Al-Quran Hindi Translation

Al-Quran -2 | Soorutul Bakrah | Hindi Translation

Surah Bakrah Madeene me nazil hui or isme 286 aaytein or 40 rukuh hain. 

Allah ke naam se shuru krta hun, jo bada mehrbaan or reham krne wala hai. 

Alif Laam Meem

2:1 

Is kitab (ke Allah ki kitab hone) me koi shak nhi, parhezgaro ko hidayat (margdarshan) krne wali hai.     

2:2

Jo log gaeb (parlok) pr emaan late hain or namaz ko qayam krte hain aur humare zariye atah kiye hue (maal) me se kharch krte hain.

2:3

Aur jo log emaan late hain us pr jo aap ki or utara gya or jo apse pehle utara gya aur veh aakhirat pr bhi yakeen rakhte hain.

2:4

Yhi log apne rab ki or se sache raste pr hain aur yhi log qamyabi (or najat) hasil krne wale hain.

2:5

Beshak kafiron ko aap ka drana ya na drana smaan hai, yeh log emaan na layenge.

2:6

Allah taala ne unke dil or kano pr thappa lga diya hai or unki aankhon pr prda hai, aur unke ke liye bada aazaab hai.

2:7

Aur logon me se kuch kehte hain, hum Allah (prmeshwar) pr or aakhiri din pr emaan laye hain, lekin haqeekat me ve emaan wale nhi hain.

2:8

Veh Allah ko or emaan lane walon ko dhokha de rahe hain, lekin haqeekat me veh khud apne aap ko dhokha de rahe hain, aur unko samjh nhi.

2:9

Unke dilon me rog hai, Allah ne unke rog ko or badha diya aur unke jhuth bolne ke karan unke liye dardnak aazab hai.

2:10

Aur jab unse kaha jata hai ki dharti pr bigad mat peda kro, to jawab dete hain ki hum to sirf sudharak hain.

2:11

Savdhan! haqeekat me yhi log bigad peda krne wale hain, lekin samjh (Gyan) nhi rakhte.

2:12

Aur jab unse kaha jata hai ki dusre logon (yani sahaba) ki tarah tum bhi emaan lao, to jawab dete hain ki kya hum aisa emaan layein jaisa murkh (bewakuf) laye hain. Savdhaan! haqeekat me yhi murkh hain, lekin yeh nhi jante.

2:13

Aur jab emaanwalon se milte hain to kehte hain ki hum bhi emaanwale hain, aur jab akele me apne badon (shaitan sifat log) ke pas jate hain to kehte hain ki hum to tumhare sath hain, hum to kewal unse mzaak krte hain.

2:14

Allah taala bhi unse mzaak krta hai. Aur unko sarkashi or behkawe me or badha deta hai.

2:15

Yeh ve log hain jinhone gumrahi ko hidayat ke badle me khreed liya hai. Lekin inka vayapaar na faydemand hua, na veh hidayat hasil kar ske.

2:16

In logon ki misaal us insaan jaisi hai jisne aag jalai lekin jab aag ne uske aas pas ko roshan kr diya, to Allah ne unki roshni cheen li or unhe andhere me chod diya, jo nhi dekhte.

2:17

(Yeh) gunge, behre aur andhe hain, ab ye lotne vale nhi hain.

2:18

Ya aakash ki varsha ki tarah, jisme andhkar, garaj aur bijli ho. Bijli ki garaj ke karan maut se darkar ve kano me ungliyan dal lete hain, aur Allah taala kafiron ko gherne wala hai.

2:19

Lagta hai ki bijli unki aankhein jhapat legi, jab unke liye ujala karti hai to chalte hain aur jab andhera karti hai to khade ho jate hain aur agar Allah chahe to unke kano or aankhon ko cheen le, beshak Allah hr cheez pr kudrat rakhne wala hai.

2:20

Hey logon! apne us palanhar ki ibaadat kro jisne tumko or tumse pehle ke logon ko peda kiya taki tum parhezgar ho jao.

2:21

Jisne tumhare liye dharti ko bichavan or aakash ko chatt banaya, aur aakash se varsha ki or usse fal peda krke tumhe jeevika (rizq) atta ki, atah yeh jante hue kisi ko Allah ka shreek na banao.

2:22

Aur agar tumhe usme shak ho jise hum ne apne bande par nazil kiya hai, aur tum sache ho to isi jaisi ek surah bna lao, tumhe chhoot hai ki Allah ke sivaye apne sehyogiyon ko bhi bula lo.

2:23

Fir agar tumne nhi kiya or tum kabhi bhi nhi kar skte, to (use sacha samjh kar) us aag se daro jiska indhan insaan or pathar hain, jo kafiron ke liye tayyar ki gyi hai.

2:24

Aur emaanwalon or nek kam krne walon ko, un swargon ki khushkhabri do jinke neeche nehre beh rhi hain, jab unhe unse fal khane ke liye diye jayenge to kahenge ki isse pehle humein khane ko yahi diya gaya, veh smaroopi fal honge aur unke liye usme pakeezah beewiyan hongi aur ve usme humesha rahenge.

2:25

Haqeekat me Allah taala kisi misaal ko bayan krne se lajjit nhi hota, chahe veh machhar ki ho ya usse bhi tuchh cheez ki, emaanwale use apne rabb ki or se sach samjhte hain aur kafir kehte hain ki aisi misaal dene se Allah ka matlab kya hai? Isi ke dwara bahuton ko gumrah krta hai or bahut logon ko sache raste pr lata hai. Aur gumrah veh kewal avgyakariyon (Fasikon) ko hi krta hai.

2:26

Jo log Allah taala ke sath ki gayi majboot ehad (pratigya) ko tod dete hain, Aur Allah taala ne jin cheezon ko jodne ka huqam diya hai, use katte hain or dharti pr fsaad failate hain, yhi log nuksan uthane vale hain.

2:27

Tum Allah ko kaise nhi mante, jbki tum bejan the to usne tumhe jeevan diya, fir tumhe maut dega, fir dobara zinda krega, fir tum ko usi ke pas jana hai.

2:28

Usi ne tumhare liye, jo kuch dharti me hai sab peda kiya hai, fir aakash ka irada kiya Aur usne saat brabar aasman bna diye aur veh har cheez ka janne wala hai.

2:29

Aur jab rabb ne frishtron se kaha ki, Mai dharti me ek khleefa (aisa giroh jo ek-dusre ke baad ayega) bnane ja raha hun, to unhone kaha kya tu us me aise logon ko peda krega jo usme fsaad aur khoon-khraba kre, aur hum teri tareef ke sath teri tasbeeh krte aur teri pakeezgi bayaan krte hain, us ne kaha jo mai janta hun tum nhi jante.

2:30

Aur us (Allah Taala) ne Aadam ko sabhi naam sikha kr un cheezo ko farishton ke samne pesh kr diya aur farmaya ki agar tum sache ho to in cheezon ke naam btaao.

2:31

Un sabhi ne kaha, hey Allah! tu pak zaat hai, humein to bas utna hi ilm hai, jitna tune humein sikhaya hai, poore ilm aur hiqmat vala tu hi hai.

2:32

Allah taala ne Aadam (Alaihi slaam) se farmaya, “tum inke naam bta do” jab unhone bta diye, to farmaya kya maine tumhein pehle nhi kaha tha ki mai aasmano aur zameen ke gaeb ko janta hun aur jo tum krte evam chhupate ho janta hun.

2:33

Aur jab hum ne frishton se kaha ki Aadam ko sajdah kro, to iblees ke sivaye sabhi ne sajdah kiya. Usne nakara or ghamand kiya aur veh tha hi kafiron me.

2:34

Aur humne keh diya, Hey Aadam! tum aur tumhari biwi jannat me raho, aur jahan se chaho jee bhar kar khao-peeyo, lekin is ped ke pas na jana, varna zalim ho jaoge.

2:35

Lekin shaitan ne unhein bhatka kar vahan se nikalva hi diya, aur humne keh diya ki “Utro, tum ek-dusre ke dushman ho, aur ek muqarrar waqt tak tumhe dharti par thehrna aur fayda uthana hai”.

2:36

Aadam (Alaihi slaam) ne apne paalanhar se kuch batein seekh li (Aur Allah se tauba ki) usne unki tauba qubool krli, beshak vhi tauba qubool krne wala reham krne wala hai.

2:37

Humne kaha tum sabhi yahan se utro, fir agar tumhare pas meri or se hidayat aaye to jo mere sahi raste ko apnayega un pr koi darr nhi hoga na ve udaaseen honge.

2:38

Aur jo kufr va jhooth ke zariye hmari aayton ko jhuthlayen, veh jahannum me rehne wale hain, aur humesha usi me rahenge.

2:39

Hey Israel ke beton! meri us neemat ko yad kro jo maine tum pr ki, aur mujhse kiya vada pura kro, mai tumse kiya vada pura karunga, aur sirf mujhse hi daro.

2:40

Aur us (shariyat) pr emaan lao jise maine us ko sabit krne ke liye utara jo (Tauraat) tumhare sath hai aur tum iske pehle inkari na bano, aur meri aayton ko thode mulya par na becho, aur sirf mujhse daro.

2:41

Aur satya (Haqq) ka asatya (Batil) ke sath milawat mat kro aur na sach ko chhupao, tumhein to khud iska ilm hai.

2:42

Aur namaz kayam kro, aur zakaat do, aur rukuh krne (jhukne) valon ke sath rukuh kro (jhuk jao).

2:43

Kya logon ko neki ka huqm dete ho? Aur khud apne aap ko bhool jate ho, jabki tum kitaab padhte ho, kya itni bhi tum me akal nhi?

2:44

Aur sabr va namaz ke zariye madad hasil kro. Aur yeh badi cheez hai, lekin Allah se darne valon ke liye nhi.

2:45

Jo jante hain ki apne rabb se milna hai aur uski or palat kar jane vale hain.

2:46

hey (Yaqub) israel ki santano! meri us nemat ko yad kro, jo maine tum pr upkar kiya aur maine tumhe sari duniya par fazeelat di.

2:47

Aur us din se daro jis din koi kisi ke kam nhi ayega, na uski koi sifarish qubool ki jayegi, na usse koi badla qubool kiya jayega aur na unhein madad di jayegi.

2:48

Aur jab humne tumhein firaun ke aadmiyon se chhutkara dilaya, jo tumhein bura azaab dete rahe, tumhare beton ko qatl krte rahe, aur tumhari betiyan zinda chodte rahe, isse chhutkara dilane me tumhare rabb ka bada upkaar tha.

2:49

Aur jab humne tumhare liye sagar ko faad diya Aur usse tumhe paar kar diya aur firaun ke sathiyon ko tumhari aankhon ke samne dubo diya.

2:50

Aur hum ne Musa (Alaihi Slaam) ko chalees raton ka vachan diya, fir tumne bachhade ko mabood bna liya, aur zaalim ban gye.

2:51

Lekin humne iske bawajood bhi tumhein maaf kr diya, taki tum shukrguzar raho.

2:52

Aur humne Musa (Alaihi slaam) ko tumhari hidayat ke liye kitaab (Tauraat) aur mojize attah kiye.

2:53

Aur jab Musa (Alaihi slaam) ne apni kaum valon se kaha ki “hey meri kaum walon! tumne bachhade ko (devta) bnakar khud apne upar zulm kiya hai, ab tum apne peda krne wale ki taraf tawajjuh kro, apne aap ko (apradhi ko) apne hathon qatal kro, tumhare liye bhalai Allah taala ke pas isi me hai” to usne tumhari tauba (kshama-yachna) qubool ki. Beshak vhi tauba qubool krne wala aur reham krne wala hai.

2:54

Aur (tum use bhi yaad kro) jab tumne Musa (Alaihi slaam) se kaha tha ki – jab tak hum Allah ko samne na dekh lenge kabhi bhi emaan na layenge (jis nafarmani ke dund swaroop) tum pr tumhare dekhte hue bijli gir pdi.

2:55

(Lekin) fir hum ne tumhein maut ke baad zindagi isliye diya taki tum shukriya ada kro.

2:56

Aur humne tumhare upar badlon ki chhaya ki aur tumpr mann va salva utara (Aur keh diya) humari attah ki hui paak cheezein khao, aur unhone hum pr zulm nhi kiya balki khud apne aap pr zulm krte the.

2:57

Aur humne tumse kaha ki is basti me jao. Aur jo kuch jahan kahin se bhi chaho jee bhar kar khao-peo aur darwaze me se sir jhukaye hue dakhil ho. Aur muh se kaho ki “hum mafi chahte hain”. Hum tumhari galtiyon ko maaf kar denge aur bhlai krne walo ko or jyada attah krenge.

2:58

Fir un zalimo ne yeh baat jo unse khi gyi, badl dali, humne bhi un zalimo pr unki nafarmani ki vajah se aakash se azaab utara.

2:59

Aur jab Musa (Alaihi slaam) ne apni jati ke liye pani manga to humne kaha ki apni lathi pathar par maro, jisse barah chashme foot pde, hr giroh ne apna chashma pehchan liya (Aur humne keh diya ki) Allah taala ka attah kiya hua aanaz khao-peo aur dharti par fasaad failate na firo.

2:60

Aur jab tumne kaha ki “hey Musa (Alaihi slaam)” humse ek hi tarah ka khana khane par sabr nhi ho skega, isliye apne rabb se dua kijiye ki veh humein dharti par peda saag, kakdi, gehoon, masoor, or piyaz de. Aap ne kaha ki umda cheez ke badle hakeer cheez kyun mangte ho? Acha shehar me jao or vahan pr tumhe tumhari pasand ki yeh sabhi cheezein milengi. Un par zillat or greebi dal di gyi aur ve Allah ka aazab lekar lote, yeh isliye ki veh Allah ki aayton ko nhi mante the aur nabiyon ka nahaq qatal krte the, yeh unki zyadtiyon ka natija hai.

2:61

Beshak jo musalman ho, yahoodi ho, nasara (isaai) ho ya saabi ho, jo koi bhi Allah taala or qayamat ke din pr emaan layega aur ache kam krega uska badla uske rabb ke pas hai, aur unko na koi darr hai or na koi gham hoga.

2:62

Aur jab humne tumse vachan liya aur tumhare upar tur pahaad lakar khda kr diya. Aur kaha-jo humne tumhein diya hai, use mazbooti se pakde raho or jo kuch usme hai use yaad kro, taki tum bach sako.

2:63

Fir tum uske baad bhi fir gye, fir agr Allah taala ka fazal or rehmat tumpr na hoti, to tum nuksaan uthane wale hote.

2:64

Aur avashya hi tumhein un logon ke bare me ilm bhi hai, jo tum me se shanivar ke bare me hadd se tajawuz kar gye aur hum ne (bhi) keh diya ki tum zaleel bandar ban jao.

2:65

Ise humne agle-pichhlon ke liye hoshiyar rehne ki vajah bna diya, aur darne walon ke liye naseehat hai.

2:66

Aur Musa (Alaihi slaam) ne jab apni jati se kaha ki – Allah taala tumhein ek gaye jibah krne ka huqm deta hai, to unhone kaha ki “hum se kyun mzaak krte ho?” aap ne jawab diya ki “mai aisi bewakoofi se Allah taala ki panah leta hun.”

2:67

Unhone kaha-hey Musa (Alaihi slaam), Allah se dua kijiye ki humein uske bare me bta de. Aap ne farmaya, suno! veh gaye na to budhi ho or na bachhiya, balki darmiyani umar ki ho, ab tumhein jo huqam diya gya hai uska palan kro.

2:68

Veh fir kehne lge ki Allah se dua kijiye ki veh humein bta de ki uska rang kaisa ho? Farmaya veh kehta hai ki gaye sunehre teekhe rang ki ho, aur dekhne valon ko khush kar deti ho.

2:69

Veh kehne lge ki apne rabb se dua kijiye ki veh humein khol kar bta de ki veh kaisi ho? Is tarah ki bhut si gayein hain pta nhi chalta, agar Allah ne chaha to humein hidayat hasil ho jayegi.

2:70

Usne kaha ki Allah ka huqm hai ki veh gaye kheti wali zameen me hal jotne wali aur kheton ko pani pilane wali nhi, veh savasth or bedaag hai. Unhone kaha ab apne vazeh kar diya, fir bhi veh aadeshon ka palan krne wale nhi the, lekin use mana or gaye ki qurbani di.

2:71

Aur jab tumne ek jaan ko qatal kar diya, fir ek-dusre par ilzaam lgane lge, aur Allah ko tumhari chhupai baat zahir krni thi.

2:72

Hum ne kaha ki us gaye ka ek tukda murda ke jism par maro (veh zinda ho jayega) usi tarah Allah taala murda ko zinda krke tumhari akalmandi ke liye nishaniyan dikhata hai.

2:73

Fir us ke baad tumhare dil pathar jaise balki usse bhi jyada mazboot ho gye, kuch pathron se to nehrein beh nikalti hai tatha kuch fat jate hain aur unse pani nikalta hai, Aur kuch Allah taala ke darr se gir padte hain, aur tum Allah taala ko apne amal se anjaan na jano.

2:74

(Hey Musalmano!) kya tum chahte ho ki veh (yahoodi) tumhara yakeen kar lein – jabki unme aisi bhi hain jo Allah ka klaam sunte hain fir use smjhne ke baad use fer-badal kar dete hain, aur aisa veh jankar krte hain.

2:75

Aur jab emaanwalon se milte hain to apni emaandari zahir krte hain, aur jab aapas me milte hain to kehte hain ki mussalmano tak kyun veh baatein phunchate ho jo Allah ne tumhe sikhayi hai, kya jante nhi ki ye to Allah ke samne tum par unka suboot ho jayega.

2:76

Kya yeh nhi jante ki Allah taala unki chhupi or zahir sabhi batein janta hai.

2:77

Aur unme se kuch anpadh aise bhi hain jo ummeedon ke sivaye kitaab nhi jante aur sirf atkal krte hain.

2:78

Un logon ke liye halaqat hai, jo khud apne hatho likhi kitab ko Allah ki kitab kehte hain, aur is tarah duniya (dhan) kamate hain, apne hathon likhne ki wajah se unki barbadi hai aur apni is kamai ki wajah se unka vinash hai.

2:79

Aur ye log kehte hain ki hum to kuch hi din jahannum me rahenge, (unse) kaho ki kya tumne Allah taala se koi vada liya hai? agar hai to beshak Allah taala apna vada todega nhi, ya tum Allah ke upr veh batein lgate ho jinhe tum nhi jante.

2:80

Beshak jisne bhi gunah kiya aur uske gunah ne use gher liya veh jahannami hai. Veh humesha jahannum me rahega.

2:81

Aur jo log emaan laye aur nek amal kiye ve jannati hain, jo humesha jannat me rahenge.

2:82

Aur jab humne israel ke putron se wada liya ki-tum Allah ke sivaye kisi or ki ibaadat na krna Aur maa-baap ke sath acha sulook krna, Aur usi tarah kreebi rishtedaron, yateemo or greebon ke sath, aur logon ko achi batein btana, namaz kayam krna aur zakaat dete rehna, lekin thode se logon ke sivaye tum sabhi mukar gye or muh mod liye.

2:83

Aur jab humne tumse wada liya ki aapas me khoon na bahana (qatal na krna) or apno ko desh se na nikalna, tumne qubool kiya or tum uske gwaah bne.

2:84

Fir bhi tumne apno ka qatal kiya aur apne ek gut ko desh se nikala or gunah or jallan krne ke kam me unke khilaf dusre ka paksh liya. Haan jab veh bndi bnkar tumhare pas aaye to tumne unke badle me maal diya (jise fidiya kehte hain), lekin unka nikalna jo tum pr hraam tha (uski kuch fikr na ki). Kya tum kitaab ki kuch batein mante ho aur kuch ko nakarte ho? Tum me se jo bhi aisa kre uski saza iske sivaye kya ho ki duniya me jillat aur qayamat ke din kathin szaon ki maar! Aur Allah tumhare aamal se anjaan nhi hai.

2:85

Yeh veh log hain jinhone duniya ki zindagi ko aakhirat ke badle khreed liya hai, unki na sazayein kam hongi na unki madad ki jayegi.

2:86

Aur humne Musa (Alaihi slaam) ko kitaab attah ki or unke baad lgatar rasool bhi bheje aur humne Isa (Alaihi slaam) bin Mariyam ko wazeh nishaniyan attah ki aur pakeejah ruh (Hazrat Jibreel) se unki taeed kraai, lekin jab kbhi bhi tumhare pas rasool veh cheez laye, jo tumhare vicharon ke khilaf thi, tumne fauran takabbur kiya, fir kuch ko tumne jhuthla diya or kuch ko qatal kar diya.

2:87

Aur unhone kaha ki humare dil dhanke hue hain, (nhi, nhi) balki unke kufr ki wajah se unhe Allah ne dhitkar diya hai, to unme emaanwale sirf thode hain.

2:88

Aur jab unke pas unki kitaab (Tauraat) ki pushti (tasdeek) krne ke liye ek kitaab (Paak Quran) aa gyi, agarche isse pehle ye khud iske dwara kafiron par jeet chahte the, to aa jane ke bavajud aur pehchan lene ke bavajud unhe nakar diya, Allah (taala) ki lanat ho kafiron par.

2:89

Bahut buri hai veh cheez jiske badle unhone apne ko bech dala, veh unka kufr krna hai Allah taala ki taraf se utri kitaab ko, sirf is baat se jal kar ki Allah ne apni nemat apne jis bande par chaha utara, is karan ve krodh (gazab) par krodh ke bhagi ho gye. Aur un kafiro ke liye apmaan janak (rusva krne wala) aazaab hai.

2:90

Aur jab unse kaha gya ki uspr emaan lao jise Allah ne utara hai, to unhone keh diya ki jo hum par (Tauraat) nazil hui uspr humara emaan hai, aur veh uske sivaye (Pak Quran) ka inkaar krte hain, jab ki veh sach hai, unke pas (dharam granth) ki tasdeek kr rha hai. (Hey! Rasool) unse kaho ki agar tum apni kitaab par yakeen rakhte ho to isse pehle Allah ke rasoolon ka qatal kyun kiya.

2:91

Aur tumhare pas Musa (Alaihi slaam) yhi nishaniyan lekar aaye, lekin tumne fir bhi bachhde ki puja ki, tum ho hi zalim.

2:92

Aur jab humne tumse wada liya or tum par toor pahad khda kr diya (aur keh diya) ki humari attah ki hui cheezon ko mazbooti se pkdo or suno, to unhone kaha humne suna aur nafarmani ki, aur unke dilon me bachhde ka prem (Jaisa ki) pila diya gya, unke kufr ki wajah se. (Unse) keh dijiye ki tumhara emaan tumhe bura huqm de raha hai, agar tum emaanwale ho.

2:93

(Aap) keh dijiye ki agar Allah ke pas aakhirat ka ghar tumhare hi liye hai aur kisi ke liye nhi, to aao apni sachai ki pushti (tasdeek) ke liye maut mango.

2:94

Lekin apne amal ko dekhte hue veh kabhi bhi maut nhi mangein ge aur Allah (taala) zalimo ko achi tarah janta hai.

2:95

Balki sbse jyada duniya ki zindagi ko pyar krne wala (Aye nabi!) aap unhi ko payenge, Ye zindagi ki lalach me mushrikon (murti pujkon) se bhi jyada hain. Unme se har shaks ek-ek hzaar sal ki umar chahta hai, agarche ye umar diya jana bhi unhe aazabon se nhi bacha sakta, Allah (taala) unke amal ko achi tarah dekh raha hai.

2:96

(Aye Nabi!) aap keh dijiye ki jo Jibreel ke dushman hon, jisne aap ke dil par Allah ka paigham utara hai, jo paigham unke pas ki kitaab ki tasdeek krne wala aur emaanwalon ko hidayat or khush-khabri dene wala hai. (to Allah bhi unka dushman hai)

2:97

Jo insaan Allah ka aur uske farishton aur uske rasoolon va Jibreel aur Mikaeel ka dushman ho, aise kafiron (adharmiyon) ka dushman khud Allah hai.

2:98

Aur behsak humne aap ki taraf wazeh nishaniyan bheji hain, jinko fasikon ke sivaye aur koi inkaar nhi krta.

2:99

Ye log jab kabhi bhi vada krte hain to unka ek na ek gut use tod deta hai. Balki unme se jyada tar emaan se khali hain.

2:100

Aur jab kbhi unke pas Allah ka koi rasool unki kitaab ki tasdeek (pushti) krne aaya, to un Ehle kitaab ke ek gut ne Allah ki kitaab ko is tarah peeche dal diya jaise jante nhi the.

2:101

Aur uske peeche lag gye jise shaitan, (Hazrat) Sulaiman ke mulk me padhte the. Sulaiman ne to kufr na kiya tha balki yeh kufr shaitano ka tha, veh logon ko jaadu sikhate the, aur babil me Harut or Marut do farishton par jo utara gya tha; veh dono bhi kisi shaks ko us waqt tak na sikhate the jab tak veh yeh na keh dein ki hum to ek imtihan hain, tu kufr na kar, fir log unse veh sikhte jis se pati-patni me foot dal dein. Haqeekat me ve bina Allah ki mrzi ke kisi ko koi nuksan nhi pahuncha skte. Ye log veh seekhte hain jo inhe na nuksan pahunchaye aur na fayda pahuncha ske, aur veh nishchit roop se jante hain ki iske lene wale ka aakhirat me koi hissa nhi hai. Aur veh bahut hi buri cheez hai jiske badle veh apne aap ko bech rhe hain, agar ye jante hote.

2:102

Aur agar ye log emaan late aur Allah se darr rakhte to Allah (taala) ki or se bhlai milti, agar ye jante hote.

2:103

Aye emaanwalo! tum (Nabi ko) (humara dhyan dijiye ya humara khyal kijiye) na kaha kro, balki (humari or dekhiye) kaho. Aur sunte raha kro or kafiron ke liye dukhdayi aazaab hai.

2:104

Na to ehle kitab ke kafir aur na murti pujak chahte hain ki tum par tumhare rabb ki taraf se bhalai utre (unke is hasad se kya hua?) Allah (taala) jise chahe apni rehmat khas tareeke se attah kr de aur Allah bada fazal vala hai.

2:105

Jis aayat ko hum mansookh kr de ya bhula de usse achi ya us jaisi aur laate hain. Kya tu nhi janta ke Allah har cheez ki kudrat rakhta hai.

2:106

Kya tujhe maloom nhi ki dharti aur aakashon ka mulk Allah hi ke liye hai. Aur Allah ke sivaye tumhara koi sanrakshak (wali) aur madadgar nhi.

2:107

Kya tum apne rasool se vaise swaal krna chahte ho jaise isse pehle Musa (alaihi slaam) se pucha gya. (Suno!) jo emaan ko kufr se badalta hai veh seedhi raah se bhatak jata hai.

2:108

In ehle kitab ke jyadatar log sachhai zahir ho jane ke bawajood sirf hassad aur jallan ki vajah se tumhe bhi emaan se hta dena chahte hain tum bhi maaf kro aur chhod do yahan tak ki Allah apna faisla lagu kar de. Beshak Allah (taala) har kam krne ki kudrat rakhta hai.

2:109

Tum namaz ki adaygi kro aur zakat (dharamdan) dete raho aur jo bhlai tum apne liye aage bhejoge sab kuch Allah ke pas pa loge, beshak Allah (taala) tumhare amal ko dekh raha hai.

2:110

Aur ye kehte hain ki jannat me yahoodi or isaai ke sivaye koi na jayega, ye sirf unki tamannayein hain, unse kaho ki agar tum sache ho to koi suboot to pesh kro.

2:111

Suno! jisne apne ko Allah ke sapurd kar diya, aur nek hai usi ke liye uske rabb ke yahan ajr hai aur na unpr koi darr hoga na koi gham.

2:112

Yahoodi kehte hain isaai sahi raste pr nhi, aur isaai kehte hain ki yahoodi sahi raste pr nhi. Jabki ye tauraat pdhte hain, isi tarah inhi jaisi baat jahil bhi kehte hain, qayamat ke din Allah inke is ikhtelaf ka faisla kar dega.

2:113

Aur usse bada zalim kaun hai? jo Allah (taala) ki masjidon me Allah ka zikr krne se roke, aur unko barbad krne ki koshish kre, aise logon ko darte hue usme dakhil hona chaiye, unke liye duniya me bhi jillat hai aur akhirat me bhi badi-badi szayein hain.

2:114

Aur purab va paschim ka malik Allah hi hai, tum jidhar bhi muh kro udhr hi Allah ka muh hai, Allah (taala) bahut taqat wala janne wala hai.

2:115

Aur ye kehte hain ki Allah (taala) ki aulad hai (nhi balki) veh paak hai, dharti or aakashon ki sari makhlook par uski huqoomat hai aur har ek uska farmabardar hai.

2:116

Veh aakashon aur dharti ka ijaad krne wala hai, aur veh jis kam ka faisla krta hai keh deta ki ho ja, veh ho jata hai.

2:117

Aur isi tarah anpadh logon ne bhi kaha ki khud Allah (taala) humse batein kyon nhi krta ya hmare pas koi nishani kyon nhi aati, isi tarah aisi hi baat unke pehle logon ne bhi ki thi, unke or inke dil ek jaise ho gye, humne to yakeen krne walon ke liye nishaniyon ka bayan kar diya.

2:118

Hum ne aap ko haq ke sath khushkhabri dene wala aur aagah krane wala bnakar bheja hai aur narakh vasiyon ke bare me aap se nhi pucha jayega.

2:119

Aur aap se yahoodi or isaai kbhi bhi khush na honge, jab tak ki aap unke mazhab ka anukaran (pairvi) na krle, (aap) keh dijiye ki Allah ki hidayat hi hidayat hoti hai, Aur agar aap ne apne pas ilm aa jane ke bawajood fir bhi unki ichhaon ki pairvi ki to Allah ke pas na to aap ko koi wali hoga na koi madadgar.

2:120

Jinhe humne kitab di aur ve use padhne ke haq ke sath padhte hain, ve is kitab par bhi emaan rakhte hain aur jo is pr emaan nhi rakhte veh khud apna ghata krte hain.

2:121

Aye israeel ke putron! maine tumko jo nematein di hain unhe yad kro aur yeh ki maine tumhe sare jahan me fazeelat attah kar rakhi thi.

2:122

Aur us din se daro jis din koi insaan kisi insaan ko koi fayda na pahuncha skega na kisi insaan se koi badla qubool kiya jayega na use koi sifarish fayda pahuncha skegi na uski madad ki jayegi.

2:123

Aur jab Ibraheem (alaihi slaam) ki unke rabb ne kyi-kyi baton se preeksha li, aur unhone sbhi ko pura kr dikhaya to (Allah ne) farmaya ki mai tumhe logon ka imaam bna dunga. Puchha-aur meri aulad ko, jawab diya ki mera wada zalimon se nhi.

2:124

Aur humne Baitullah (Kaaba) ko insaano ke liye swaab or aman ki jagah bnaya, tum “Mukame Ibraheem” (ibraheem ka mukaam – masjid haraam me ek muqarrar jagah ka naam hai jo kaaba ke darwaze ke samne thodi bayein hat kr hai) 
ko “Mussallah” (namaz padhne ka mukaam) muqarrar kar lo, aur humne Ibraheem or Ismaeel (alaihi slaam) se wada liya ki mere ghar ko tawaaf aur etikaaf krne walon aur rukooh krne or sajdah krne walon ke liye paak aur saaf rakho.

2:125

Aur jab Ibraheem ne kaha, hey mere rabb! tu is jagah ko shantimaye (mamoon) nagar bna aur yahan ke rehne walon ko jo Allah or qayamat ke din pr emaan rakhne wale hon, falon ki rozi attah kar. Allah ne kaha ki mai kafiron ko bhi thoda fayda dunga, fir unhe aag ke azaab ki taraf majboor kr dunga, yeh pahunchne ki buri jagah hai.

2:126

Jab Ibraheem (alaihi slaam) aur Ismaeel (alaihi slaam) kaaba ki buniyad (aur deevarein) uthate jate the aur kehte jate the ki aye humare rabb! tu humse qubool kar tu hi sunne wala aur janne wala hai.

2:127

Hey hamare rabb! hume apna farmabardar bna aur hmari aulad me se ek smooh ko apna farmabardar bna aur hume apni ibaadtein sikha aur humari tauba qubool kr, tu tauba qubool krne wala, reham krne wala hai.

2:128

Hey hmare rabb! unme, unhi me se ek rasool (ishdoot) bhej, jo unke pas teri aaytein padhe aur unhe kitab va hiqmat sikhayein aur unhe paak krein, beshak tu ghalib aur hiqmat wala hai.

2:129

Aur Ibraheem ke dhram (deen) se vhi muh modega jo khud bewakuf ho, humne to use duniya me bhi apna liya aur aakhirat me bhi veh nek logon me se hai.

2:130

Jab (bhi) unke rabb ne kaha ki aatam-smarpan kar do to kaha ki maine sare jahan ke rabb ke liye aatam-smarpan kr diya.

2:131

Isi ki vseeyat Ibraheem aur Yaqub ne apni aulad ko ki, ki humare bachon! Allah (taala) ne tumhare liye is dharam ko nirdharit kar diya hai, khabardar! tum musalman hi marna.

2:132

Kya tum (hazrat) Yaqub ki maut ke waqt hazir the? Jab unhone apni aulad se kaha ki tum meri maut ke bad kiski ibaadat kroge, to sabhi ne jawab diya tha ki aapke rabb ki aur aap ke buzurg Ibraheem aur Ismaeel aur Iss-haaq ke mabood ki, jo ek hi hai aur hum usi ke tabedar rahenge.

2:133

Yeh ummat to guzar chuki, jo unhone kiya vo unke liye hai aur jo tum kroge veh tumhare liye hai, unke amal ke bare me tumse nhi puchha jayega.

2:134

Ye kehte hain ki yahoodi aur isaai ban jao to hidayat paoge, tum kaho ki sahi raste par to Ibraheem (alaihi slaam) ke peronkar hain, aur Ibraheem (alaihi slaam) sirf Allah ke farmanbardar the ve murti pujak nhi the.

2:135

(Aye Musalmano!) tum sab kaho hum Allah pr emaan laye aur us pr bhi jo hmari taraf utari gyi aur jo Ibraheem, Ismaeel, Iss-haaq, Yaqoob aur unki aulad par utari gyi aur jo kuch Allah ki taraf se Musa, Isa aur dusre nabiyon ko diye gye, hum unme se kisi ke beech fark nhi krte, hum Allah ke tabedar hain.

2:136

Agar veh tum jaisa emaan laye to hidayat payenge, aur agar muh mode to khilaf me hain, Allah (taala) unse nikat bhvishya (mustaqbil) me tumhari madad krega. Veh achi tarah se sunne aur janne wala hai.

2:137

Allah ka rang apnao aur Allah (taala) se acha rang kiska hoga? Hum to usi ki ibaadat krne wale hain.

2:138

(Aap) keh dijiye kya tum hum se Allah ke bare me jhagadte ho, jo hmara aur tumhara rabb hai, hmare liye hmare amal hain, tumhare liye tumhare amal, hum to usi ke liye mukhlis hain.

2:139

Kya tum kehte ho Ibraheem, Ismaeel, Iss-haaq, aur Yaqub aur unki aulad yahoodi ya isaai thi? Keh do kya tum jyada jante ho ya Allah (taala)? Allah ke pas suboot chhupane walon se jyada zalim aur kaun hai? Aur Allah (taala) tumhare amal se gaafil nhi.

2:140

Yeh smudaye (ummat) hai jo guzar chuka, jo unhone kiya unke liye hai aur jo tum ne kiya tumhare liye, tum se unke amal ke bare me swaal nhi kiya jayega.

2:141

Kareeb hi bewakuf log kahenge ki jis kibla (jis disha ki taraf muh krke namaz padhi jati hai) par yeh the usse inhe kis cheez ne fer diya? (Aap) keh dijiye ki purab aur paschim ka malik Allah (taala) hai veh jise chahe seedha rasta dikhata hai.

2:142

Aur humne isi tarah tumhe beech ki (santulit) ummat bnaya hai. Taki tum logon pr gwaaf ho jao aur rasool tum par gwaaf ho jayein aur jis qible par tum pehle se the, use humne sirf isliye muqarrar kiya tha ki hum jaan lein ki rasool ke sache tabedaar kaun-kaun hain aur kaun hai jo apni eydion ke bal palat jata hai, jabki yeh kam kathin hai, lekin jinhe Allah ne hidayat di hai (un pr koi kathinai nhi) Allah (taala) tumhara emaan barbad nhi krega, Allah (taala) logon ke sath pyar aur reham krne wala hai.

2:143

Hum aap ke muh ko aasman ki taraf, bar-bar uthte hue dekh rahe hain, ab hum aap ko us qible ki taraf fer denge, jisse aap khush ho jayein, aap apna muh masjid haraam (kaaba) ki taraf fer lein aur aap jahan khin bhi hon aap apna muh usi or fera krein. Ehle kitab ko is baat ke Allah ki taraf se sach hone ka sacha ilm hai aur Allah taala amlo se ghafil nhi, jo ye krte hain.

2:144

Aur aap agar Ehle kitab ko sbhi suboot pesh krdein, fir bhi ve aap ke qible ka anukaran (pairvi) nhi krenge aur na aap unke qible ko manne wale, na ye aapas me ek-dusre ke qible ko manne wale hain. Agar aap iske bawajood ki apke pas ilm aa chuka fir bhi unki ichhaon ko puri krne ke liye pairvi krne lgein to beshak aap bhi zalim ho jayenge.

2:145

Jinhein humne kitaab di hai ve to ise aisa pehchante hain, jaise koi apne putron ko pehchanta hai, unka ek gut sach ko pehchan kr fir chhupata hai.

2:146

Apke rabb ki taraf se yeh pura sach hai, hoshiyar! aap shak krne walon me se na hon.

2:147

Aur har insaan ek na ek or aakrishth (mutwijjah) ho rha hai, tum neki ki taraf daudo jahan khin bhi tum rahoge, Allah tumhe le ayega, Allah (taala) ko har cheez ki kudrat hai.

2:148

Aur aap jahan se niklein apna muh masjide haraam ki taraf kr liya krein, yhi sach hai apke rabb ki taraf se aur jo kuch tum kr rhe ho us se Allah anjaan nhi.

2:149

Aur jis jagah se aap niklein apna muh masjide haraam ki taraf fer lein aur jahan khin tum raho apna muh usi taraf kr liya kro, taki logon ki koi huzzat tum pr baki na reh jaye, unke sivaye jinhone unme se zulm kiye hain, tum unse mat daro, mujhse hi daro taki mai apni nemat tum pr puri kr dun, aur isliye bhi ki tum hidayat pa sko.

2:150

Jis tarah humne tum me tumhi me se rasool (ishdoot-Muhammad sallallahu alaihi wa sallam) ko bheja, jo humari aaytein (Paak Quran) tumhare samne tilawat krta hai aur tumhe paak krta hai aur tumhe kitaab aur hiqmat aur un baton ka jinse tum la-ilm the ilm de rha hai.

2:151

Isliye tum mujhe yaad kro mai bhi tumhe yad krunga aur mere shukrguzar raho aur nashukri se bacho.

2:152

Hey emaanwalon! sabr aur namaz ke zariye madad chaho, Allah (taala) sabr krne walon ka sath deta hai.

2:153

Aur Allah (taala) ki raah me shaheed hone walon ko murda na kaho, veh zinda hain, lekin tum nhi smajhte.

2:154

Aur hum kisi na kisi tarah tumhara imtehan jrur lenge, dushman ke darr se, bhookh pyaas se, maal va jaan, falon ki kami se aur un sabr krne walon ko khushkhabri de dijiye.

2:155

Unhe jab kbhi bhi koi kathinai aati hai, to keh diya krte hain ki hum to khud Allah (taala) ke liye hain aur hum usi ki or lotne wale hain.

2:156

Yhi hain jin par unke rabb ki rehmat aur nawazishein hain aur yhi log sache raste par hain.

2:157

Beshak saffa (pahad) aur marwah (pahad) Allah (taala) ki nishaniyon me se hain, isliye Allah ke ghar ka hajj aur umrah krne wale par inka tawaf kr lene me bhi koi harz nhi. Apni khushi se bhalai krne walon ka Allah samman krta hai aur unhe achi tarah jan-ne wala hai.

2:158

Jo log hmari utari hui nishaniyon aur nirdeshon (hidayat) ko chhupate hain iske bawajood ki hum use apni kitaab (Paak Quran) me logon ke liye bayan kr chuke hain un logon pr Allah ki or sabhi dhikkarne walon ki dikkaar hai.

2:159

Lekin veh log jo tauba krlein aur sudhaar krlein aur bayan krein to mai unki tauba qubool kr leta hun, aur mai tauba qubool krne wala or reham krne wala hun.

2:160

Beshak jo kafir kufr ki halat me mar jayein un pr Allah ki or farishton ki or sbhi logon ki laanat hai.

2:161

Jis me ve humesha rahenge na unse azaab halka kiya jayega or na unhe dheel di jayegi.

2:162

Aur tum sab ka mabood ek Allah hi hai uske sivaye koi sacha mabood nhi, veh bhut kripalu aur bada dayalu hai.

2:163

Beshak aakash aur dharti ka bnana, raat din ka fer badal, navon ka logon ko fayda deni wali cheezon ko lekar samundar me chalna, aakash se varsha utar kr murda dharti ko zinda kr dena, isme har tarah se jeev ko faila dena, hawa ki disha parivartan (badalna) krna, aur badal jo aakash va dharti ke beech musakhhar hain, isme akal-mandon ke liye Allah ki kudrat ki nishani hai.

2:164

Aur kuch log aise bhi hain jo Allah ke sajhidaar dusron ko thehra kr unse aisa prem rakhte hain jaisa prem Allah se hona chaiye aur emaanwale Allah se prem me sakht hote hain, kaash ki murti-pujak jante jabki Allah ke azaabon ko dekh kr (jaan lenge) ki sbhi taqat Allah hi ko hai aur Allah sakht azaab dene wala hai. (to kabhi bhi murti-puja na krte)

2:165

Jis samay mukhiya log apne paironkaron se alag ho jayenge aur azaab ko apni aankhon se dekh lenge aur sbhi rishte toot jayenge.

2:166

Aur tabedaar kehne lgenge, kash hum duniya ki taraf dobara jayein to hum bhi unse isi tarah alag ho jayein, jaise ye humse hain. Isi tarah Allah taala unhe unke amal dikhayega unko pachhtave ke liye, ye kbhi bhi jahannum se na nikal payenge.

2:167

Hey logon! dharti me jitni bhi halal aur paak cheezein hain, unhe khao-piyo aur shaitan ke raste pr na chalo, veh tumhara khula dushman hai.

2:168

Veh tumhe sirf burai or behayai ka aur Allah (taala) par un baton ke kehne ka huqum deta hai jinka tumhe ilm nhi.

2:169

Aur unse jab kbhi kaha jata hai ki Allah (taala) ki utari hui kitaab par amal kro to jawab dete hain ki hum to us raste ka palan krenge jis par humne apne buzurgon (baap-dada) ko paya, jabki unke buzurg bewakuf or bhatke hue hon.

2:170

Aur kafir un janvaron ki tarah hain jo apne charwahe ki sirf pukar or aawaz hi ko sunte hain (smjhte nhi) veh behre gunge aur andhe hain, unhe akal nhi hai.

2:171

Aye emaanwalo! jo (paak) cheez humne tumhe attah ki hai, unhe khao-peo aur Allah (taala) ke shukrguzar raho, agar tum sirf usi ki ibaadat krte ho.

2:172

Tum par murda aur khoon (baha hua), suar ka gosht aur veh har cheez jis par Allah ke naam ke sivaye dusron ke naam pukare jayein haraam hai, lekin jo majboor ho jaye or veh seema ulanghan krne wala or zaalim na ho, usko unko khane me koi gunah nhi, Allah (taala) bakhshne wala reham krne wala hai.

2:173

Beshak jo log Allah taala ki utari hui kitaab chhipate hain, aur use thodi-thodi keemat pr bechte hain, yakeen kro veh apne pet me aag bhar rhe hain, qayamat ke din Allah taala unse baat bhi nhi krega, na unhe paak krega, unke liye sakht azaab hai.

2:174

Yhi veh log hain jinhone gumrahi ko hidayat ke badle aur azaab ko magfirat ke badle khreed liya hai, yeh log aag ka azaab kitna sehan krne wale hain.

2:175

In azaabon ki wajah yhi hai ki Allah taala ne sachi kitaab utari aur is kitaab me ikhtelaaf rakhne wale jroor door ke vibhed (khilaf) me hain.

2:176

Sari achhai purab aur paschim ki taraf muh krne me hi nhi, balki haqeekat me acha veh insaan hai jo Allah (taala) par, qayamat ke din par, farishton par, Allah ki kitaab par aur nabiyon par emaan rakhne wala hai, jo maal se prem krne pr bhi rishtedaron, yteemo, greebon, musafiron aur bhikhariyon ko de, kaydiyon ko aazad kre, namaz ki pabandi aur zakaat ko ada kre, jab wada kre to usko pura kre, maal ki kmi, dukh-dard or ladaai ke samay sabr kre, yhi sache log hain aur yhi parhezgar (burai se bachne wale) hain.

2:177

Hey emaanwalo! tum par qatal kiye gye insaan ka badla lena farz kiya gya hai, aazaad aazaad ke badle, ghulam ghulam ke badle, naari naari ke badle, haan agar jis kisi ko uske bhai ki taraf se maf kar diya jaye, use bhlai ka sammaan (ehteraam) krna chaiye aur aasani ke sath deyat (maal jo qatal ke badle liya jaye feediya) ada krna chaiye, tumhare rabb ki taraf se yeh chhoot aur rehmat hai. Uske bad bhi jo ulanghan (tajawuz) kre, use bhut aazab ka samna krna padega.

2:178

Akalmando! kisaas (prati-hatya, hatya-dund) me tumhare liye zindagi hai is wajah se tum (qatal krne se) rukoge.

2:179

Tum par farz kar diya gya hai ki jab tum me se koi mrne lge aur maal chhod jata ho, to apne maa-baap aur rishtedaron ke liye achhai ke sath vaseeyat kr jaye. Parhezgaron par yeh farz wazeh hai.

2:180

Ab jo insaan use sunne ke bad badal de to uska gunah badalne wale pr hi hoga, beshak Allah taala sunne wala aur janne wala hai.

2:181

Haan jo vaseeyat krne wale ke pakshpat aur gunah se darre aur agar veh unme aapas me sudhar kra de, to us pr gunah nhi, Allah (taala) maaf krne wala meherbaan hai.

2:182

Aye emaanwalon! tum par roze (vratt jo ramzan ke maheene me rakhe jate hain) farz kiye gye, jis tarah se tum se pehle logon pr farz kiye gye the, taki tum taqwa (Allah se darr) ka rasta apnao.

2:183

Ginti me kuch hi din hain, lekin agar tum me se jo insaan beemar ho ya safar me ho, to veh dusre dino me ginti puri krle aur jo iski kudrat rakhta ho feediya me ek gareeb ko khana de, fir jo insaan bhalai me badh jaye veh usi ke liye behtar hai, lekin tumhare haq me behtar amal roze (vratt) rakhna hi hai agar tum jante ho.

2:184

Ramzan ka maheena veh hai, jisme Quran utara gya. Jo logon ke liye hidayat hai aur jo hidayat aur haq va batil ke darmiyan faislaqun hai, to tum me jo bhi is maheene ko paye use roza rakhna chaiye, haan jo rogi ho ya safar me ho, to use dusre din me yeh ginti puri krni chahiye, Allah (taala) ki marzi tumhare sath aasani ki hai sakhti ki nhi, veh chahta hai ki tum ginti puri krlo aur Allah (taala) ki attah ki gyi hidayat ke anusaar uski badhai bayan kro aur uske shukrguzar raho.

2:185

Aur jab mere bande (bhakt) mere bare me aap se sawal krein to mai bhut hi kareeb hun, har pukarne wale ki pukar ko jab kbhi bhi veh mujhe pukare mai qubool krta hun, isliye logon ko bhi chaiye ki veh meri baat mane aur mujh par emaan rakhein yhi unki bhalai ka karann (baees) hai.

2:186

Roze ki raton me apni biwiyon se milne ki tumhe ijaazat hai, veh tumhara libaas hain aur tum unke libaas ho, tumhari chhipi khayanat ka Allah ko ilm hai, usne tumhari tauba ko qubool kar tumhein maaf kar diya, ab tumhe unse humbistri ki or Allah (taala) ki likhi hui cheez ko dhundne ka huqum hai, tum khate-peete raho, yahan tak ki fazar ki safedi ka dhaga andhere ke kale dhage se wazeh ho jaye, fir raat tak roze ko pura kro aur biwiyon se us samay humbistri na kro jab ki tum masjidon me ayteqaaf (ek muqarrara waqt ke liye Allah ki ibaadat ke maksad se apne aap ko masjid tak hi mehdood kr lena) me ho, yeh Allah (taala) ke hudood hain, tum inke kareeb bhi na jao, isi tarah Allah apni nishaniyan logon par bayan krta hai, taki ve bachein.

2:187

Aur ek-dusre ka maal galat treeke se na khaya kro, na-hakdaar insaano ko rishwat pahuncha kr kisi ka kuch maal zulm se haddup kar liya kro, agarche ki tum jante ho.

2:188

Log apse naye chaand ke bare me swaal krte hain, aap keh dijiye ki yeh logon (ki ibaadat) ke waqt aur hajj ke mausam ke liye hai (ehram ki halat me) aur gharon ke piche se tumhara aana koi nek kam nhi, balki nek kam veh hai jo Allah se darta ho. Gharon me unke darwaze se aaya kro, aur Allah se darte raha kro taki tum kamyab ho jao.

2:189

Aur laddo Allah ki raah me unse jo tumse ladte hain, aur zulm na kro Allah (taala) zalim ko pasand nhi krta hai.

2:190

Aur unhe maro jahan bhi pao or unhe nikalo jahan se unhone tumhe nikala hai aur (suno) fitnah (ladai-jhagda, fasaad) qatal se jyada bura hai aur masjide haram ke pas unse ladai na kro, jab tak ki veh khud tumse na ladein, agar veh tumse ladein, to tum bhi unhein maro, kafiron ka badla yhi hai.

2:191

Agar ve ruk jayein, to Allah (taala) bahut bakhshne wala reham krne wala hai.

2:192

Aur unse laddo, jab tak ki fitnah na mit jaye aur Allah (taala) ka deen reh jaye, agar veh ruk jayein (to tum bhi ruk jao) zulm to kewal zalimon par hai.

2:193

Hurrmat wale maheene ke badle hurrmat wale maheene hain aur hurrmatein adle-badle ki hain, jo tum par zulm kre tum bhi us pr usi tarah ka zulm kro jo tum par kiya hai aur Allah taala se darte raha kro aur jaan rakho ki Allah (taala) perhezgaron ke sath hai.

2:194

Aur Allah ki raah me kharch kro aur apne hathon kasht me na pado. Bhalai kro Allah bhalai krne walon se prem krta hai.

2:195

Aur hajj va umre ko Allah taala ke liye pura kro, aur agar tum rok diye jao, to jo bhi qurbani ka janwar ho use qurbani kar dalo. Aur apne sir na mundwao jab tak ki qurbani qurbangah tak na pahunch jaye. Aur tum me se jo bimar ho ya uske sir me koi dard ho jiski wajah se veh sir mundwa le to us pr fidiya hai ki chahe to roza rakh le, ya chahe to sadka de, ya qurbani kre lekin jaise hi shanti ki halat ho jaye, to jo umre se lekar hajj tak tamtuh (labhanvit) kre, bas use jo bhi qurbani mojood ho use kr dale. Jisme takat na ho veh teen roze to hajj ke dino me rakh le aur saat vapsi me yeh pure das ho gye. Yeh huqum unke liye hai jo masjide haram (mecca) ke rehne wale na hon. (Logon!) Allah se darte raho or jaan lo ki Allah (taala) sakht sazayein dene wala hai.

2:196

Hajj ke maheene muqarrar hain, isliye jo inme hajj wajib kre veh apni biwi se jimah krne, gunah krne aur ladai-jhagda krne se bachta rahe, tum jo sawaab ka kam kroge use Allah (taala) janne wala hai, aur apne sath rasta ka kharch le liya kro, sabse behtar rasta kharch to Allah ka darr hai aur aye akalmando! mujhse darte raha kro.

2:197

Tum par apne rabb ka fazal dhundne me koi gunah nhi. Jab tum arafaat se lauto to mash-are haraam (muzdleefa) ke kareeb Allah ka zikr kro aur uske zikr ka bayan us tarah kro, jaise ki usne tumhe nirdesh diye hain, halanki tum us se pehle gumrahon me the.

2:198

Fir tum us jagah se lauto jis jagah se sbhi log laut te hain aur Allah (taala) se istegaffar krte raho, beshak Allah (taala) bakhshne wala, reham krne wala hai.

2:199

Fir jab tum hajj ke har kam pure karlo, to Allah (taala) ko yaad kro, jis tarah se tum apne buzurgon ko yaad krte the, balki usse jyada. Kuch log veh bhi hain jo kehte hain “humare rabb! hume is duniya me de de, aise logon ka aakhirat me koi hissa nhi hai”.

2:200

Aur kuch log veh bhi hain, jo kehte hain, “aye humare palanhar! humein is duniya me bhalai attah kar aur aakhirat me bhi bhalai attah kar aur humein jahannum ke azaab se bacha de”.

2:201

Ye veh log hain jinke liye unke amlon ka hissa hai aur Allah (taala) jald hi hisaab lene wala hai.

2:202

Aur Allah (taala) ki yaad un ginti ke kuch dino (tashreek ke din) me karo, do din ki jaldi krne wale par koi gunah nhi, aur jo peeche reh jaye us pr bhi koi gunah nhi yeh parhezgar (mahan insaan) ke liye hai, aur Allah (taala) se darte raho, aur jaan rakho, ki tum sab usi ki or jmaa kiye jaoge.

2:203

Aur kuch logon ki duniyavi batein aap ko khush kar deti hain aur veh apne dil ki baton par Allah ko gawah krta hai, halanki haqeeqat me veh bada jhagdalu hai.

2:204

Aur jab veh laut kar jata hai, to zameen me fasaad failane, kheti aur nasal ki barbadi ki koshish me lga rehta hai aur Allah (taala) fasaad ko pasand nhi krta hai.

2:205

Aur jab us se kaha jata hai ki Allah se darr, to ghamund use gunah par uksah deta hai, aise ke liye sirf jahannum hi hai, aur beshak veh bahut buri jagah hai.

2:206

Aur kuch log veh bhi hain jo ki Allah (taala) ki marzi hasil krne ke liye apni jaan tak bech dalte hain aur Allah (taala) apne bandon par badi shafqat krne wala hai.

2:207

Aye emaanwalon! islam me poore taur par dakhil ho aur shaitan ke pad chinhon ki pairvi na karo, veh tumhara khula dushman hai.

2:208

Agar tum nishaniyon ke aa jane ke bawajood bhi fissal jao, to jaan lo ki Allah (taala) zabardast aur hiqmat wala hai.

2:209

Kya logon ko is baat ka intezar hai ki Allah (taala) khud baadlon ke jhhurmut me aa jaye, aur farishte bhi, aur kaam ka ant kar diya jaye, Allah hi ki taraf sbhi kam lautaye jate hain.

2:210

Israel ki aulad se puchho ki humne unhe kitni wazeh nishaniyan attah ki aur jo Allah (taala) ki nemat apne pas pahunch jane ke bawajood badal dale (veh jaan le) ki Allah (taala) bhi kathin sazaon ka dene wala hai.

2:211

Kafiron ke liye duniyavi zindagi muzyyayan kar di gyi hai, aur veh emaanwalon se hansi mazaak krte hain magar jo parhezgar hain qayamat ke din unse bhut bade honge, Allah (taala) jise chahta hai beshumar attah krta hai.

2:212

Haqeeqat me log ek hi ummat the, fir Allah (taala) ne nabiyon ko khushkhabri dene or aagah krne ko bheja aur unke sath kitaab utari, taki logon ke har ikhtilaaf ka faisla ho jaye. Aur kewal unhi logon ne jo use diye gye the apne pas daleel aa jane ke bawajood aapsi hassad aur ghamund ki wajah se usme ikhtilaaf kiya, isliye Allah (taala) ne emaanwalon ke is ikhtilaaf me bhi sachai ki taraf apni ijaazat ke zariye hidayat ki aur Allah jisko chahe seedhe raste ki taraf rehnumai krta hai.

2:213

Kya tum yeh vichar (khyaal) kar bethe ho ki jannat me chle jaoge? Agarche ab tak tum pr veh haalat nhi aayi jo tum se aglon par aayi unhe greebi aur beemari pahunchi, aur veh yahan tak jhijhodde gye ki rasool aur unke sath ke emaanwale log kehne lage ki Allah ki madad kab aayegi? Sun rakho ki Allah ki madad kreeb hi hai.

2:214

Aap se puchhte hain ki veh kya kharch krein, aap keh dijiye ki jo maal tum kharch kro veh maa-baap ke liye, rishtedaron, yateemo va greebon aur musaafiron ke liye hai aur tum jo kuch bhalai kroge Allah (taala) ko uska ilm hai.

2:215

Tum par jihaad farz kiya gya hai, agarche ki veh tumhare liye kathin maloom hota ho, ho sakta hai ki tum kisi cheez ko buri jano aur haqeeqat me vhi tumhare liye bhli ho, aur yeh bhi ho skta hai ki tum jis cheez ko achhi samjho aur veh tumhare liye buri ho, sacha ilm Allah hi ko hai, tum sirf anjaan ho.

2:216

Log aapse hurrmat wale maheene me jung ke bare me sawaal krte hain, aap keh dijiye unme jung krna bhut bda gunah hai, lekin Allah ke raste se rokna, unke sath kufr krna, masjide haraam se rokna aur vahan ke rehne walon ko vahan se nikalna Allah ke kreeb usse bhi bada gunah hai aur fitnah qatal se bhi bada gunah hai, yeh log tumse ladaai-jhagda krte hi rahenge yahan tak ki agar unse ho ske to tumhein tumhare dharam se fer dein aur tum me se jo log apne dharam se palat jayein aur usi kufr ki halat me marein, unke aamaal duniya or aakhirat ke sbhi barbaad ho gye, yeh log jahannami honge aur humesha jahannum me hi rahenge.

2:217

Haan jinhone emaan qubool kiya aur hijrat ki aur Allah ki raah me jihaad kiya (deen ki hifaazat ke liye Allah ki raah me ladde) vhi Allah ki rehmat ki umeed rakhte hain aur Allah (taala) bada bakhshne wala reham krne wala hai.

2:218

Log aapse sharab aur jua ke bare me sawal krte hain, aap keh dijiye in dono me bada gunah hai, aur logon ko isse duniyavi fayda bhi hota hai, lekin unka gunah unke fayda se kahi jayada hai, aap se yeh bhi puchhte hain ki kya khrach krein, aap keh dijiye jroorat se jyada ko. Allah (taala) isi tarah apna huqum wazeh taur se tumhare liye bayaan kar raha hai ki tum soch samjh sko.

2:219

Duniyavi aur aakhirat ke amlon ko, aur aap se yateemo ke bare me bhi sawaal krte hain, Aap keh dijiye ki unki bhalaai krna hi acha hai, tum agar apne maal unke maal me mila bhi lo to veh tumhare bhai hain, badd neeyat or nek neeyat sbko Allah puri tarah se jaanta hai, aur agar Allah chahta to tumhe kathinai me dal deta. Beshak Allah (taala) zabardast aur hiqmat wala hai.

2:220

Aur mushrik aurton se us waqt tak shadi na kro jab tak ki veh emaan na le aayein. Emaanwali laundi (dassi) bhi mushrik (bahu devwadi) aazad aurat se behtar hai, agarche ki tumhe mushrik hi achi lagti ho aur na mushrik mardon ko apni aurton se vivaah krne do, jab tak ki veh emaan na le aayein, emaandar ghulam (mussalman daas) aazad mushrik se jayada acha hai, agarche ki tumhe mushrik acha lge, yeh log jahannum ki taraf bulate hain aur Allah jannat ki taraf aur magfirat ki taraf apne huqum se bulata hai, veh apni nishaniyan logon ke liye bayan kr rha hai, taki naseehat hasil krein.

2:221

Aur aap se maahwari ke bare me sawal krte hain, keh dijiye veh gandgi hai, maahwari ke waqt aurton se alag raho aur jab tak veh paak na ho jayein unke kreeb na jao, haan jab veh paak ho jayein unke pas jao jahan se Allah ne tumhe ijjazat di hai Allah maafi mangne wale ko aur paak rehne wale ko pasand krta hai.

2:222

Tumhari biwiyan tumhari khetiyan hain, apni khetiyon me jis tarah chaho jao aur apne liye (sawaab) aage bhejo, aur Allah (taala) se darte raho, aur jaan rakho, ki tum usse milne wale ho aur emaanwalon ko khushkhabri suna dijiye.

2:223

Aur Allah (taala) ko apni kasmon ka (is tarah) nishana na banao ki bhalai or parhezgari or logon ke beech sudhar krne ko chhod betho. Aur Allah (taala) sunne wala janne wala hai.

2:224

Allah taala tumhe tumhari un kasmon par na pakdega jo mazboot na hon. Haan tumhari pakad us cheez par hai, jo tumhare dilon ka amal hai, Allah (taala) maaf krne wala sehansheel hai.

2:225

Jo log apni biwiyon (patniyon) se (na milne ki) kasam khayein unke liye chaar maheene ki muddat hai. Fir agar veh laut aayein, to Allah (taala) bakhshne wala reham krne wala hai.

2:226

Aur agar talaq ka hi irada krlein to Allah (taala) bahut sunne wala janne wala hai.

2:227

Talaq shuda aurtein apne aap ko teen maahwari tak roke rakhein. Unke liye jayaz nhi ki Allah ne unke riham me jo paida kiya ho use chhipayein, agar unhe Allah (taala) par aur qayamat ke din par emaan ho. Unke shohar ko is muddat me unhe lauta lene ka pura haq hai, agar unka irada sudhar ka ho, aurton ke bhi vaise hi haq hain, jaise un pr mardon ke hain achhai ke sath. haan, mardon ki aurton pr fazeelat hai aur Allah (taala) zabardast hiqmat wala hai.

2:228

Ye talaq do baar hai fir ya to achhai se rokna ya jayaz tareeke se chhod dena hai aur tumhe uchit nhi ki tum ne unhe jo diya hai, usme se kuch bhi lo, haan! yeh aur baat hai ki dono ko Allah ke hudood qayam na rakhne ka darr ho, isliye yadi tumhe darr ho ki yeh dono Allah ke hudud qayam na rakh skenge, to stri azaadi hasil krne ke liye kuch de dale, isme dono par koi gunah nhi yeh Allah ke hudood hain, hoshiyar in se aage na badhna aur jo log Allah ke hudood ko tjaooz kar jayein, veh zalim hain.

2:229

Fir yadi usko (teesri baar) talaq de de, to ab veh uske liye halal nhi jab tak ki veh stri uske sivaye dusre se vivah na kre, fir agar veh talaq de de, to un dono ko mel-jol kar lene me koi gunah nhi. Jab ki veh jaan lein ki Allah ke hudood ko qayam rakh skenge, yeh Allah (taala) ke hudood hain, jinhe veh janne wale ke liye bayan kar raha hai.

2:230

Aur jab tum aurton ko talaq do aur veh apni iddat (teen mahawari ki muddat ko kehte hain) khatam krne ke kreeb hon, to ab unhe achi tarah se basaao ya bhalai ke sath alag kar do. Aur unhe nuksaan pahunchane ke maksad se zulm va jyaadti krne ke liye na roko, jo insaan aisa kre usne apni jaan par zulm kiya, tum Allah ke huqum ka mazaak na banao. Aur Allah ki nemat jo tum par hai yaad kro or jo kuch kitaab va hiqmat usne utari hai, jis se tumhe taleem de rha hai usse bhi, aur Allah (taala) se darte raha kro or yaad rakho ki Allah (taala) har ek cheez ko jaanta hai.

2:231

Aur jab tum apni aurton ko talaq do or veh apni iddatt puri kar lein, to unhe unke patiyon se shadi krne se na roko, jabki veh aapas me bhalai ke aitbaar se raazi hon. Yeh taleem unhe di jati hai jinhe tum me se Allah (taala) par aur qayamat ke din par yakeen or emaan ho, isme tumhari achi safai or pakeezgi hai aur Allah (taala) jaanta hai tum nhi jaante.

2:232

Aur mayein apni auladon ko poore do saal doodh pilayein, jinka irada doodh pilane ki puri muddatt ka ho, aur jinki aulad hai unki jimmedari hai ki unko roti kapda de, jo bhalai ke sath ho. Har ek insaan ko itni hi kathinai di jati hai, jitni uski taqat ho, maa ko uski aulad ki wajah se ya baap ko uski aulad ki wajah se use koi nuksaan na pahunchaya jaye, vaaris par bhi usi jaisi jimmedari hai, fir agar dono (yani maa-baap) apni razamandi or aapsi irada se doodh chhudana chahein, to dono par koi gunah nhi, aur agar tum apni auladon ko doodh pilana chahte ho to bhi tum par koi gunah nhi, jabki tum unke duniyavi dastoor ke aetbaar se unko de do, Allah taala se darte raho aur jante raho ki Allah tumhare amlon ko dekh raha hai.

2:233

Tum me se jo log mar jayein aur biwiyan chhod jayein, veh aurtein apne aap ko char maheene or das (din) iddatt me rakhein. Fir jab muddatt khatam kar lein to jo achhai ke sath apne liye kre usme tum par koi gunah nhi, aur Allah (taala) tumhare har amal ko jan ne wala hai.

2:234

Aur tum par isme koi gunah nhi ki tum ishara se ya aspasht roop se in aurton se shadi ke bare me kaho ya apne dil me irada chhipao, Allah (taala) ko ilm hai ki tum jroor unko yaad kroge, lekin tum unse chhipakar wada na krlo. Haan, yeh baat or hai ki tum achi baat bola kro aur jab tak iddatt ki muddatt puri nhi ho shadi ka bandhan mazboot na kro. Jaan lo, ki Allah (taala) ko tumhare dilon ki baton ka bhi ilm hai, tum usse darte raha kro aur yeh bhi jaan rakho, ki Allah (taala) bakhshne wala or sehansheel hai.

2:235

Agar tum aurton ko bina hath lgaye aur bina mehar muqarrar kiye talaq de do to bhi tum par koi gunah nhi, haan unhe kuch na kuch fayda do, maaldar apne hisaab or greeb apni taqat ke hisaab se dastoor ke hisaab se acha fayda dein. Bhalai krne walon ke liye yeh jruri hai.

2:236

Aur agar tum aurton ko isse pehle talaq de do ki tum ne unhe hath lagaya ho aur tumne unka mehar bhi muqarrar kiya ho, to muqarrar mehar ka aadha (mehar) de do, yeh baat or hai ki veh khud maaf kr dein, ya veh insaan maaf krde jiske hath me nikaah ki gaanth hai. Tumhara maaf kr dena taqwa se bahut kareeb hai aur aapsi fazeelat ko na bhulo. Beshak Allah (taala) tumhare amlon ko dekh raha hai.

2:237

Namazon ki hifaazat kro khaskr beech wali namaz ki aur Allah (taala) ke liye namarta purvak (baa-adab) khde raha kro.

2:238

Agar tumhe darr ho to paidal hi ya sawar hi sahi, aur agar shanti ho jaye to Allah (taala) ki badhaai ko bayan kro jis tarah ki usne tumhe us baat ki taleem di hai, jise tum nhi jante the.

2:239

Aur jo tum me se mar jayein or biwiyan chhod jaye, veh vaseeyat kar jayein ki unki biwiyan saal bhar fayda uthayein. Unhe koi na nikale, aur agar ve khud nikal jayein to tum par isme koi gunah nhi jo veh apne liye achhai se krein Allah (taala) zabardast or hiqmat wala hai.

2:240

Aur talaq di hui aurton ko achi tarah fayda pahunchana parhezgaron par jruri hai.

2:241

Isi tarah Allah tumhare liye apni aayton (aadeshon) ko bayan krta hai taki tum samjho.

2:242

Kya tumne unhe nhi dekha jo hazaron ki tadaad me maut ki wajah se apne gharon se nikal pde Allah ne unse kaha ki mar jao fir unhe zinda kar diya. Beshak Allah logon par bada fazal wala hai magar jayada log shukriya ada nhi krte.

2:243

Aur Allah ki rah me lado or yeh jaan lo ki Allah sunne wala janne wala hai.

2:244

Kaun Allah ko acha udhar dega jise veh fir use kayi guna jayada attah krega aur Allah hi kmi or jayadti krta hai aur tum usi ki or dobara jaoge.

2:245

Kya aap ne israel ke vansh ki “Musa” ke bad ki jamaat ko nhi dekha jab unhone apne nabi (ishdoot) se kaha ki hamara ek raja bna dijiye taki hum Allah ki raah me ladein unhone kaha ki ho sakta hai ki jihaad farz ho jane ke bad, tum jihaad na kro. Unhone kaha ki bhla hum Allah ki raah me jihaad kyon na krenge? Hum to apne gharon se ujaade gye hain aur auladon se door kr diye gye hain. Fir jab un pr jihaad farz hua, to sivaye thode se insaano ke sab fir gye aur Allah zalimon ko achi tarah se janta hai.

2:246

Aur unse unke nabi ne kaha ki Allah (taala) ne taloot (yeh ek naam hai) ko tumhara badshah bna diya hai, to kehne lge bhla uska hum par rajya kaise ho skta hai, usse bahut adhik rajya ke haqdaar hum hain, usko to dhan ki jayadti bhi nhi attah ki gyi hai. Us (nabi) ne kaha suno! Allah (taala) ne usko tum par fazeelat di hai aur use ilm or jismani taqat bhi jayada attah kiya hai Haqeeqat baat yeh hai ki Allah (taala) jise chahe apna mulk de, Allah (taala) kushaadgi wala aur ilm wala hai.

2:247

Aur unke nabi ne fir unse kaha, uske mulk ki wazeh nishani yeh hai ki tumhare pas veh sandook aa jayega jisme tumhare rabb ki taraf se dil ke sukoon ka samaan hai aur Musa ki aulad or Haroon ki aulad ka baki chhoda hua samaan hai, farishte use utha kr layenge, beshak yeh to tumhare liye wazeh (sapasht) nishani hai, agar tum emaandaar ho.

2:248

Fir jab taloot sena lekar nikle to kaha suno ek nadi ke zariye Allah ko tumhara imtehaan lena hai to jo us se pani piyega veh mera nhi aur jo usme se na chakhe veh mera hai, yeh or baat hai ki apne hath se ek chullu bhar le to kuch ke sivaye baki sabhi ne pani pee liya, (hazrat) taloot jab nadi se paar ho gye aur jo unke sath emaandaar the to unhone kaha ki aaj to hum me taqat nhi jaloot or uski faujon se ladein, lekin jinhe Allah se milne par yakeen tha unhone kaha ki bahut si chhoti jamaat Allah ke huqum se bhari jamaton par fateh hasil kr leti hai aur Allah sabr krne walon ke sath hai.

2:249

Aur jab unka jaloot or uski fauzon se maqabila hua, to unhone dua ki, hey humare palanhaar! humein sabr attah kar aur sabit kadam bna de or kafir kaum par humari madad kar.

2:250

Atah unhe Allah ke huqum se parajit kar diya aur Daood ne jaloot ka qatal kar diya aur Allah ne use mulk or hiqmat or jitna chaha ilm bhi attah kiya aur agar Allah kuch logon ko dusre giroh se hatata na rehta to dharti me fasaad fael jata, lekin Allah duniya ke logon par bada fazal krne wala hai.

2:251

Yeh Allah ki aaytein (sutra) hain jinhe hum aap par sachai ke sath padhte hain aur nishchaye hi aap rasoolon (ishdooton) me se hain.

2:252

Yeh rasool hain, jinme se humne kuch ko kuch par fazeelat di hai unme se kuch hain jin se Allah (taala) ne baat ki hai aur kuch ka martba uncha kiya hai aur humne Isa puttr mariyam ko mojeeza attah kiya aur paak ruh se unka samarthan kraya, agar Allah chahta to unke bad wale apne pas nishaniyan aa jane ke baad aapas me kbhi bhi ladai-bhidai na krte, lekin un logon ne ikhtilaaf kiya, unme se kuch ne emaan qubool kiya aur kuch kafir hue, aur agar Allah (taala) chahta to yeh aapas me na ladte lekin Allah (taala) jo chahta hai, krta hai.

2:253

Hey emaanwalon! jo humne tumhe de rakha hai, usme se kharch krte raho, isse pehle ki veh din aaye jis din na tijaarat hai na dosti aur na sifarish, aur kafir hi zaalim hain.

2:254

Allah (taala) hi sacha mabood hai, jiske sivaye koi mabood nhi, jo zinda hai, aur sabka thamne wala hai, jise na uongh aaye na neend uski malkiyat me zameen va aasman ki sbhi cheezein hain, kaun hai jo uske huqum ke bina uske samne sifarish kr ske, veh janta hai jo unke samne hai, jo unke pichhe hai aur veh uske ilm me se kisi cheez ka ghera nhi kar skte, lekin veh jitna chahe. Uski kursi ki vusuatt ne zameen va aasman ko gher rakha hai, veh Allah (taala) unki hifazat se na thakta hai aur na uubta hai, veh to bahut mahaan or bahut bada hai.

2:255

Deen ke bare me koi dabaav nhi, sach-jhuth se alag ho gya, isliye jo insaan tagoot (Allah taala ke sivaye dusre devon) ko nakar kar Allah (taala) par emaan laye, usne mazboot kadde ko tham liya, jo kbhi bhi na tutega aur Allah (taala) sunne wala, janne wala hai.

2:256

Emaanwalon ka sanrakshak (wali) Allah taala khud hai, veh unhe andhere se roshni ki or nikal le jata hai, aur kafiron ke dost shaitan hain, veh unhe roshni se andhere ki taraf le jate hain, yeh log jahannami hain, jo humesha usi me pde rhenge.

2:257

Kya tune use nhi dekha, jisne mulk pakar Ibraheem (alaihi slaam) se uske palanhaar ke bare me jhagda kiya jab Ibraheem ne kaha ki mera rabb to veh hai jo zinda krta or marta hai, veh kehne lga, mai bhi jillata or marta hun, Ibraheem (alaihi slaam) ne kaha Allah (taala) suraj ko purab ki or se le aata hai, tu use paschim se le aa, ab veh kafir bhochanka reh gya aur Allah zalimon ko hidayat nhi deta.

2:258

Ya us insaan ke samne jiska guzar us basti par hua, jo chatt ke bal aundhi pdi hui thi, kehne lga uski maut ke baad Allah (taala) use kis tarah zinda krega to Allah (taala) ne use sao saal ke liye maar diya, fir use (zinda) uthaya, pucha! “kitni muddatt tujh par guzri?” jawab diya ki “ek din ya din ka kuch hissaa” kaha ki “tu balki sao saal tak raha, fir ab tu apne khane-peene ko dekh ki bilkul khrab nhi hua aur apne gadhe ko bhi dekh, hum tujhe logon ke liye nishani bnate hain, tu dekh ki hum haddiyon ko kis tarah khadi krte hain, fir un par gosht chadhate hain”. Jab yeh sab wazeh ho chuka, to kehne lga, “mai janta hun ki Allah (taala) sab kuch janne wala hai”.

2:259

Aur jab Ibraheem (alaihi slaam) ne kaha, “hey mere rabb! mujhe dikha ki tu murda ko kis tarah zinda krega?” Allah (taala) ne kaha “kya tumhe emaan nhi?” jawab diya, “emaan to hai, lekin mere dil ko itminaan ho jayega”. Kaha, “char parinde lo, unke tukde kar dalo, fir har pahad par unka ek-ek hissa rakh do, fir unhe pukaro tumhare pas daudte hue aa jayenge” aur jaan rakho ki Allah (taala) zabardast hiqmat wala hai.

2:260

Jo log Allah (taala) ki raah me apna maal kharch krte hain, unki misaal us dane jaisi hai, jisme se saat baliyan niklein aur har bali me sao dane hon, aur Allah (taala) jise chahe kayi gunah de aur Allah (taala) bada kushada or ilm wala hai.

2:261

Jo log apna maal Allah (taala) ki raah me kharch krte hain, fir uske bad ehsan nhi jatate aur na takleef dete hon. Unka fal unke rabb ke pas hai, un par na to koi darr hai na veh udaas honge.

2:262

Bhli baat kehna or maaf krna us sadka se behtr hai, jiske bad dukh diya jaye aur Allah beniyaaz or sehansheel hai.

2:263

Hey emaanwalon! apne sadka ko ehsaan jatakar aur dukh pahuncha kr bekar na kro, jis tarah se veh insaan jo apna maal dikhave ke liye kharch kre aur na Allah (taala) par emaan rakhe aur na qayamat par, uski misaal us chikne pathar ki hai, jis par thodi si mitti ho, fir us par zordaar barish ho aur veh use bilkul saaf aur sakht chhod de, in riyakaron ko apni kamai se koi cheez hath nhi lagti aur Allah (taala) kafiron ke samudaye ko hidayat nhi deta.

2:264

Un logon ki misaal jo apna maal Allah (taala) ki marzi hasil krne ke liye khushi dil se aur yakeen ke sath kharch krte hain, us baag jaisi hai jo unchi dharti par ho aur zordaar barish se apna fal duguna ladde aur agar us par barish na bhi ho to fuhaar hi kafi hai, aur Allah (taala) tumhare amlon ko dekh rha hai.

2:265

Kya tum me se koi bhi yeh chahta hai ki uske khajooron aur angooron ke baag hon, jisme nehrein beh rhi hon aur har tarah ke fal mojood hon, us insaan ka budhapa aa gya ho, uske nanhe-nanhe bache bhi hon aur achanak baag ko bagula lag jaye jis me aag bhi ho jis se baag jal jaye. Isi tarah Allah (taala) tumhare liye nishaniyon ko bayan krta hai, taki tum fikr kar sko.

2:266

Hey emaanwalon! apni halal kamai me se or dharti me se tumhare liye humari nikali hui cheezon me se kharch kro. Unme se buri cheezon ko kharch krne ka irada na krna jise tum khud lene wale nhi ho, haan! agar aankhein band krlo to, aur jaan lo Allah (taala) beniyaaz or hamd wala hai.

2:267

Shaitan tumhe greebi se drata hai, aur behayai ka hukm deta hai aur Allah (taala) tumko apni rehmat or fazal ka wayda krta hai. Allah (taala) bahut meharbaan or ilm wala hai.

2:268

Veh jise chahe ilm, akal deta hai aur jise akalmandi de di gyi use bahut sari bhalai di gyi aur naseehat kewal akalmand hi hasil krte hain.

2:269

Tum chahe jitna kharch kro (ya sadka kro) aur jo kuch nazar mano use Allah (taala) janta hai aur zalimon ka koi sahayak nhi.

2:270

Agar tum daan-punya (sadkaat) ko zahir kro, to veh bhi acha hai, aur agar tum use chhipakar greebon ko de do, to yeh tumhare liye sabse acha hai. Allah (taala) tumhare gunahon ko khatm kar dega aur Allah (taala) tumhare sabhi amlon se bakhabar hai.

2:271

Unhe hidayat par la khada krna tumhare adhikar me nhi, balki hidayat (marg darshan) Allah (taala) deta hai jise chahta hai, aur tum jo achi cheez Allah ki raah me doge uska fayda khud paoge, tumhe sirf Allah (taala) ki khushi hasil (prapat) krne ke liye kharch krna chahiye, tum jo kuch maal kharch kroge uska pura-pura badla tumhe diya jayega aur tumhara haq (adhikar) na mara jayega.

2:272

Daan ke layak sirf veh greeb hain jo Allah ki raah me rok diye gye, jo desh me chal fir nhi sakte, bewakuf log unke swaal na krne ki wajah se unhe maaldar smajhte hain, aap unke muh ko dekh kar alaamat se unhe pehchan lenge, veh logon se chimatkar bheekh nhi mangte, tum jo kuch maal kharch kro Allah (taala) uska janne wala hai.

2:273

Jo log apne maal ko raat-din chhupa kar ya khullam-khulla kharch krte hain, unke liye unke rabb ke pas badla hai, na unhe koi darr hai aur na koi gham.

2:274

Bayaz khane wale log na khade honge, lekin usi tarah, jis tarah veh khada hota hai, jise shaitan lag kar pagal bna deta hai. Yeh isliye ki ye kaha krte the ki tijaarat bhi to bayaz hi ki tarah hai, jabki Allah (taala) ne tijaarat ko halal kiya aur bayaz ko haraam. Aur jo insaan apne pas aayi hui Allah (taala) ki naseehat sun kar ruk gya uske liye veh hai jo guzar gya, aur uska mamla Allah (taala) ke pas hai aur jo fir (haraam ki or) palta veh jahannami hai, veh humesha usi me rahenge.

2:275

Allah (taala) bayaz ko mitata hai aur daan ko badhata hai, aur Allah (taala) kisi nashukre aur kafir ko mitra (dost) nhi banata.

2:276

Jo log emaan ke sath (sunnat ke anusaar) kam krte, namazon ko qayam krte hain aur zakat ada krte hain, unka fal unke rabb ke pas hai, un par na to koi darr hai or na koi dukh.

2:277

Hey emaanwalon! Allah (taala) se daro aur jo bayaz reh gya hai, veh chhod do agar tum sach-much emaanwale ho.

2:278

Agar aisa nhi krte to Allah (taala) or uske rasool se ladne ke liye tayyar ho jao. Aur agar mafi manglo to tumhara asal maal tumhara hi hai na tum zulm kro aur na tum par zulm kiya jaye.

2:279

Aur agar koi gareeb ho to use sahulat tak waqt dena chahiye, aur sadka kar do to tumhare liye jyada acha hai, agar tum me ilm ho.

2:280

Aur us din se daro, jisme tum sab (Allah taala) ki taraf lotaye jaoge aur har insaan ko uske amal ke aetbaar se pura-pura badla diya jayega aur un par zulm nhi kiya jayega.

2:281

Hey emaanwalon! jab tum aapas me muqarrar muddat ke liye ek-dusre se udhar ka laen-daen kro to likh liya kro aur lekhak ko chahiye ki aapas ka mamla insaaf ke sath likhe, lekhak (likhne wale) ko chahiye ki likhne se inkaar na kre, jaise Allah (taala) ne use sikhaya hai usi tarah use bhi likh dena chahiye aur jiske jimme haqq ho veh likhvaye or apne Allah (taala) se darre jo uska rabb hai, aur huqook me se kuch ghataye nhi, haan jis insaan par huqook ho or veh jaahil ho ya kamzor ho ya likhvane ki takat na rakhta ho to uska wali insaaf ke sath likhva de aur apne me se do mardon ko gwaah rakh lo, agar do mard na hon to ek mard or do aurtein jinhe tum gwaah ke taur par pasand karlo, taki ek ki bhool-chook ko dusri yaad dila de. Aur gwahon ko chahiye ki ve jab bulaye jayein to inkaar na krein, aur karz ko jiski muddat muqarrar hai chahe chota ho ya bada ho likhne me susti na kro, Allah taala ke kreeb yeh baat bahut insaaf wali hai, aur gawahi ko theek rakhne wali or shaq se bhi jyada bachane wali hai. Aur yeh baat alag hai ki veh mamla nagad tijaarat ki shakal me ho jo aapas me laen-daen kar rhe ho to tum par uske na likhne me koi gunah nhi. Khreedne bechne ke waqt bhi gwaah muqarrar kar liya kro, aur (yaad rakho) na to likhne wale ko nuksaan pahunchaya jaye or na gwaahon ko aur agar tum aisa kro to yeh tumhari khuli nafarmani hai. Allah (taala) se daro, Allah (taala) tumhe naseehat de rha hai aur Allah (taala) sab kuch janne wala hai.

2:282

Aur agar tum safar me ho or likhne wala na pao to girvi apne pas rakh liya kro, aur agar aapas me ek-dusre par yakeen ho, to jise aamanat di gyi hai veh use ada kar de, aur Allah (taala) se darta rahe jo uska rabb hai aur gawahi ko na chhupao aur jo use chhipa le veh mann ka paapi hai, aur jo kuch tum krte ho Allah (taala) use achi tarah janta hai.

2:283

Zameeno aasman ki har cheez Allah (taala) ke adhikar me hai. Tumhare dilon me jo kuch hai, use chahe zahir kro ya chhupao, Allah (taala) uska hisaab lega, fir jise chahe maaf kar de or jise chahe saza de aur Allah (taala) har cheez par kudarat rakhta hai.

2:284

Rasool us cheez par emaan layein jo uski taraf Allah (taala) ki taraf se utari gyi aur mussalman bhi emaan layein. Yeh sab Allah (taala) or uske farishte par, or uski kitabon par, or uske rasoolon par emaan layein, uske rasoolon me se kisi ke beech hum fark nhi krte, unhone kaha ki humne suna aur itaa-att ki, hum tujhse mafi chahte hain hey humare Rabb! aur humein teri hi taraf lautna hai.

2:285

Allah kisi bhi aatma (nafs) par uski taqat se jyada bojh nhi dalta, jo swaab veh kre veh uske liye hai aur jo burai veh kre veh usi par hai. Hey humare Rabb! agar hum bhool gye hon ya galti ki ho to hume na pakadna. Hey humare Rabb! hum par veh bojh na daal jo humse pehle logon par dala tha. Hey humare Rabb! hum par veh bojh na daal jo humari taaqat me na ho aur humein maaf kar de, aur humein mafi attah kar, aur hum par reham kar, tu hi humara maalik hai, humein kafir kaum par fateh attah kar.

2:286

—————————x—————————-

Soure : islam-peace.com

Share Now:

4 Replies to “Al-Quran -2 | Soorutul Bakrah | Hindi Translation

  1. Hello there, just became aware of your blog through Google, and found that it is truly informative. I am going to watch out for brussels. I will appreciate if you continue this in future. Lots of people will be benefited from your writing. Cheers!

  2. I am really enjoying the theme/design of your weblog. Do you ever run into any web browser compatibility issues? A number of my blog readers have complained about my website not working correctly in Explorer but looks great in Opera. Do you have any tips to help fix this issue?

  3. Excellent web site. A lot of helpful information here. I am sending it to several buddies and also sharing in delicious. And certainly, thanks to your sweat!

  4. Like!! I blog quite often and I genuinely thank you for your information. The article has truly peaked my interest.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *