Surah al qalam
Al-Quran Hindi Translation

Al-Quran | Surah Al-Qalam – 68 | Hindi Translation

Al-Quran : Surah Al-Qalam – 68

Surah Al-Qalam Mecca me nazil hui, isme 52 aaytein aur 2 rukuh hain.
Allah ke naam se shuru krta hun, jo bada meharban aur reham krne wala hai.


68:1

Nun. Kasam hai qalam ki, aur us ki jo kuchh ki ve (farishtey) likhte hain.


68:2

Aap apne rabb ki kripa (neimat) se pagal nahin hain.


68:3

Aur beshaq aap ke liye na khatam hone wala badla hai.


68:4

Aur beshaq aap bahut (achhe) swabhav (akhlaaq) par hain.


68:5

To ab aap bhi dekh leinge aur yeh bhi dekh leinge.


68:6

Ki tum mein se fitnah mein pda kaun hai.


68:7

Beshaq tera rabb apni raah se bhatakne walon ko achhi tarah jaanta hai, aur veh hidayat paye ko bhi achhi tarah jaanta hai.


68:8

To aap jhuthlane walon ki (baat) qubool na karein.


68:9

Ve to chahte hain ki aap tanikk dheele hon to ye bhi dheele padd jayein.


68:10

Aur aap kisi aise insaan ka bhi kehna na manein jo zayada kasmein khane wala heen (zaleel) ho.


68:11

Kameena, aeb nikalne wala aur chugli karne wala ho.


68:12

Bhalai se rokne wala, hadd se badh jaane wala paapi ho.


68:13

Ghamundi fir sath hi kuvansh (beinasab) ho.


68:14

(Uski sarkashi) kewal isliye hai ki veh dhanwaan aur putron wala hai.


68:15

Jab us ke samne humari aaytein padhi jaati hain to yeh keh deta hai ki ye to pehle ke logon ki kathayein (kisse) hain.


68:16

Hum bhi uski soond (naak) par daag deinge.


68:17

Beshaq hum ne unki usi tarah pareeksha (imtehan) li, jis tarah hum ne baag walon ki pareeksha li thi. Jabki unhone kasam khayi ki subah hote hi us (baag) ke fal tod leinge.


68:18

Aur in sha Allah (agar Allah ne chaha) na kaha.


68:19

To us par tere Rabb ki taraf se ek blaa charon taraf se ghoom gyi aur ve so hi rahe the.


68:20

To veh (baag) aisa ho gya jaise kutti hui kheti.


68:21

Ab subah hote hi unhone ek-dusre ko aawazein di.


68:22

Ki agar tumhein fal todna hai to apni kheti par subah hi chal paddo.


68:23

Fir ye sab chupke-chupke baatein karte hue chale.


68:24

Ki aaj ke din koi gareeb tumhare paas na aaye.


68:25

Aur jaldi-jaldi subah hi pahunch gye (samajh rahe the) ki hum kaabu paa gye.


68:26

Fir jab unhone baag dekha to kehne lge ki beshaq hum raasta bhool gye.


68:27

Nahin-nahin, balki hum mehroom (vanchit) kar diye gye.


68:28

Un sab mein jo achha tha us ne kaha ki main tum sab se na kehta tha ki tum (Allah ki) tasbeeh kyon nahin karte?


68:29

(To) sab kehne lage ki humara Rabb paak hai, beshaq hum hi zalim the.


68:30

Fir ve ek-dusre ki taraf muh karke bura-bhala kehne lge.


68:31

Kehne lage haye afsos! beshaq hum sarkash the.


68:32

Kya vichitra (ajab) hai ki humara Rabb humein is se achha badla de de, beshaq hum ab apne Rabb se hi ummeed rakhte hain.


68:33

Isi tarah azaab aata hai, aur aakhirat ka azaab bahut bada hai. Kaash! unhein aqal hoti.


68:34

Beshaq parhezgaron ke liye un ke Rabb ke pas upharon (neimaton) wali jannate hain.


68:35

Kya hum mussalmano ko mujrimon ke braabar kar deinge.


68:36

Tumhein kya ho gya, kaise faisle kar rahe ho?


68:37

Kya tumhare paas koi kitaab hai jis mein tum padhte ho?


68:38

Ki us mein tumhari manmani baatein hon?


68:39

Ya hum se tum ne kuchh aisi kasmein li hain jo qayamat (pralay ke din) tak baki rahein ki tumhare liye veh sab hai, jo tum apni taraf se nirdharit (muqarrar) kar lo?


68:40

Un se puchho ki un mein se kaun is baat ka zimmedar (aur daavedar) hai.


68:41

Kya un ke kuchh sajhidaar hain? To chahiye ki apne-apne sajhidaaron ko le aayein agar ye sache hain.


68:42

Jis din pindli khol di jayegi aur sajdah karne ke liye bulaye jayeinge to (sajdah) na kar sakeinge.


68:43

Un ki aankhein neechi hongi aur un par zillatt (aur ruswaai) chha rahi hogi, halanki ye sajdeh ke liye (us samay bhi) bulaye jate the jab bhale-change the.


68:44

To mujhe aur is baat ke jhuthlane waale ko chhod de, hum unhein is tarah dheere-dheere kheencheinge ki unhein maloom bhi na hoga.


68:45

Aur main unhein dheel dunga, beshaq meri yojna (tadbeer) badi mazboot hai.


68:46

Kya tu un se koi parishramik (ujjrat) chahta hai, jis ke bhar se ye dabbe jaate hon.


68:47

Ya kya unke paas paroksh (gaieb) ka ilm hai jise ve likhte hon.


68:48

To tu apne rabb ke huqum ka sabr se (intezar kar) aur machhli wale ki tarah na ho ja, jabki us ne dukh ki halat (avastha) mein pukara.


68:49

Agar use us ke Rabb ki neimat (kripa) na paa leti to beshaq veh buri halat mein oosar dharti par daal diya jata.


68:50

To use us ke Rabb ne fir nirvachit kiya aur usko sadachariyon (saleheeno) mein kar diya.


68:51

Aur kareeb hai ki (ye) kafir apni (tez) nigaah se aap ko fisla dein, jab kabhi quran sunte hain aur keh dete hain ki yeh to yakeeni taur se deewana hai.


68:52

Aur haqeeqat mein yeh (quran) to sari duniya walon ke liye puri shiksha hi hai.


AL-QURAN  Surah Al-Qalam – 68  HINDI TRANSLATION

Soure : islam-peace.com


Share Now:

One Reply to “Al-Quran | Surah Al-Qalam – 68 | Hindi Translation

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *