Al-Quran Hindi Translation

Al-Quran -1 | Soorut-ul-Fatiha | Hindi Translation

Soorut-ul-Fatiha 
Surah Fatiha Mecca me utri or isme 7 aaytein hain.

1. Allah ke naam se shuru krta hun, jo bada meharbaan or reham krne wala hai.

2. Sab Tareefein Allah sare jahan ke rabb ke liye hain.

3. Bada meharban, bahut reham krne wala hai.

4. Badle ke din (qayamat) ka maalik. 

5. Hum teri hi ibaadat (upasna) krte or tujhi se madad mangte hain.

6. Hume seedha (satya) rasta dikha.

7. Un logon ka rasta jin par tune inaam kiya un ka nhi jin par tera gazab hua aur na gumrahon ka.

Soure : islam-peace.com

Share Now:

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *