quwwat attah kar deta aur veh jaroor tumse ladte, to agar veh tum se alag rahein aur laddai na karein aur tumhari or salamati ka paigham pesh krein, to (fir) Allah ne tumhare liye un par koi raah jung ki nhi bnai hai.

4:90

Tum kuch dusron ko paoge jo tumse aur apni kaom se mehfooz rehna chahte hain, aur jab kbhi veh fitnah ki taraf faere jate hain to usme aondhe muh padd jate hain, agar veh tumse alag na rahein aur tumse sulaah na krein aur apne hath na rokein to unhe pakdo aur jahan pao qatal kro, yhi veh hain jin par humne tum ko khuli huzzat diya hai.

4:91

Kisi musalman ke liye jayaz nhi ki kisi musalman ka qatal kar de, lekin chook se ho jaye (to aur baat hai) aur jo insaan kisi musalman ka qatal chook se kar de to us par ek musalman ghulam (ya dasi) aazad krna aur maqtool ke rishtedaron ko khoon ki keemat dena hai. Lekin yeh aur baat hai ki veh maaf kar dein, aur agar veh maqtool tumhare dushman kaom se ho aur musalman ho to ek musalman ghulam aazad krna jroori hai, aur agar maqtool us kaum se hai jiske aur tumhare (musalmano ke) beech sulah hai to khoon ki keemat uske rishtedaron ko ada krna hai aur ek musalman ghulam aazad krna bhi hai, aur jo na paye usko do maheene lagatar roza rakhna hai. Allah se maaf krwane ke liye, aur Allah janne wala va hiqmat wala hai.

4:92

Aur jo koi kisi musalman ko jan-boojh kar qatal kar dale uski szaa jahannum hai, jisme veh humesha rahega, us par Allah (taala) ka gazab hai. Use Allah (taala) ne laanat ki hai aur uske liye bahut badi szaa tayyar kar rkhi hai.

4:93

Hey emaanwalon! Jab tum Allah ki raah me ja rhe ho to janch-paddtal kar lo aur jo tum se slaam alaik kahe tum use yeh na kaho ki tu emaanwala nhi. Tum duniyavi zindagi ke asbaab ki khoj me ho to Allah (taala) ke pas bahut se sukh ke asbaab hain, pehle tum bhi aise hi the, fir Allah (taala) ne tum par ehsan kiya, isliye tum jaroor khoj (chhanbeen) kar liya kro, beshak Allah (taala) tumhare amlon ko achhi tarah janta hai.

4:94

Jo musalman bila wajah baithe rahein aur jo Allah ki raah me apne tan-dhan ke sath jihad krte hon brabar na honge, Allah ne unhe jo apne malon aur jano ke sath jihad krte hain un par jo baithe rehte hain darjjon me fazeelat di hai aur vaise to har ek ko shubh-vachan diya hai, lekin Allah ne jo jihad krne wale hain unko baithe rehne walon par bade ajar ki fazeelat di hai.

4:95

Apni taraf se darje ki bhi, mafi ki bhi, aur reham ki bhi, aur Allah bakhshane wala reham krne wala hai.

4:96

Jo log apne aap par zulm krne wale hain, jab farishte unki jaan nikalte hain to kehte hain ki tum kis halat me the? Veh kehte hain ki hum zameen me kamzor the, to ve swaal krte hain ki kya Allah ki zameen kushada na thi ki tum usme hijrat kar jate? Inhi logon ka muqam jahannum hai aur veh bura muqam hai.

4:97

Lekin jo mard, aurat aur bache majboor hain jo koi upaye nhi kar skte aur na rasta jante hain.

4:98

To bahut mumkin hai ki Allah (taala) unhe maaf kar de, aur Allah maaf krne wala bakhshne wala hai.

4:99

Aur jo koi Allah ki raah me hijrat krega, veh zameen par bahut si rehne ki jagah bhi payega aur kushadgi bhi, aur jo koi apne ghar se Allah (taala) aur uske rasool (saw) ki taraf nikal padda, fir use maut ne pakad liya ho to bhi jaroor uska ajr Allah (taala) ke upar hoga, aur Allah (taala) maaf krne wala raheem hai.

4:100

Aur jab zameen me safar kro to tum par namaz kasar krne (char rakaat ki namaz do rakaat padhne me) koi burai nhi, agar tumhe yeh darr ho ki kafir (vishvas heen) tumhe takleef denge, beshak kuffaar tumhare khule dushman hain.

4:101

Aur jab aap unme hon aur unke liye namaz ko qayam krein to chahiye ki unka ek gut aap ke sath hathiyar liye khada ho, fir jab yeh sajdah kar chukein to yeh hat kar tumhare pichhe aa jayein aur dusra gut jisne namaz nhi padhi hai veh aa jaye, aur tere sath namaz ada kre aur apna bachav aur apne hathiyar liye rahe, kafir chahte hain ki tum kisi tarah apne hathiyar aur apne samano se bekhabar ho jao, to veh tum par achanak hamla kar dein aur haan, apne hathiyar utarkar rakhne me us waqt tum par koi burai nhi jabki tum takleef me ho, ya barish ki wajah ya rog hone ki wajah ho aur apne bachav ke samaan sath me liye rakho. Beshak Allah taala ne nakarne walon ke liye ruswai ka azaab taiyar kar rakha hai.

4:102

Fir jab tum namaz padh chuko to uthte, baithte aur laitte Allah (taala) ka zikr krte raho aur shanti prapat (hasil) ho to namaz qayam kro, beshak namaz musalmano par nishchit aur nirdharit (muqarrar) waqt par farz ki gyi hai.

4:103

Aur un logon ka pichha krne se susti na kro, agar tumhe takeef hoti hai, to unhe bhi takleef hoti hai jaise tumhe hoti hai, aur tum Allah (taala) se veh ummeedein rakhte ho jo unhe nhi, aur Allah (taala) janne wala hiqmat wala hai.

4:104

Beshak, hum ne tumhari taraf haq ke sath kitaab utari hai, taki tum logon ke beech uske hisaab se insaaf kro jisse Allah (taala) ne tumhe bakhabar kraya, aur khayanat krne walon ke himayti na bano.

4:105

Aur Allah (taala) se mafi mango, beshak Allah taala bakhshane wala reham krne wala hai.

4:106

Aur unki or se jhagda na kro jo khud apna hi vishwas-ghaat krte hain, beshak dhokhe-baaz paapi Allah (taala) ko achha nhi lgta.

4:107

Veh logon se to chhup jate hain, lekin Allah se nhi chhup skte, veh unke sath hai jab ki ve raat ko apriya baton ki yojna bnate hain aur Allah unke kartoot ko ghere hue hai.

4:108

4:109

Haan, yeh tum log ho jo unke haq me duniya me ladde, lekin qayamat ke din unki taraf se Allah se kaun behas karega aur kaun unka vakeel bankar khada hoga.

Aur jo bhi koi buraai kare ya khud apne upar zulm kre, fir Allah se mafi mange to Allah ko bakhshane wala, reham krne wala payega.

4:110

Aur jo gunah krta hai uska bojh usi par hai, aur Allah janne wala, hiqmat wala hai.

4:111

Aur jo koi buraai ya gunah krta hai fir kisi be-gunah par thop deta hai, usne khula buhtaan aur bahut gunaah kiya.

4:112

Aur agar aap par Allah ka fazal aur rehmat na hoti to unke ek gut ne aap ko gumrah krne ki sazish kar liya tha, lekin veh khud ko gumrah krte hain aur veh aapko koi nuksan nhi pahuncha skte aur Allah ne aap par kitaab aur ilm utara hai aur aap jisko nhi jante the uska ilm diya hai aur aap par Allah ka bhari fazal hai.

4:113

Unki jyadatar kanafoosi me koi bhalai nhi, lekin jisne ehsan ya bhalai ya logon ke beech sudhar ke liye huqm diya aur jo yeh kaam Allah ki marzi ki khoj ke liye karega hum use haqeeqat me bahut bada badla denge.

4:114

Aur jo sachi raah ke wazeh hone ke baad rasool (Muhammad saw) ki mukhalfat karega aur musalmano ke raste ke sivaye khoj karega, hum use usi or jis or veh firta ho faer denge, fir hum use jahannum me jhonk denge aur veh bahut buri jagah hai.

4:115

Allah apne sath shirk kiye jane ko kbhi bhi maaf nhi krega aur iske sivaye (gunahon) ko jiske liye chahe maaf kar dega aur jisne Allah ke sath shirk kiya veh bahut door behak gya.

4:116

Yeh to Allah (taala) ko chhodkar kewal deviyon ko pukarte hain aur haqeekat me yeh dusht (mardood) shaitan ko pukarte hain.

4:117

Jise Allah (taala) ne laanat ki hai, aur usne kaha hai ki tere bando me se mai muqarrar hissa le kar rahunga.

4:118

Aur unhe raah se bhatkata rahunga aur jhuthi umeedein dilata rahunga aur unhe taleem dunga ki janwaron ke kaan cheerein aur unse kahunga ki Allah ki banai hui shakl bigaad dein. Suno, jo Allah ko chhod kar shaitan ko apna dost bnayega veh khule ghate me hoga.

4:119

Veh unse (zubani) vade krta rahega aur harre baag dikhata rahega (lekin yaad rakho) shaitan ke jo vade unse hain veh puri tarah se dhokha hai.

4:120

Yeh veh log hain jinka muqaam jahannam hai, jahan se unhe chhutkara nhi milega.

4:121

Aur jo emaan layein aur bhale kaam krein, hum unhe un jannaton me le jayenge, jinke neeche nehrein beh rhi hain, jahan veh humesha rahenge. Yeh hai Allah ka wada jo beshak sach hai aur Allah se adhik sacha apni baat me kaun ho sakta hai?

4:122

Tumhari aarzuon aur ehle kitaab ki aarzuon se kuch nhi hona hai, jo bura krega uski szaa payega aur Allah ke sivaye apna koi wali aur madadgar nhi payega.

4:123

Aur jo emaanwala ho mard ho ya aurat aur veh nek amal kre, beshak is tarah ke log jannat me jayenge aur khajoor ki guthli ki fank ke brabar bhi uska haqq nhi mara jayega.

4:124

Aur usse achhe deen wala kaun ho skta hai jo Allah ke liye purann aatam-smarpann (muqammal khud sapurdgi) kar de aur veh nek bhi ho, aur ibraheem ke deen ki pairvi kiya ho jo yaksoo the aur ibraheem ko Allah ne apna dost bna liya hai.

4:125

Aur jo kuch bhi aasmano aur zameen me hai Allah ka hai aur Allah har cheez ko gherne wala hai.

4:126

Ve aurton ke bare me aap se swaal krte hain, aap keh dein ki khud Allah tumhe unke bare me huqm deta hai aur jo kuch kitaab (Quran) me tumhare samne padha jata hai, un yateem aurton (ladkiyon) ke bare me jinko tum un ka wajib haqq nhi dete aur unse shadi krna chahte ho aur kamzor bachon ke bare me aur yeh ki tum yateemo ke bare me insaaf kro, aur tum jo bhi nek kaam kroge Allah use achhi tarah janne wala hai.

4:127

Aur agar kisi biwi ko apne shohar ki berukhi aur beparwahi ka darr ho to dono par aapas me sulaah kar lene me koi burai nhi. Aur sulah behtar hai, aur lalach har mann me shamil kar di gyi hai, aur agar tum ehsan kro aur taqwa ikhteyar kro to Allah tumhare kartuton se bakhabar hai.

4:128

Aur tum biwiyon ke beech kbhi bhi insaaf na kar sakoge, agarche iski aarzu rakho, isliye tum (ek ki or) puri tarah na jhuk jao ki dusri ko adhrr me latakti hui chhod do, aur agar tum sudhar kar lo aur (na-insaafi se) bacho to beshak Allah bakhshne wala, reham krne wala hai.

4:129

Aur agar dono juda ho jayein to Allah apni rehmat se dono ko beniyaz kar dega, aur Allah kushadgi wala hiqmat wala hai.

4:130

Aur aasmano aur zameen ka sab kuch Allah hi ka hai, aur hum ne tumse pehle ke log jo kitaab diye gye the, unko aur tum ko yhi huqm diya hai ki Allah se darro aur agar tum na mano to beshak jo aasmano me aur zameen me hai sab Allah hi ka hai aur Allah beniyaz, tareef kiya gya hai.

4:131

Aur jo bhi aasmano me aur zameen me hai sbhi Allah ka hai aur Allah kaam banane wala bass hai.

4:132

Hey logon! Agar veh chahe to tum sab ko le jaye aur dusron ko le aaye, aur Allah is par puri kudrat rakhne wala hai.

4:133

Jo insaan duniyavi badla chahta hai, to (yaad rakho ki) Allah ke pas duniya va aakhirat (dono ka) badla maujood hai aur Allah suntaa dekhta hai.

4:134

Hey emaanwalon! Insaaf par mazboot rehne wale aur Allah ke liye sach gwaahi dene wale ban jao, agarche veh khud tumhare apne aur maa-baap aur rishtedaron ke khilaf ho, agar veh insaan dhani ho to ya greeb ho to un dono se Allah ka rishta jyada hai. Isliye insaaf krne me mann-mani na kro aur agar galat bayan doge ya na manoge to Allah tumhare amal se bakhabar hai.

4:135

Hey emaanwalon! Allah aur uske rasool (saw) aur us kitaab (paak quran) par jise usne apne rasool (saw) par utari hai aur un kitabon ke upar emaan lao jo isse pehle utari gyi, aur jo Allah aur uske farishton aur uski kitabon aur uske rasoolon aur qayamat ke din ko nhi maane veh bahut door behak gya.

4:136

Beshak jo emaan laye fir nakar diye, fir emaan laye fir inkar kiye aur inkar me badh gye, Allah haqeeqat me unhe maaf nhi krega aur na seedha rasta dikhayega.

4:137

Munafikon ko bakhabar kar do ki unke liye dukhad azaab jaruri hai.

4:138

Jo musalmano ko chhodkar kafiron ko dost bnate hain, kya veh unke pas izzatt ki khoj krte hain? (To yaad rhe ki) sbhi izzatt Allah ke haqq me hai.

4:139

Aur Allah (taala) ne tum par apni kitaab (Pak Quran) me yeh huqm utara hai ki jab tum Allah ki aayton ke sath inkaar aur mazak hote suno to unke sath us majlis me na baitho, jab tak ki ve dusri baat me na lag jayein, kyonki is waqt tum unhi ke smaan hoge, beshak Allah munafikon aur kafiron (vishwas-hino) ko jahannum me ikattha krne wala hai.

4:140

Jo tumhare bare me intezar (pratiksha) krte hain, fir agar tumhari jeet Allah ki taraf se ho to ye kehte hain ki kya hum tumhare sath nhi the aur agar vishwashino (kafiron) ko zra-si kamyabi mile to kehte hain ki kya humne tumhe ghaer nhi liya aur musalmano se nhi bachaya tha? To qayamat (pralay) ke din Allah hi tumhare beech faisla krega aur Allah kbhi bhi kafiron ko musalmano par koi rasta (galba) nhi dega.

4:141

Beshak munafikeen Allah (taala) se chhal kar rhe hain, aur veh unhe us chhal ka badla dene wala hai, aur jab namaz ko khade hote hain, to badi susti ki halat me khade hote hain, sirf logon ko dikhate hain, aur Allah ki yaad bas bahut kam krte hain.

4:142

Veh beech me hi assmanjas (shaq va shubah) me hain, na puri tarah se unki or na jayaz tareeke se inki taraf, aur jise Allah (taala) bhatka de, to tu uske liye koi rasta nhi payega.

4:143

Hey emaanwalon! Emaanwalon ko chhodkar kafiron ko dost na banao, kya tum yeh chahte ho ki apne upar Allah (taala) ki khuli hujjat qayam kar lo.

4:144

Munafikeen to beshak (nih-sandeh) jahannum ke sab se nichle darjje me jayenge. Namumkin hai ki tu unka koi madad krne wala paa le.

4:145

Haan, agar mafi maang lein aur sudhar kar lein aur Allah (taala) par pura yakeen krein aur sache taur se Allah hi ke liye deeni kam krein, to yeh log emaanwalon ke sath hain. Allah (taala) emaanwalon ko bahut bada badla dega.

4:146

Allah (taala) tumhe szaa dekar kya krega, agar tum shukrguzar raho aur emaan ke sath raho? Aur Allah (taala) bahut izzat krne wala pura janne wala hai.

4:147

Allah burai ke sath unchi awaaz se muhabbat nhi krta, lekin mazloom ko iski ijaazat hai aur Allah sunne wala janne wala hai.

4:148

Agar tum koi nek kaam khul kar kro ya chhipakar ya kisi burai ko maaf krte ho, to beshak Allah (taala) maaf krne wala, kudrat wala hai.

4:149

Jo log Allah aur uske rasoolon par emaan nhi rakhte hain aur chahte hain ki Allah aur uske rasoolon ke beech algav krein aur kehte hain ki hum kuch ko mante hain aur kuch ko nhi mante aur iske beech rasta banana chahte hain.

4:150

Yakeen kro, ki yeh sbhi log asli kafir hain. Aur kafiron ke liye humne bahut sakht azaab taiyar kar rkha hai.

4:151

Aur jo Allah aur uske rasulon par emaan laye aur unme se kisi ke beech ikhtelaf nhi kiye unhi ko Allah unka pura badla dega aur Allah bakhshane wala reham krne wala hai.

4:152

Aap se ehle kitaab yeh swaal krte hain ki aap un par aasman se koi kitaab utarein, to unhone mussa se is se badi maang ki thi aur kaha ki humein wazeh taur se Allah ko dikhao, fir unhe bijli ne ghaer liya unke zulm ki wajah se fir unhone wazeh daleelon ke aa jane ke bad bachhade ko (pujya) bna liya, aur humne unhe maaf kar diya aur mussa (nabi) ko khuli daleel diya.

4:153

Aur unse wada lene ke liye toor (pahad) hum unke upar le aaye aur unhe huqm diya ki sajdah krte hue darwaze me dakhil ho aur yeh bhi huqm kiya ki shanivar ke din ulanghan (tajawuz) na krna aur hum ne unse sakht se sakht wada liya.

4:154

Aisa unke wada khilafi krne aur Allah ki aayton ke inkar aur bila wajah rasulon (ishdooton) ke qatal krne aur unke is kaul ki wajah se hua ki humare dil dhanke hue hain (nhi) Allah ne unke kufr ki wajah se unke dilon par muhar lga di hai, isliye yeh thode hi emaan rakhte hain.

4:155

Aur unke kufr ki wajah aur marriyam par bahutan lgane ki wajah se.

4:156

Aur unke yeh kehne ki wajah se ki humne maseeh, marriyam ke bete Isaa, Allah ke rasool ko qatal kar diya, halanki na to unhone qatal kiya na unhe fansi di, lekin unke liye shabeeh bna diya gya. Yakeen kro ki Isaa ke bare me ikhtelaf krne wale unke bare me shak me hain, unhe iska koi ilm nhi sivaye gumaan wali baton par kam krne ke, itna tay hai ki unhone unka qatal nhi kiya.

4:157

Balki Allah (taala) ne unhe apni taraf utha liya, aur Allah zabardast hiqmat wala hai.

4:158

Ehle kitaab me se koi aisa na baki bachega jo (hazrat) Isaa (alaihi slaam) ki maut se pehle un par emaan na laye aur qayamat ke din veh un par gwaah honge.

4:159

Yahoodiyon ke zulm ki wajah se hum ne un par halal cheezein haram kar diya aur unke Allah ke raste se jyada (logon) ko rokne ki wajah se.

4:160

Aur unke bayaaj lene ki wajah se jisse unhe rok diya gya tha, aur logon ka maal nahaqq lene se, aur hum ne unme se kafiron ke liye dukhadd azaab taiyar kiya hai.

4:161

Lekin unme jo kamil aur mazboot ilm wale hain, aur emaanwale hain jo us par emaan late hain, jo apki taraf utara gya, aur jo aap se pehle utara gya aur namaz ko qayam krne wale hain, zakaat ko ada krne wale hain, Allah par aur qayamat ke din par emaan rakhne wale hain, yeh veh hain jinhe hum bahut bada badla attah krenge.

4:162

Beshak hum ne aap ki taraf usi tarah vahee ki hai, jaise ki nuh (alaihi slaam) aur unke baad ke nabiyon ki taraf hum ne vahee ki, aur ibraheem aur ismaeel aur is-haak aur yaqub aur unki auladon par aur isaa va ayyub aur yunus aur haroon aur sulaiman ki taraf. Aur humne dawood (alaihi slaam) ko zaboor attah ki.

4:163

Aur aap se pehle ke bahut se rasoolon ke vakyaat hum ne aap se bayan kiye hain, aur bahut se rasoolon ki nhi bhi ki hain, aur mussa se Allah ne seedhe baat ki.

4:164

(Hum ne inhe) khushkhabri aur aagah krne wala rasool banaya, taki logon ko koi bahana rasoolon ko bhejne ke bad Allah (taala) par na reh jaye, aur Allah (taala) bada zabardast aur hiqmat wala hai.

4:165

Jo kuch aap ki taraf utara hai, us bare me Allah taala khud gwaahi deta hai ki use apne ilm se utara hai, aur farishte bhi gwaahi dete hain aur Allah (taala) ki gwaahi bass hai.

4:166

Beshak jinhone kufr kiya aur Allah ke raste (deen) se roka veh bahut door bhatak gye.

4:167

Beshak jinhone kufr kiya aur zulm kiya, Allah unhe maaf nhi karega na unhe kisi raah ki hidayat krayega.

4:168

Lekin jahannum ka rasta, jis me veh humesha rahenge aur yeh Allah par aasan hai.

4:169

Hey logon! Tumhare pas tumhare rabb ki taraf se sach lekar rasool (muhammad saw) aa gye un par emaan lao, tumhare liye behtar hai aur agar tum ne nkaar diya to aasmano aur zameen me jo bhi hai Allah ka hai aur Allah janne wala hiqmat wala hai.

4:170

Hey ehle kitaab! Apne deen me gul na kro aur Allah ke upar sach hi bolo, beshak mariyam ke bete isaa maseeh sirf Allah ke rasool aur kalima hain, jise mariyam ki taraf dal diya aur uski taraf se rooh hain, isliye Allah aur uske rasoolon par emaan lao aur na kaho ki Allah teen hain, ruk jao yeh tumhare liye bhala hai. Beshak tumhara ilaah sirf ek Allah hai, veh paak hai isse ki uski koi aulad ho, usi ke liye hai jo aasmano aur zameen me hai aur Allah kam banane ke liye kafi hai.

4:171

Maseeh Allah ke das hone se kbhi bhi nafrat nhi krte aur na kreebi farishte aur jo Allah ki ibaadat se nafrat aur ghamund krega veh un sbhi ko apni or jmaa krega.

4:172

To jo emaan laye aur nek kaam kiye unhe unka pura badla dega aur apne fazal se aur bhi jyada dega, lekin jo nafrat kiye aur ghamund kiye unhe dukhad azaab dega aur ve Allah ke sivaye apne liye koi wali aur madadgar nhi payenge.

4:173

Hey logon! Tumhare pas tumhare palanhar ki taraf se daleel aa chuki hai, aur hum ne tumhari taraf noor (Paak Quran) utaar diya hai.

4:174

Fir jo log Allah ke upar emaan laye aur use mazbooti se pakad liya unhe apne fazal aur rehmat me dakhil krega aur unhe apne taraf ka seedha rasta dikhayega.

4:175

Ve aapse swaal krte hain, aap keh dein tumhe Allah klaalh ke bare me nirdesh krta hai, ki agar kisi mard ki maut ho jaye aur uske warison me koi aulad na ho aur uski ek behan ho to uske liye chhode hue (dhan) ka aadha hai, aur veh us (behan) ka waris hai agar us ki koi aulad na ho, agar do behne hon to dono ke liye do tihaai hai usme se jise veh chhod gya, aur agar bhai behan dono hon, mard bhi aur aurtein bhi, to mard ke liye do aurton ke brabar (hissa) hai Allah tumhare liye bayan kar raha hai taki tum bhatak na jao aur Allah sab kuch janne wala hai.

4:176

—————————————-X————————————–

Soure : islam-peace.com

Share Now:

One Reply to “Al-Quran | Surutun Nisa – 4 | Hindi Translation

  1. I’m really inspired with your writing talents and also with the layout to your weblog. Is this a paid subject or did you modify it yourself? Either way keep up the excellent quality writing, it is rare to look a nice blog like this one these days..

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *