Surah Al Mumtahanah
Al-Quran Hindi Translation

Al-Quran | Surah Al-Mumtahanah – 60 | Hindi Translation

Al-Quran : Surah Al-Mumtahanah – 60

Surah Al-Mumtahanah Madeene me nazil hui aur isme 13 aaytein aur 2 rukuh hain.
Allah ke naam se shuru krta hun, jo bada meharban aur reham krne wala hai.


60:1

Hey ve logon jo emaan laye ho! mere aur apne dushmanon ko apna dost na banao, tum to dosti se unki or sandesh bhejte ho, aur ve us sach ka jo tumhare paas aa chuka hai inkaar karte hain, rasool ko aur khud tum ko bhi sirf is wajah se nikalte hain ki tum apne rabb par emaan rakhte ho, agar tum mere raste me jihad ke liye aur meri khushi ki khoj me nikle ho (to un se dosti na karo) tum un ke paas prem ka sandesh chhipa-chhipa kar bhejte ho aur mujhe achhi tarah maloom hai jo tum ne chhipaya aur veh bhi jo tumne zahir kiya, tum me se jo bhi is kaam ko karega veh beshaq seedhe raste se bhatak jayega.


60:2

Agar ve tum par kahin kaabu pa lein to ve tumhare (khule) dushmann ho jayein aur buraai ke sath tum par hath uthane lagein aur bure shabd (lafz) kehne lagein aur (dil se) chahne lagein ki tum bhi kufr karne lago.


60:3

Tumhari natedariyan (aur rishte) aur aulaad tumhein qayamat (praley) ke din kaam na aayeinge. Allah (taala) tumhare beech faisla kar dega aur tum jo kuchh kar rahe ho use Allah achhi tarah dekh raha hai.


60:4

(Mussalmano!) tumhare liye (hazrat) ibraheem mein aur un ke sathiyon mein bahut achha namoona hai, jabki un sab ne apni kaum se saaf shabdon mein keh diya ki hum tum se aur jin-jin ki tum Allah ke sivaye puja karte ho, un sab se puri tarah se vimukh (barri) hain. Hum tumhare (aaqeede ka) inkaar karte hain, aur jab tak tum Allah ke ek hone par emaan na lao hum mein tum mein humesha ke liye kapat aur bair paida ho gyi. Lekin ibraheem ki itni baat to apne pitaa se hui thi ki mai tumhare liye kshama-yachna (istighafaar) zaroor karunga aur tumhare liye mujhe Allah ke samne koi haqq bhi nahin. Hey humare rabb! tujh par hi humne bharosa kiya hai, aur teri hi taraf hum aakarshit (mutwajjah) hote hain aur teri hi taraf fir aana hai.


60:5

Hey humare rabb! tu humein kafiron ke imtehan mein na daal, aur he humare rabb! humari galtiyon ko maaf kar, beshaq tu hi prabhavshali (ghalib) aur hiqmat wala hai.


60:6

Beshak tumhare liye un mein achhe aadarsh (usva) (aur achhi pairvi hai khas-kar) har us insaan ke liye jo Allah aur qayamat ke din ki mulaqaat par yakeen rakhta ho, aur agar koi vimukh (muh ferne wala) ho jaye to Allah (taala) puri tarah se beniyaz hai aur badhai aur tareef ke yogya (layak) hai.


60:7

Kya tajjub ki kareeb hi Allah (taala) tum mein aur tumhare dushmano mein prem paida kar de, Allah (taala) ko sbhi kudrat hai aur Allah bada maaf karne wala aur reham karne wala (dayalu) hai.


60:8

Jin logon ne tum se dharam ke baare mein yuddh nahin kiya aur tumhein desh se nahin nikala, un ke sath achha sulook aur ehsaan karne aur insaaf wala bartaav karne se Allah (taala) tumhein nahin rokta, (balki) beshaq Allah (taala) to insaaf karne walon se prem karta hai.


60:9

Allah (taala) tumhein kewal un logon se prem karne se rokta hai, jinhone tum se dharam ke baare mein ladaai kiya aur tumhein desh se nikala aur desh se nikalne walon ki madad ki, jo log aise kafiron se prem karein vhi (yakeeni taur se) zaalim hain.


60:10

Hey emaanwalon! jab tumhare pas mussalman aurtein hijrat karke aayein to tum unki pareeksha (imtehan) le liya karo, haqeeqat mein un ke emaan ko achhi tarah janne wala to Allah hi hai, lekin agar ve tumhein emaan wali maloom hon to ab tum unhein kafiron ki taraf wapis na karo, yeh un ke liye halal (vaidh) nahin aur na ve in ke liye halal hain, aur jo kharch un kafiron ka hua ho veh unhein ada kar do, un aurton ko unki mahar dekar un se vivah kar lene mein tum par koi paap nahin, aur kafir aurton ke vivah bandhan ko apne kabze mein na rakho. Aur jo kuchh tum ne kharch kiya ho maang lo, aur jo kuchh un kafiron ne kharch kiya ho, veh bhi maang lein, yeh Allah ka faisla hai jo tumhare beech kar raha hai, aur Allah (taala) janne wala (aur) hiqmat wala hai.


6:11

Aur agar tumhari koi patni tumhare hath se nikal jaye aur kafiron ke pas chali jaye, fir tumhein badle ka samay mil jaye to jinki patniyan chali gyi hain unhein un ke kharch ke smaan ada kar do, aur us Allah se darte raho jis par tum emaan rakhte ho.


6:12

Hey rasool! (sandeshta) jab mussalman aurtein aap se in baaton par baiyt karne aayein ki veh Allah ke sath kisi ko sajhidaar nahin bnayeingi, chori na kareingi, vyabhichar (badkari) na kareingi, apni aulaad ko na maar daleingi aur na koi aisa aakshep (buhtaan) lgayeingi jo khud apne hathon-pairon ke samne gaddh lein aur kisi neki ke kaam mein teri nafarmani na kreingi, to aap un se baiyt kar liya karein. Aur unke liye Allah se maafi maange, beshaq Allah (taala) maaf karne wala dayalu hai.


6:13

Hey mussalmano! tum us kaum se dosti na rakho, jin par Allah ka azaab aa chuka hai, jo aakhirat se is tarah niraash ho chuke hain jaise ki murde qabr walon se kafir mayoos hai.


AL-QURAN  Surah Al-Mumtahanah – 60  HINDI TRANSLATION

Soure : islam-peace.com


Share Now:

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *